Bondita confronts anirudh

1.3K 102 0
                                    

Bon : saat saal main yeh sochkar jeeti rahi ki jab humari shadi hui thi hum bacche the shayad isliye aap humari shadi accept nahi kar paa rahe hai......saat saal tak maine sabke taane sunne sirf maine nahi humare pure parivar ne sirf apke sapno ke liye.....itni letters likhe apko ek bhi chitti ka aapne mujhe jawab nahi diya na mujhse phone par baat karte the.....sabkuch andhekha karke sirf ye yaad rakha ki aap waha apne sapne pure karne gaye hai......apke sapno liye main itna bardasht nahi kar sakti.......yaha tak ki meri maa tak ko maine keh diya ki patibabu nahi aa sakte kyunki woh apni padhai chod kar nahi aa sakte woh jo apni aakhri saansein le rahi thi jiski aakhri iccha yehi thi ki woh apne jamaibabu ko ek aakhri baar dekh sake......maine toh humesha yehi samjha ki jitna main yaha aapko yaad kar rahi hu utna hi aap mujhe yaad karte honge.....jitna main aapka intezar  kar rahi hu utna hi aap bhi mujhse milne ka intezar kar rahe honge.......lekin main galat thi aapko toh yeh bhi yaad nahin tha ki aap shadi shuda hai.......ek baar keh dete patibabu ki bondita nahi pasand tum mujhe main chali jaati aap ko chodkar.....agar saamne kehne ki himmat nahi thi toh chitti mein hi bata dete phir main aapse koi sawal nahi karti chali jaati.......

Ani : Bondita aisa mat kaho maine yeh sab jaan bujhkar nahi kiya .......main toh pehle hi tumhe sab bata dena chahta tha par maa ne rok liya kyuki woh nahi chahti thi ki tum dukhi ho......mera yakin karo bondita saudamini mera bita hua kal thi.......mera vartaman aur bhavishya sirf tum ho Bondita.......

Bon : maa ne meri khushi ke liye aapko mana kiya tha lekin aap toh jante hai na ki I hate liars....... patibabu main sab kuch bardasht kar leti agar aap mujhse pyar nahi karte , aap mein koi buri aadat hoti yaa agar aap gaav ke baaki patiyon ki tarah mujhpar haath bhi uthate na toh woh sab kuch main haste haste bardasht kar leti par yeh bardasht nahi kar sakti ki aap mujhe dhokha de mujhse jhuth bole......khud se bhi zyada yahan tak ki apni dugga maa se bhi zyada bharosa aap par tha mujhe patibabu......sabne mujhse keh diya tha ki aap kabhi wapas hi nahi aayenge lekin mujhe aap par bharosa tha......mere dil ke har kone mein sirf aap the patibabu......lekin ab toh dil se utar gaye.......

She was about to go but he hold her hand.....

Ani : Bondita please aisa mat karo main nahi reh paaunga tumhare bina pehle hi ek baar zindagi mere sath khel chuki hai ab bardast nahi kar paaunga mujhe mere pyar ko sabit karne ka ek mauka de do...... mujhse durr mat jao...... please

Bon : bohot der ho chuki hai patibabu.....

Ani : bondita please bass ek mauka.....main wada karta hu ki main iss baar tumhe nirash nahi karunga....main ek accha pati banne ki puri koshish karunga..... please....

Bon : thik hai......lekin haa tab tak aap mujhe haath bhi nahi lagayenge......na hum pati patni ki tarah rahenge

His heart broke in pieces......

Ani : thik hai bondita jaisa tum chahogi bondita waisa hi hoga.....

Bon : ek aur baat yaha humare beech jo bhi baat hui woh kisi ko pata nahi chalni chahiye na ghar walo ko na salim dada ko sabko yehi lagna chahiye ki humare bich sab kuch thik hai.......main nahi chahti woh pareshan ho humare liye

Ani : thik hai

Bon : ab mera haath chodiye.....

Ani : bondita hum baithke baat toh kar sakte hai na please.....

Bon : main thak gayi hu aaram karna chahti hu.......waise bhi kal tulsipur ke liye nikalna hai.....

Ani : Bondita main jaanta hu tumne mujhe maaf nahi kiya hai isliye aisa bartaav kar rahi ho na......

Bon : jab jaante hai toh puch kyu rahe hai

Ani : bondita pati patni na sahi hum dost ban kar toh reh sakte hai na

Destiny is everything Where stories live. Discover now