Part 03

2.5K 104 23
                                    

In Murtasim's room.

Bhabi begum:Kya jarurat thi tumhe Meerab ko itna dantne ki?
Murtasim:Kya apne uski aaj ki harqat nahi dekhi?Humse jhoth bolkar bahar gayi hai.Phir sadak mar pit bhi ki.Kya sab mein nazar andaz kardu Maa.
Bhabi begum:Yeh bhi to dekho beta un badmashone unlogo se baittamazi ki thi.To bas use sabaq shikhai.Aur yeh to acchi Baat hai.
Murtasim:Maa unki kismat acchi hai ki woh log sirf sadakjhap ladke nikle.Agar khuda na khasta woh log koi khatarnak gunde hote Aur unhe koi takleef pousa thi to kiya hota?
Bhabi begum:Bacchi hai upar se na samaj bhi.Josh mein aake yeh harqat kar diya.Maf kardo.
Murtasim:Nahi woh bacchi hai Aur nahi na samaj.Haa yeh keh sakte nehaiti deet Aur Baittamiz hai.Jisko mere har baat ka bagawat karna hai.
Bhabi begum:Phir bhi tumhe aise nahi datna chahiye tha.Upar se tum ghar se nikalne pe bhi pawandi laaga diya.
Murtasim:Maa,Maine jo bhi kiya aap ki laadli ke bhale ke liya kiya.Use Duniya ke logo ka malum nahi hai.Koi kaise kisi ko nuksan pocha sakti hai use to malum hi nahi.Aaj to Allah ka shukar se woh log bach gaye.Agar un ladko ke jaga humara koi dushman hota to kya hota aap ne kabhi socha hai.Aur aaj ki yeh saza Meerab ka ek sabaq hai.Woh ayinda aise harqat nahi karegi.Pata nahi kar bhi sakti hai uski jaise dhit ladki ko baten samaj mein aata kahan hai.
Bhabi begum:Is mein akele ka Meerab ki qasur nahi hai.Haya Aur Mariyaam bhi to barabar shamil thi.
Murtasim:Aap ki pyari beti ne hi aap ni baton ki jalo mein fasa kar liya hoga sath.
Bhabi begum:Tumhe pata nahi kya dushmani hai Meerab se.
Murtasim:Mujhe usse koi dushmani nahi hai bas fiqr hai uski.Woh Duniya ko jis nazar se dekhti hai Duniya waisa nahi hai.Mein bachana chahta hu use us Duniya se jiska chehra bohot daravna hai.Mein bhi uski bhala chahti hu.Mein chahti hu woh zimmedar bane.Waqt ke paband ho.Humare ghar ki usool rewate Waise hi mane jaise is ghar ki sari betiyon ne maana hai.Lekin woh kuch samjhe tab na.

It's sharp 9 o'clock.

This time Khan family takes their dinner.Everyone is present there except Meerab.Bhabi begum asked Haya;

Bhabi begum:Meerab kaha hai?
Haya:Usne khane se mana kar diya.Usne kaha woh kuch nahi khayegi.
Bhabi begum:Kya jarurat thi Murtasim aise rawaiye ki aab meri bacchi pure raat bhuke rahegi.
Waqas:Jo bhi kiya Bilkul sahi kiya hai Murtasim ne.
Anila:Haa Bhabi begum us dhit ladki ki aqal thikane laana bohot jaruri hai.Humesha apni maanmani hi karti hai.

In the night.

Haya knocked out the door of Meerab and asked;

Haya:Khana bahar rakha hai.Chalo kuch kha lo.Raat ko bhuk ki wajah se tumhe neend nahi ayegi.
Meerab:Tumhe kisne kaha hai maine kuch nahi khaiya.
Haya:Aab kiya kya tumne?

Then Meerab comes out a pizza box under the bed and said;

Meerab:Meerab kise ke liye bhuke nahi rehti.
Haya:Tum bhi na ek piece hi ho.Aab pizza kab mangai.
Meerab:Is ghar mein meri bohot wafadar hai wohi karta hai meri aisi madad.
Haya:Aur sab ko laaga hai bechari Meerab bhuki so gai.Nautanki.
Meerab:Ise kehte hai Meerab ka swag.Aab to mein raat ko aram se series dekh dekke pizza khaungi.You wanna join me?
Haya:Bilkul nahi.Mujhe subhe subhe uthke Maa begum yaa Murtasim ki hathon dant nahi khana.Is liye mein jaa rahi sone.Aur tum bhi ladki baaj aa jao.Har raat jagke tv dekhte ho Aur subha saza pate ho.Phir bhi nahi sudharte.
Meerab:Hum to bhai jaise hai Waise rahenge.Koi kiya kahe usse Meerab ko fadak Bilkul nahi padta.
Haya:Jaa rahi hu mein sone.Good night.
Meerab:Good night.

Then Meerab closed her door and concentrate on series.

After coming from Meerab's room,Haya collides with Murtasim.

Murtasim:Khana nahi khayegi kiya?Itni naraz hai?
Haya:Tum yaha pareshaan ho usne naraz hoke khana nahi khaya Aur woh pata hai kya kar rahi hai Series dekh rahi hai.
Murtasim:Lekin woh subha se bhuki hai.
Haya:To itna kyun data use aab itni fiqr ho rahi hai to?
Murtasim:Jo bhi kya uske bhale ke liye kiya.
Haya:To be fiqr raho khaya usne woh jo use pasand ho.Jake so jau.
Haya:Good night.

In the next Morning.

Meerab takes her breakfast on time.Murtasim felt relief finally she comes out from her room after the incident.

In the kitchen.

Meerab is making some coffee for herself and Murtasim called her from behind.

When she goes to open the sugar pot,hear the voice and drop it on the ground.

Meerab:Yaa Allah yeh kiya kar diya.
Murtasim:Tum kya sare kaam ulta karne ki kasam kha rakhi hai.
Meerab:(murmur) aise gadhe jaise awaz se piche se bulainge naa to banda to daar hi jayega.
Murtasim:Kuch kaha tumne?
Meerab:Ji Bilkul nahi.Woh mein kuch soch rahi thi to piche se awaz suna Aur dar gaye.
Murtasim:Tumhara dyan thikane mein kaha rehta hai.
Meerab:Aap haten mein saf kar deti hu.
Murtasim:Tumhe thik se saf karna aata hai jo tum karoge.Dekha jayega jo jaisa hai Waise hi rakh doge.Jharu laa ke do Mujhe.
Meerab:Aap jharu se kya karenge.
Murtasim:Tumhare sar pe marna hai Mujhe.Jau leke do.

Then Meerab bring a broom and Murtasim clean sugar which is scattered on the ground.

After cleaning the mess,Murtasim asked;

Murtasim:Coffee pina tha tumhe?
Meerab:Haa.
Murtasim:Beitho mein deta hu tumhe.

Meerab surprisingly looks at him.

Murtasim:Yeh maat sochna tumhare khatir bana raha hu.Apne liye bana raha to socha tumhe bhi puch lu.
Meerab:Aap ko pina hai to mein bana du?
Murtasim:Bilkul nahi.Tumhe pisli baar jo coffee ka bola tha itni kharwi coffee banai ki uska swad bohot din tak mere muh mein tha.uske bad maine than liye tha chahe kuch bhi ho jai tumse to Bilkul kuch bhi karne ke liye nahi bolunga.
Meerab:Thik hai.Jaise aap ki marzi.

Then Murtasim goes to made Coffee for them.

Meerasim 3.0Where stories live. Discover now