Part 06

2.2K 94 37
                                    

Murtasim brings Meerab to his room and said;

Murtasim:Yeh cupboard hai Aur Isko tumhe saf karna hai.
Meerab:Mere muh mein likha hua hai kya aap ki naukrani hu?
Murtasim:Nahi tumhare harqate batati hai yeh baat.
Meerab:Mujhse nahi hoga.

Murtasim angrily looks at her and she said;

Meerab:Thik hai karti hu.Aab bhi kiya yaad rakhenge Meerab ne aap ka cupboard set kiya tha.
Murtasim:Thik hai half an hour ke andar cupboard set hona chahiye.
Meerab:Thik hai.

Then Murtasim goes to changed.

After a while,Murtasim finds Meerab set up the cupboard beautifully.And he thinks,

"Chalo ise koi kaam to aaya."

In Meerab's room.

Haya finds Meerab looks at something with deep attention.

Haya:Aise dekh kise rahi ho?
Meerab:Murtasim Khan ko.

Then Haya sees Meerab is starring at Murtasim who is discussing something with man at the yard area.

Haya:Ise kehte hai muh mein gali Aur dil mein kuch aur.Bhul nahi paye ho na Apni Bachpan ki crush ko.
Meerab:Mere samne to keh diya unke samne iska zikr bhi maat karna.Pata hai na unka.
Haya:Haa pata hai woh tumhe akhni ki deg mein paka denge.
Meerab:Actually Haya mein yehi soch rahi thi dur se dekho inhe kitna handsome hai.Lakhon ladkiyan marti hai un par.Lekin ghar mein dekho humere sath kaise zalimo wala suluk karta hai.
Haya:Aur woh jo karte hai humare bhalai ke liye karte hai.Aur tumhari jo harqat hai iske liye yeh karna jaruri bhi to hai.
Meerab:Jeena haram karna bhalai nahi kehte.
Haya:Accha suno Ek Baat tum Murtasim ke sath relationship pe aane ka try kyun nahi karte.
Meerab:(with shock) kya bol rahi ho yeh?
Haya:Haa.Faida bhi hai tumhara.Ghar ki beti ghar mein hi reh jaoge.Upar se tum ho Maa begum ki ladli.Aur socho agar tum Murtasim khan ki biwi ban gayi to ghar mein raj tumhara hoga.Koi tumhe Kuch nahi kahega Aur to Aur Murtasim bhi tumhare sare baat manega.Tumhare piche piche ghumega.Tumhari jeena asan ho jayega.
Meerab:Bas bhi karo yaar.Kya bol rahi ho yeh.Murtasim khan Aur ghumega mere piche.Yeh khawab mein hoga.Kyun ki haqikat mein Murtasim khan Meerab ko apni badi badi ankhon se ghurega phir datega.Dobara yeh Baat mere samne kabhi maat karna.
Haya:Thik hai Baba nahi karti.Lekin sochna jarur is bade mein.

In the Next day.

Meerab wakes up and sees the time and she said;

"Aaj pakka marne ka din hai mera.Nasta mein 1 ganta late.Iska matlab Murtasim aaj bhi Mujhe nahi chodega.Aisa kyun karti hai tu Meerab.Har roz subha bolti hai aaj se pakka jaldi so jaungi Lekin raat ko series dekhti hai Aur bolti hai One episode more.Aur is more ki chakkar mein Murtasim khan se roz dhulai hoti hai teri.Aaj Pata nahi kya karega woh admi."

After freshen up Meerab comes downstairs.She felt relief because Murtasim is not here.

Then someone called her from behind and said;

"Ruko."

Meerab:Ji.
Murtasim:Time kitna hua hai?
Meerab:9:30.
Murtasim:Humare ghar mein nasta kab laagta hai?
Meerab:8:00 baje subha.
Murtasim:Aab yeh batau der gante ki baad neend kyun khuli tumhara.
Meerab:Woh kya hai na kaal Maine bohot padai ki hai.Exam aa rahe hai na is liye.
Murtasim:To raat ko tumhari room se aise awaz kyun ayi jaise tum tv dekh rahe the.
Meerab:Aap kya mere room ke aage chokidari karte hai yeh janne ke liye mein kiya karti hu.
Murtasim:Khamosh.Agar pata hai is ghar ki usool yaha har ek chij time to time hota hai to jaldi kyun nahi uthte.
Meerab:Woh kya hai na Murtasim bhai....
Murtasim:Kitni baar bola hai Mujhe bhai nahi bulaoge.
Meerab:Woh kya hai na Jallad saab I mean Khan saab mein har subha jaldi uth hi jaati hu Phir pata nahi kaise meri ankh nahi khulti.
Murtasim:Accha!
Meerab:Lekin aap fiqr mat kijiye kaal subha subha uthke mein murgi ko bhi jaga dungi.Roz roz aap ek ki kam karte karte thak gaye honge.
Murtasim:Excuse me.
Meerab:Aur nahi to kya.Aap ko to har roz uthkar murgiyon ko jagana padta hai na.Agar aap nahi uthenge na to woh kaise kukkudu bolenge.
Murtasim:Shut up.Apna muh band karo.Aur jao kitchen mein.
Meerab:Kyun jao?
Murtasim:Aaj lunch ki responsibility tumhari hai.Mein bata dunga ghar mein aaj kya banega.
Meerab:Batane ki takalluf karne ki kya zarorat hai aap bana bhi de.
Murtasim:Jitna kaha hai utna karo warna Mujhe majid gussa aa jayega.
Meerab:Chalti hu.Dua o mein yaad rakhna.

Then Meerab about to going to kitchen and talking with herself;

"Aaj khane mein iske liye thoda zeher bhi dal dunga."

Murtasim said;

"Suna Maine kya bola tumne."

She turned around and sees Murtasim standing there with hands in pockets.

Meerab hits by the wall and Murtasim said;

"Is ladki ka Kuch nahi ho sakta."

In the launch time.

Khan family takes lunch sharp 1:30 pm. Meerab brings a food for them.Murtasim order her to make malai kufta Palak paneer and butter chicken.And she made it.

Bhabi begum:Are wah khushbo to bohot acchi aa rahi hai.
Anila:Is nalayek ko khana banana kab aya.
Meerab:YouTube dekke banaya hai.
Murtasim:Dekhne mein to thik hi laag raha hai par dekhte khane ke baad mein zinda bhi rehta hu yaa nahi.Kya pata tumne zeher daal diya ho isme.
Meerab:Astagfirullah Kaisi baat kar rahe hai aap.
Bhabi begum:Fazool baten na karo.Kitni mehnat se banaiya hai khana.
Murtasim:Ji bas zinda salamat rakhu khane ke baad.

After the lunch,Murtasim goes to kitchen.He finds burning food in the trash box and the torn restaurant bill paper fell on the ground.

Murtasim looks at it and says;

"Tab bhi mein bolu yeh na layek ladki itne chup chap bina kisi chij ko tode khana kaise bana liye.To yeh thi woh lajawab khane ki piche kaa raaz.Meerab ne pehle sab kuch jala diya Phir bahar se order karke sab ko khilaya.Manna padega khurafat mein iska demaag khub chalta hai.Pagal".

Murtasim smiles himself.

Meerasim 3.0Where stories live. Discover now