Part 07

2.3K 120 48
                                    

Murtasim comes to Meerab room to return her laptop.

Murtasim:Yeh lo tumhara laptop.
Meerab:Thank you.
Murtasim:Kafi acchi painter bhi ho tum waise.Kis ka painting banai the tumne?
Meerab:Konsa?
Murtasim:Woh jo do sing hai sar pe.Dath nikal raha hai age Aur itna bada bada ankhen.
Meerab:Woh to maine aap ka portrait banake ki koshish ki thi.

Actually Last line Meerab told by mistake.When she realises it and feels how big mistakes she has done.She told herself;

"Yeh Maine kiya keh diya.Meerab ki bacchi apni zuban ko kabu mein nahi rakh sakti".

Murtasim:To tumhari nazar me mein aisa dikhtahu?
Meerab:Yeh to kuch bhi nahi hai aap is se bhi jyada khaufnak hai by the way.Lekin Khud ka burai kaha kisi ko nazar aata hai.Is liye aap ko manne se thoda takleef hogi.I can understand.
Murtasim:Yeh batau zara kon hai tumhare nazar ki sabse handsome banda?
Meerab:Atif Aslam.Hay kya look hai.Uff Allah dekhtei us par marne ka dil karta hai.Kash Atif Aslam jaisa banda mil jai Mujhe.
Murtasim:Shut up.Ayenda mein na suno kisi ladke ki zikr tumhari muh mein.Ayi baat samaj mein.Aur suno aisa logo pe marne se pehle zara apna as paas bhi dekh liya karo.Kya pata kon mil jaye tumhe.
Meerab:Aas paas Aur handsome what a big joke.Haa yeh jarur keh sakte hai aas pas khaufnak loog bohot hai.Jo humesha apni gusse se sabko darake rakhte hai.
Murtasim:Bewokuf.

Murtasim angrily rolling his eyes and left her room.

Meerab:Aab inko gussa kis baat ko chad gaya.Chalo chodo ji yeh humesha hi gusse mein rehte hai.Mein jaati hu niche Aur lee ati apne liye ice cream.Aise thand ki mausam mein ice cream ka maza hi kuch Aur hai.Phir Atif Aslam ki music video dekhenge.

In the night.

Then Meerab goes to take some ice cream.

In the night.

Meerab get a cold because of the ice cream.She sneezing and coughing.

Someone knocked out the door and Meerab going to see who's knocking on.

And it's Murtasim.

Murtasim:Yeh lo dawai.Zukham thik ho jayega.
Meerab:Aap ko humesha kaise pata hota hai ki Mujhe zukham kab laagta hai.
Murtasim:Common sense ki wajah se.I know tumhare paas is chij nahi hai par mere paas hai.Bachpan se hi tumhari Adat hai thand ki mausam mein ice cream khane ka.Aur Phir bimar pad jate ho.Phir bhi adat nahi badalte ho.Kyun ki dheet hone ki subject mein to tum phd kar rakha hai.
Meerab:Mujhe nahi leni aap ki yeh dawai.
Murtasim:Kyun?
Meerab:Mujhe dawai accha nahi laagte.Kitni karwi hai yeh.
Murtasim:Lekin tumhari zaban se kam karwi hai.Zid nahi karte le lo dawai.Warna yaha tum chikhe marogi waha mera jaan jayega.
Meerab:Aap ka jaan kyun jayega?
Murtasim:Tum kya behre ho?Maine bola kaan jayegi meri.Tumhare chikhne aur kasne ki awaz se mera neend kharab hoga.Is liye chup chap dawai lo Aur waqt se so jau.Warna kaal subha tumhari Khair nahi.

Meerab takes the medicine and Murtasim left from there.

After closing the door.

Meerab:Is admi ko kya ho jata hai.Pal mein tola pal mein masha.Chal bhai Meerab dawai le ke jaldi jaldi so jaa.Warna kaal subha yeh khaufnak prani naste ki jaga tujhe kaccha chabayega.Dawai lee Aur khawab dekh Atif Aslam ki.Hay mein mar java.

In the next Day.

Meerab was something fixed with the glue.Haya comes from behind and Scaring her.

Out of scariness,Meerab throw all the glue on the chair.

Meerab:Haya ki bacchi chodungi nahi tumhe.
Haya:Waise kar kiya rahe ho yeh?
Meerab:Kuch nahi.
Haya:Yeh batau tumhari zukham Kaisi hai?
Meerab:Ek minutes tumhe kaise pata Mujhe zukham hua hai.
Haya:Kaal raat dekha hai Maine unhe kaise tumhare liye dawai lee jaa rahe the.
Meerab:Meri chikne ki kasne ki awaz se unka kaan mein dard hota hai is liye aye the Jallad khan.
Haya:Pakka yeh baat hai na?
Meerab:Haa Aur kya baat hogi.
Haya:Meerab madam aap ki kamre ki awaz bahar nahi jaate.In fact kisi bhi kamre se nikal ta hua awaz bahar nahi jaate.To unki kamre mein kaise jayegi woh awaz.

Meerab pay attention to her talk.

Haya:Duffar ladki unki caring ke piche kaa raaz ka pata lagau.Woh jaise bhi hai tumhari bohot parwah karte hai.Daantne ki piche ka mohabbat ko nazar andaaz maat karo.
Meerab:Kya Bakwas kar rahi ho yaar.Aisa waisa Kuch nahi hai.Tum Fazool soch rahe ho.
Haya:Maine jo hint dena tha de diya Aab sacchai tumhe malum karna hai.Pata lagao Murtasim khan ki dil ke haal.

Meerab looks at her.

Then Murtasim entered the terrace and said;

Murtasim:Tum dono yaha kiya kar rahe ho?
Meerab:Tare gin rahi hu Khan saab.
Murtasim:Din mein tumhe tare kidhar se nazar aa rahe hai.
Meerab:Woh mein soch rahi hu tare nikal ne ke sath sath ginna shuru kardu.Ginne se asani hote hai na?
Murtasim:Mujhe laaga tumhare sad ki sare screw nahi khula Shayed abhi bhi ek do hai.Lekin nahi sare ki sare khul chuka hai.Pagal ladki.Khair chodo tum dono Filhal niche jao.
Meerab:Kyun?
Murtasim:Kam hai Mujhe.Jau yaha se tum log.
Haya:Behes nahi karo.Chalo yaha se.

When they about to leave,Murtasim sit on that chair where Meerab put glue on it.

Before Meerab noticed it,Murtasim sit there.

Meerab:Allah! Yeh apne kiya kar diya?
Murtasim:Kiya kya Maine?
Meerab:Yaha kyun beithe hai?
Murtasim:To kya tumhare sad mein beith jau.
Meerab:Jaha bhi beithe yaha nahi beithna chahiye tha.
Murtasim:Kya kharabi hai isme?
Meerab:Yaha aap beith to gaye Lekin uthne mein dikkat hogi.
Murtasim:Matlab?
Meerab:Woh yaha Galti se Maine glue gira diye.

Murtasim gets super angry and said;

Murtasim:Duffer ladki.Yeh koi jaga hai glue gira ne ka.Akal kya tumhare gaas chadne gaye hai.
Meerab:Sorry Murtasim bhai.
Murtasim:Don't call me bhai.
Haya:Galti se ho gaya.Tum uthne ki koshish karo.
Meerab:Nahi haya agar yeh uthenge yaha se to inka Izzat ka janaza nikal jayega.

Murtasim rolling his eyes with anger and Meerab flew from there.

[I have terrible headache but somehow I managed to write this chapter.Please do me a favour and put feedback on it please]

Meerasim 3.0Where stories live. Discover now