Chapter - 10

428 30 3
                                    

*In Lalbaug station*

MS was talking on the phone

MS - Maine us Karishma se to baat ki par mujhe nahi lagta ki use koi farak padta hai Haseena Malik use kaise treat karti hai. Par ab main Seedhe Haseena Malik se hi baat karne ka soch rahi hun. Updates deti rahungi. Bye.

*At the college gate*

KS - Maddam sir ab aage kya karna hai?

HM - Philhaal to thane waaps chal kar dekhte hain. Ek baar sabke saath pura matter discuss ho jaaye phir aage ka plan implement karenge.

KS - Ji Madam sir. Waise hume aapse kuch baat karni thi.

HM - Ji boliye

Haseena's phone rang

HM - Ek second

After a while on the call.

HM - Karishma Singh ek kaam kijiye aap seedhe Thane chali jaaiye hume kuch kaam hai hum aapse seedhe wahi milte hain

KS - Haan lekin aap jaa kahan rahin hain maddam sir?

HM - Kuch kaam hai hum thodi der me milte hain aapse.

KS - Lekin mumbai me aapko kaa kaam hai?

HM - Karishma Singh. Hum aapse thane me milte hain.

KS - Ji madam sir.

KS and HM parted ways.

*Outside the DSP's office*

AV was talking on the phone

AV - Haan Bunty main abhi thodi der me ghar aata hun phir hum baat karenge. Thike?

AV - Nahi Bunty me abhi nahi aa sakta. Abhi mujhe thane jaana hai waha pe case hai. Main shaam ko ghar aata hun.

AV hang up the call and walked toward the parking area outside Headquarters.

He saw HM there, talking to a constable.

AV - Arre Haseena ji aap yahan?

HM - Amar aap abhi tak yahin hain?

AV - haan abhi thodi der pehle hi meeting khatam huyi humari DSP sir ke saath. Waise aap yahan kya kar rahin hain?

HM - Wo hum bhi DSP sir se milne aaye the par abhi pata chala ki wo bahar chale gaye.

AV - Haan wo meeting ke turant baad bahar chale gaye. Kyu kya kaam tha DSP sir se?

HM - uhh... Kuch nahi bas wo unhone puchne ke liye bulaya tha case ke baare me.

AV - Acha. Waise hume bhi isiliye bulaya tha. Aap humare saath kyu nahi aayin? DSP sir bhi mil jaate aur aapko pareshan nahi hona padta.

HM - Wo actually hume thodi der pehle hi phone aaya tha. Aur tab hum college me hi the to phir humne socha waha se seedhe yahi aa jaate hain.

AV - Acha. Waise ab to sir hain nahi to chaliye thane chalte hain.

HM - Haan. Thike chaliye.

*Inside Amar's car*

AV - To Haseena ji Kuch pata chala?

HM - Haan waise to waha ke Principle kaafi supporting lag rahe the par kisi bache se baat nahi huyi.

AV - Aapko nahi lagta ye thoda strange hai? Matlab koi bhi bacha nahi tha wahan?

HM - Nahi. EK aur baat. Principle ko un bacho ke chehre aur naam aise rate pade the jaise wo unke rishtedar hon.

AV - Kya pata ho?

HM - Kaise?

AV - Arre Haseena Ji ye Mumbai hai. Yahan kuch bhi ho sakta hai.

HM chuckled a little and AV glanced toward her

AV's phone rang again and as he had his phone connected, the car display has Bunty's name on it.

HM - Arre Bunty ka phone aa raha hai. Uthayenge nahi?

AV - Arre Haseena ji Bunty zid kar raha hai ghar aane ki. Ab usko bataya maine ki thane jaana hai aur itna kaam bhi hai. Abhi kaise jaa sakta hu me ghar.

HM - Haan lekin Bunty to kitna smart bacha hai. I am sure agar wo aisa kuch keh raha hai to uske peeche koi wajah hogi. Aapne pucha usse?

AV - Pucha Haseena ji par batane ko tayar hi nahi hai. Keh raha hai pehle ghar aa jao phir bataunga.

HM - Acha phone uthaiye hum baat karte hain.

AV connects the call

Bunty - Papa aap kitni der me ghar aa rahe hain?

AV - Bunty phir wahi baat abhi maine --

HM - Bunty, beta aap thik ho?

Bunty - Haseena mam?

HM - Haan Bunty hum Haseena Malik bol rahe hain.

Bunty - Haseena mam aap mere papa ke saath kya kar rahe ho?

AV - Bunty!

HM - Hum abhi thane jaa rahe hain. Par aap Amar ko ghar aane ke liye kyu keh rahe ho?

Bunty - Haseena mam wo to main jab papa ghar aa jayenge tab bataunga.

AV - Bunty dekho --

HM - Bunty thane me abhi ek bahut important case chal raha hai. Abhi aapke papa ka wahan rehna jaroori hai. Apko sach me lagta hai ki unhe ghar aana chahiye?

*Bunty pause for a second*

Bunty - Nahi.

HM - To phir Amar ko abhi ghar kyu bula rahe ho?

Bunty - Haseena mam mujhe mumbai pasand nahi hai. Aur mere school ke bache bhi ache nahi hain. Aur jabse hum Mumbai aaye hain, papa humesha case me busy rehte hain. Isliye main papa ko ghar bula raha tha taaki unhe lage ki koi urgent baat hai aur wo ghar aa jayen. Sorry.

AV - Dekho Bunty

Bunty hangs the call.

AV - Sorry Haseena ji. Bunty yahan aane ka baad aisa hi ho gaya hai. Pehle ki tarah barah jaana ya friends banana to jaise bhool hi gaya hai.

HM - That's okay. I completely understand. Waise bhi bache bahar itni aasani se adjust nahi ho paate, aur phir humari to job bhi aisi hai transfer laga rahta hai.

AV - Haan par isse pehle Bunty nayi jagah par settle hone me itna time nahi lagata. 

HM - Amar hume pata hai aap tajurbe me nahi mante par tajurba kehta hai humara bache naye phool ki tarah hote hain, jab khilte hain to sabko khushi dete hain par phool ke khilne ke baad uski dekh bhaal band to nahi ki jaati. Agar Bunty ko yahan settle hone me problem ho rahi hai to aap uski thodi si help kar dijiye. Afterall Bunty kitni bhi mature baate karta ho, hai to bacha hi.

AV - sunne me jitna acha lag raha hai Haseena ji utna hai nahi. Mai sirf ek father nahi ek police officer bhi hun mujhe dono duties manage karni hoti hain. Aur aapko kya lagta hai ki main Bunty pe dhyan nahi deta? Haan bas utna time nahi de pata jitna jaruri hai par duty bhi to dekhni hoti hai.

HM - Haan wo baat to thik hai par --

Haseena stopped for a second and begins to think. After a small second, she continues.

HM - Ek kaam kijiye, Bunty ke paas chalte hain.

AV - Kya? Abhi to humne us se mana kiya hai. 

HM - Haan lekin ab chalte hain.

AV - Haseena ji abhi thane jaana wahan case hai aur waise bhi aise zid puri karenge to Bunty pe galat asar padega.

HM - Trust me Amar aisa nahi hoga. Bacho ki zid kabhi kabhi man leni chahiye. Unhe acha lagta hai. Aur waise bhi thane me Malika Sharma aur Karishma Singh to hain, thodi der unhe case handle karne dete hain.

*After a moment of hesitation, Amar sighed and turn the car in the direction of his house.*




New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now