Chapter - 16

328 22 4
                                    

HM - Kya hua Karishma Singh?

*HM and AV entered the main hall in Lalbaug station when they spotted KS holding a gun at a guy's head.*

HM - Kaun hai ye?

KS - Madam sir ye hi ho wo Aarushi mam ka dost. Saurabh. Jab hum bahar aaye, ye dono baat kar rahe the, hume dekh ke bhaaga ye to pakad liya humne.

AV - Aur ye thane me kya kar raha hai?

KS - Wo to yahi batayega sir.

*KS looked at Saurabh and pressed the gun to his head as she asked,*

KS - Haan bhaiya jindagi se sambandh kharab ho gaye hain jo khud thane chale aaye?

Saurabh - Main bas Aarushi se baat karne aaya tha. Main wo slum bhi gaya tha par tumhe ye wahan se pakad ke le jaa rahi thin to maine kuch nahi bola. *pointed at HM*. Mujhe baad me pata chala ki tumhe yahan leke aaye hain aur ye sab tumhe blame kar rahe hain to main sacchai batane aa gaya.

*KS made him sit as HM and AV started asking him questions.*

Saurabh - Haan. Maine hi Aarushi ki uniform li thi. Per madam ye game jitna hum samajh rahe the usse bhi bada hai.

AV - Acha? Aur ab achanak se apni dost ki madad karne ka kyu socha?

Saurabh - Sir ye jo ladki hai na jo ye sab control kar rahi hai, ye bahut khatarnak hai. Iska plan koi nahi jaanta aur ye apne kaam ke liye sabko use kar rahi hai. Un college students ko bhi.

HM - Aapki bolne ke tarike se to aisa lagta hai jaise aap padhe likhe hain?

Saurabh - Ji mam. Padhne ka sauk to tha par kabhi us slum se nikalne ka mauka hi nahi mila. Pehle paison ki wajah se padh nahi paya aur jab jaise taise padhne ki koshish ki to phir job nahi mili.

AV - Aur isliye criminal ban gaye.

Saurabh - Sir pehle mujhe nahi pata tha ki ye koi itna bada game hai, mujhe laga tha ki koi choti moti chori hogi. Apna education loan chukana tha mujhe uske liye paise chahiye the. Aur jab ye T ne ye kaha ki wo us slum ke baaki students ki help karegi to main bhi maan gaya.

HM - ek second ek second. Ye T kon?

Saurabh - Jo iss sab ko control kar rahi hai.

AV - Tumne dekha hai use?

Saurabh - Nahi sir. Dekha nahi hai aur naam bhi nahi pata bas usse hum boss bulate hain aur jab maine jyada force karke pucha tha tab usne mujhe apne naam ki jagah T bataya tha.

HM - To iska matlab ye jo students ko scholarship de rahi hai ....

Saurabh - Ji mam, ye wahi hai. Isne un saare students ko ikhata kiya jo college me protest kar rahe the. Paison ki kami insan se sab kara deti hai mam, aur ye T ne usi baat ka fayda uthaya hai. Wahan un bacho ke saath aur yahan mere saath.

Usne bacho se kaha tha ki unki fees wo pay kar degi aur badle me unhe uska kaam karna hoga.

KS - Aur saare bache maan gaye?

Saurabh - Shuru me to thode hi bache baat maane the lekin baad me sabne join kar liya. Karte bhi kya mam, baaki jagah kaam karke bhi wo itne paise ikhathe nahi kar paate jinse college fees bhar sakte agar loan lete to chukane ke liye tension aur agar naa le to college beech me degree chodne ko kehta hai. Phir saal bhi barbad aur samay bhi. 

Ghum phir halat meri tarah hi ho jaati hai.

Kuch bache 2 se 3 jobs karte hain lekin phir bhi pure paise nahi arrange kar sakte to T ke yahan kaam karna unhe jyada better option laga.

HM - Aur ye koi scheem thi kya uski?

Saurabh - Scheme pehle to sirf ye thi ki wo students ko kaam ke badle unki college ki poori fees degi lekin kaam usne specify nahi kiya tha.

Mere saath bhi usne yahi kaha tha ki mere pure loan ki value wo de degi lekin kaam specify nahi tha. Uske baad usne pehle mujhe Aarushi se uski uniform laane ko kaha. Lekin reason bataya.

AJ - Lekin mujhe ab tak ye samajh nahi aaya ki uniform mangwane ki jaroorat kya thi? Agar kaisi bhi uniform leke uspe fake name tag bhi laga leti to kya farak padta?

Saurabh - Usne kaha ki agar uniform real hogi to job real lagegi. Pehle to mujhe ye samajh nahi aaya tha lekin baad me pata chala ki chori ke baad report to fake uniform ki bhi likhwa sakte the lekin wo real uniform use karna chati thi taki tumhe aisa feel ho jaise tum kuch kar nahi sakti.

HM - To matlab ye sanki hai aur ego hurt karna cahti hai?

AJ - Right, I remember now. Maine aapko bataya tha ki Khushi thane me aayi thi aur phone pe uski boss thi? Tab bhi usne yahi kaha tha, apni wardi ko to bacha nahi payi kisi aur ko kya bachaogi.

*Saurabh didn't meet her eyes as he continued.*

Saurabh - Mam usne koi bhi kaam achanak nahi kiya hai, usene sab pehle se plan kiya hua tha. Hassena mam ko yahan bulana, Aarushi ko iss sab me fasana sab kuch pehle se plan tha. Main ek din uske office me gaya tha jahan usne ye likh rakha tha, mujhe jyada ache se to kuch nahi dikha lekin itna samajh jarur aa gaya ki ye khud na fasne ke liye baaki sab ko fasa sakti hai.

AV - Ek second, agar ye sab phele se plan tha to jo cases shuru me aaye the unme Aarushi Jain ka naam clear kyu nahi tha?

Saurabh - Sir college students hain, illegal kaam me expert nahi. Wo dar gaye the ki aise kisi officer pe direct blame kaise lagayenge. T ne iss sab ko lekar bahut tamasha bhi kiya tha, Bacho ko danata tha aur unki fees bhari ye baat bhi baar baar pe samne rakh rahi thi. Phir usne teen char laws sikhaye aur police interrogation me kya kehna hai ye train kiya. 

Baad me agar kisi bache ne back out karne ke liye bola to unko bhi usne yahi kaha ki wo paise de rahi hai aur agar ab back out kiya to jhootha case likhwane ke crime me pakad lenge.

AV - Aur Haseena ji se kya connection hai is sabka?

New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now