Samairaa gets up and exits the hall. She is supported by the railings as she stands in the courtyard. Karishma interrupts the call in the middle of it, telling Billu to find out where the family is going and how they are getting there.
KS- Santu tum Billu ke saath line mai raho, aur yeh bhi dekho abhi konse buses, trains and flights a ghante mai take off karegi. Agar woh itni jaldi nikle hai toh sure hai hum aadhe ghante mai nikalenge. Aur best woh flight yaa fir bus se jaayenge kyuki train mai kitna der rukna pade yeh pta nai rehti hai. Isliye koshish karo search karne ki.
SS- Ji Maddam.
KS- Agar by chance woh Airport jaate hai toh hum wahan ke incharge ko uski photos aur details de rahe hai, taaki unhe woh rok sake.
SS- Maddam Railways or Bus mai bhi de dete hai,
kS- haan Santu hum bus aur railways mai bhi details send kar rahe hai, aasha karte hai, woh log Bus yaa fir flight se jaaye, railway station mai dhundna bhut kathin ho jaata hai. Tum Karo, hum Issey dekh kar aate hai.
SS- Okay Maddam.
Karishma exits the room and joins Samie in her seat. Samie was watching news videos on YouTube.
Karishma sneaks a peek on her phone. Giving the evening news was the reporter."Kal hai election ka akhri din, jis din pta chalega ki, Lucknow ke logon ko Haseena Malik ke Zajbaat ki jarurat hai, yaa fir Karishma Singh ke Bhaukaal ki. Voting lines kal shaam 6 baje tak band ho jaayenge, isliye jitne bhi humare darshak vote nai kiye hai,.unse aavedan hai ki woh kal Tak kare. Voting ke details screen mai mil jaayegi. Ab badhte hai agle news mai, jo ki phir Mahila Police Thana se hai.
Samairaa Vashisht, jo MPT Janpat ki ASI hai, aur Karishma Singh ke under training le rahi hai, unhone aaj teen bacho ko behrehmi se maara, wajah abhi tak batayi nai gayi hai, aur ASI Samairaa Vashisht ke khilaf koi action bhi nai liya gaya hai, yeh incident Aaj subah 10 baje hua tha.
Aakhir Police itni strict ho gayi hai, ki bina kisi wajah maara jayega, aur agar koi wajah hai, toh kya hai, yeh humse chupaya kyu jaa raha hai, kya iski wajah se Karishma Singh ke voting mai koi asar padega?KS- Band kardo.
SV- Kyu?
KS- Yeh sab sunne mai kya acha lag raha hai.
SV- Maine kaha tha naa, meri wajah aap phass naa jao, dekho woi hua.
KS- Samairaa tumhe pta hai, yeh humare liye yaa humare thaane mai se kisi ke liye bhi naya nai hai.
Har baar aise hote hai, hum kuch hatke alag karne jaate hai, aur puri media duniya humara mazaak udati hai.
(Karishma mocks her team's experiences dealing with trolls from everyone as she chuckles sadly.)
Aur jab hum apne missions mai, plans mai successful ho jaate the, toh yahi Media, yahi log hum par proud feel karte hai.
Aur hum, MS,.Santu, Cheeta aur PhuspaJi sab bas logon ke badalte rang dekhte the. Hum sab ko pta tha ki yah bas kuch din ki baat hai, fir yeh koi nai controversy laakar humare thane ke ache kaam ko bhul jaayenge.
Inse kya shikayat kare, jab humare department bhi yahi karti hai. Jara sa patta bhi hil jaata hai toh
"chalo, MPT band kara do"SV- Toh fir aapne pura kyu nai suna?
KS- Kyuki hum ab yeh faltu ki baaton Mai dhyaan hi nai Dena chahte, dur rehna chahte hai inke baaton se, bas apne kaam par focused.
Jissey jo bolna hai bolne do, hum yahan jo kaam kar rahe the, hum woh karenge. Baaki duniya jaaye bhadh mai, koi parva hi nai.
SV- Yeh no parvah wala attitude kab aaya aapke andar devi?
KS- Naa parvah karne wala attitude bhi, kai baar bematlab aur faltu logon ki parvah karne ke baad hi aata hai.
Pehle ek stage hota hai, jab hume har choti choti baaton se farak padhta hai, "ache lag rahe hai, koi judge toh nai kar raha, log kya sochenge"
Fir ek samay aata hai
Mere ko kya mai toh ....SV- Batak hun! (Says quickly in excitement)
KS- Exactly!
SV- Toh aapko sach mai dar nai hai election ka?
KS- Hum itne der se kya geography ka lecture le rahe the? (Angrily)
SV- Acha acha theek hai, nai padhta aapko election se farak thik hai? (Joins her hands)
KS- Good Girl!
SV- Bas aapki chatri Maya mai hun devi.
KS- Tum hindi mat bola Karo.
SV- Kyu?
KS- Samairaa woh "Chatra Chaya" hota hai.
SV- Chatra and Chatri do the same work naa.
Thoughts of correcting Samairaa's Hindi caused KS to stop herself because she realised it would be useless.
KS- Tum rehne do.
SV- Okay.
They watch the passersby, the children playing, the cyclists enjoying their evening while they sit in silence. Karishma was completely engrossed in the view before her, and Samairaa took a slow, deliberate look at Karishma before turning her attention to the view. She carries on in this manner for a minute.
SV- Par tab bhi aapko meri vajah se....
Given that Karishma anticipated what Samairaa would say, she glares at her angrily, forcing Samaira to halt her remarks.
Samairaa closes her mouth and keeps a finger on her lips after observing Karishma's roiling rage. Karishma grimly nods.
Santosh finally lets out a satisfied sigh inside after receiving some crucial information. She shuts down her laptop and exits the room.
SS- Maddam?
KS- Haan Santu bolo.
SS- Uss ladki ki family kahan hai pta chal gaya hai, woh Bus se nagpur nikal rahe the.
KS- Tumne...
SS- Don't worry Maddam, Maine Bus ko filhal halt karne keh diya hai. Par woh log jayda wait nai kar sakte.
KS- Koi baat nai, hum ussey abhi laate hai.
KS rushes inside to get her keys, but Samairaa stops her as she crosses her path.
KS- Samairaa haath chodho, late ho jayega. Hum ussey wapas Lana hoga.
SV- I know, par aap Bus station nai jaayengi, woh khud aapke pass aayegi. Bas, kaise bhi karke uski bus miss ho jaaye.
KS- Yeh kya bakwas hai, ussey aana hota toh woh aa nai jaati?
SV- Soch lo, woh udhar scene create ho, har cheez usko Jabardasti lagey, Issey acha ussey khud aane do.
KS- AUR kaise hoga yeh?
SV- Aap hai naa. Aap karengi yeh jaadu. Bas yeh Mera plan sun lo.
Samairaa releases Karishma's grip and gives her a wink.
YOU ARE READING
By Your Side
FanfictionIn the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train under SI Karishma Singh. What twists and turns will Karishma experience, and how will they impact her relationships with others? (So fed up of...