Dance the night away.

201 31 6
                                    

-cuz I love Dua Lipa! 🥳🤌

SV- Toh Chale?

KS- Kidhar?

SV- Ek nai duniya banane, jisme sirf aur sirf khushiyan hongi.... Na koi duty naa koi kaam, kaa koi stress. Just Happiness.

KS- Tum jao.

SV- Chali toh jaati par kya karun aapko chodh ke jaane ka man hi nai karta. Aapse dur hone par naa Aisa lagta hai jaise life Mai kaafi kuch Miss ho gaya. You are Magical Karishma Singh. Par

KS- Dekho hum jaante hai tum humari koi respect nai karti ho toh Karishma bolo, aur dusra yeh maska mat maaro hume.
Hume yaad hai last time tumhe bacha samajh kar entry rok diye the, isliye tum humare saath Jaana chahti ho naa?

SV- I am not a kid okay? Mere paas mere IDs hai ussey mai entry Kara sakti hun.
Aur dusri baat I respect you tabhi toh leader, boss yaa Karishma Singh bolti hun.
Aur agar yeh bhi nai chahiye toh
Meri Pyaari Karishma Didi Jii (Samairaa joins her hands)

Karishma stares at her.

SV- Kya? Umar ke hisaab se toh Didi hi bolna padega naa. 7 saal bade ho aap mujhse.

KS- Hume sach sach batao party mai kya karna hai tumhe. Yahan kitna shaant hai. Enjoy Karo naa.

SV- Nai. Mera cheese bhi nai hai Aaj iss Ghar Mai. Mai uske Bina kaise rahun?
Hey Bhagwaan mere ko toh saas bhi nai aa rahi uske Bina.

Samairaa pretends as though she is being suffocated and holds her hands over her heart.

Samairaa is ignored by Karishma, suggesting that there is no point to this drama.
Samairaa frowns

SV- Sach batane par chaloge?

KS- Ab hum baat kar rahe hai.

SV(sighs)- Nothing Santosh Sharma was actually missing you.

KS- Par hum toh uske samne the?

SV- Practically.

KS- Toh? Aur kya kare.

SV- Kaam se kaam rakhna bhut achi baat hai Leader. But unn baaton Mai kabhi kabhi hum unko hurt kar baithte jinki koi galti nai hoti.

KS smirks- Kya galti? Aur kon hurt ho Raha hai? Tumhe kya lagta hai hume acha lagta hai yeh sab karna?

SV- Bilkul nai. But mujhey yeh bhi pta hai aapki yeh stone banne ki parad wapas chadh gayi hai. Acha hai. Bhut acha jinhone aapke achepan ka fayda uthaya unhe toh yeh saza milni chahiye. Par woh insaan jisko apni galti ka ahsaas hai ussey kyu gussa hona?
Life bhut hi kam loyal log bejhti hai iss zindagi mein.
Kaafi ko toh woh bhi nai milta.
Ab mujhey dekhlo. Kon hai mere liye idhar?
Jispar trust Kiya sab ne Mera Aisa trust toda ki ab insaano se nafrat ho gayi mujhe.
Par abhi aapke paas woh log hai.
Ek yaa do hi sahi. Unhe kho mat Dena.

KS- Tumhara koi nai hai Samairaa?

SV- Yahan Aapki baat ho rahi hai meri nai.

KS- Thik hai. Yeh mat sochna ki hum tumhare bhashan se ready hue hai, hume bas break chahiye tha.

Samaira celebrates her victory in the dispute with a smile as Karishma heads upstairs.

________________________________

Someone gives the door a loud knock while Haseena is calmly reading a book at her table.
When Haseena notices that there is a thumping sound coming from the main door, she grabs her revolver from the bedroom and approaches it cautiously. Pointing the rifle at the person, Haseena opens the door fast. Her expression shifts from shock to relief and back to horror, though.

By Your Side Where stories live. Discover now