There is a Mastermind

177 24 0
                                    

SHO- Rajeev jara woh wire scam aur kal jo building Mai aag lagi hai uski file laana.

The constable brings both files, and the SHO checks the file and sends him back to his desk. 
 

SHO- Yeh dekhiye.

He hands the file to Haseena.

SHO- Yeh hai Wire scam mein shaamil log. Aur yeh (points at a photo) Inka leader, Karan Vashisht.

Inn logon ne 2 saal se nakli or poor quality ki wires har jagah mein jayda daam lekar lagayi. Humare area aur humare aagey jo Chobey Nagar hai udhar. Kaafi fire accidents hue hai inki wajah se. Yeh log paise bachane ke liye nakli aur weak copper core lagate the. Saath hi saath inke wires mai cut rehte tha jo log notice nai karte the. Fir jab humne notice Kiya ki jitne bhi dukaan, ghar, yaa aise building Mai ek hi type ka wire hai aur yeh sab ek hi dukaan se aata hai. Humne pakkad liya inhe.

Aur aapke iss building mein bhi yehi wiring use Hui thi.  Aur uss building ke aas paas koi nai rehta, isliye fire department ko bhi yeh khabar late mili. Jiski wajah se woh uss building ko jalne se rok bhi nai paaye. 

HM- Agar yeh log do saal pehle pakde gaye the toh aapne wires kyu nai hataye.

SHO- Maddam ab hum kya Ghar Ghar jaakar wiring check karenge? Humne har jagah awareness failayi thi, par iss building ke maalik ne woh baat seriously nai Li. Aur padh Gaye lene ke dene.

SS- Sir but yeh baat kabhi news mein kyu nai aayi? Agar itna bada scam hua tha, itne accidents hue the toh yeh baat pta chalni chahiye thi.

SHO- Ab aap jaanti hai yeh Naya area hai, abhi yahan ke vidhayak aur business Wale Issey develop karne ki koshish kar rahe hai, aur agar aise mein yeh baat bahar aati toh aap jaanti hai department par aur party par kitne laanchan lagte.
Isliye yahan ke logon se yeh baat daba di thi.
Aur Samairaa Vashisht ko aap jaante hai?
Woh toh right hand hai Chief Minister ki. Unke haathon mein toh Puri media hai. Kab, kahan aur kya khabar failana hai woh unke haathon mein hota hai.  Aur ek aur hai, Rahul Verma.
Woh idhar pure area ko control karte hai.

Aur jitne bhi fire accidents hote hai idhar woh humare Rahul Sahab rok dete hai yeh khabar failne se. Aur woh Puri koshish bhi karte hai victim ki family ko security provide karne ke liye. Isliye janta bhi shaant rehti hai.

HM- Kitne baje aag lagi thi?

SHO- Fire  department ke hisaab se kal raat ko. Samajh lijiye 9-11 baje ke beech.

HM- Thik hai.
Aur is building ke owner, aur jitne bhi log yahan kaam karte the? Unka kya.

SHO- Unfortunately humare paas koi khabar nai hai unki. Hume laga woh insurance claim karne yaa investigation ke liye call karenge. But humne abhi tak koi calls receive nai kiye. Aur rahi baat jo log udhar kaam karte the, fortunately aag lagne ke samay koi wahan nai tha. Isliye Bach Gaye.

HM- List mil sakti hai unn logon ki jo wahan kaam karte the?

SHO- Hum aapko forward kar denge. Aap email likh dijiye.

UM- Sure.
Acha ek minute.

Haseena takes a packet from her pocket and shows it to the SHO. 

HM- Yeh hume wahin par gira mila tha. Aap mein se kisi ka hai?

SHO looks closely at the bracelet and nods in 'no'.

SHO- Mera toh nai hai, please aap bahar jakar puch lijiye. Maybe Staff mai se kisi ka ho. Kyuki humne jab jagah chaani thi tab yeh wahan nai tha. Yeh mai bharose se keh sakta hun.

HM- Ji hum puchte hai. Thank You for your help.

SHO- Ji.

They shake hands, and Haseena and Santosh leave the cabin. They go outside and ask about the bracelet's belongings. No one accepts the bracelet, and Haseena gives up the inquiry.

By Your Side Where stories live. Discover now