HM- Karishma Singh, I am Sorry, aapko humari wajah se itna jhelna padha. Humse bhut badi galti ho gaye. Par ab hum samajh chuke hai kisi ko badlana acha hota hai, par puri tarah se usse uska haq chinna hota hai.
Hum apni zid mai itne andhe ho gaye the ki humne kabhi dekha hi nai woh baatein aapko kitna dard deti hai, kaise dost the hum.KS- Maddam Sir... Hum aapas naraz nai the kabhi, hum khud se the. Iss baat se the ki hum chahe jitni bhi koshish kar len, hum aapke liye galat hi the.
Aapne jiss waqt khaha tha hi aapko humari koi zarurat nai hai, pta hai humse uss din khud ko sabse akela samjha. Hum uss din jayda Tut Gaye the. Itna dard shayad aapke jaane ke baad hi hua tha.
Hume khud par Shak hone laga tha, hum chahe kitni bhi koshish kar len, hum toh galat hi the Naa Maddam Sir, khud ko samajh nai paa rahe tha. Koshish kar rahe the apne aap ko shant rakhne ki, par woh Shanti humare andar dar aur ghabrahat ka roop lene lag gayi thi.
Par jis di PhuspaJi ne aapko chuna uss din hum haar Gaye the Maddam Sir.
Hume iss baat se dukh nai hua ki unhone aapko chuna, hume dukh isiliye hua ki hum unhe prove hi nai kar paaye.HM- Nai Karishma Singh, ab aapko koi zarurat nahi hai, khud ko badalne ki, kisi ke Nazar Mai jeetne ki. Chahe woh hum rahe yaa PhuspaJi yaa koi aur. Ab aap apne jaise rahengi, jaisa aap chahe. Kyuki humne yeh dekh liya ki Jo yeh do char mahinon se humare samne hai, yeh woh Karishma Singh nai hai jisse hum pasand karte the, yeh toh koi aur hai. Woh confidence confusion mai badal Gaya tha, woh nidar aakhon mai ghabrahat dikhti thi. Humne Aaj realise Kiya ki humne aapko apne paas laane ke liye aapko hi aapsa cheen liya.
Kaise khush reh paate hum aapko apne saath nai dekh kar.
Jab Samairaa ne hume call Kiya hum... Hum bta nai sakte humare man mai dil mai kya chal raha tha. Sab kuch ruk Gaya tha humare liye.
Hume laga humne kho diya aapko, iss baar puri tarike se.
Aapki har ek baat, aapke saath bitaya har ek pal humare samne chal raha tha. Aur tab hume ahsas hua ki humne aapko humari iss dosti ko taken for granted le liya.KS- Maddam Sir par ab inn baaton ka kya fayda? Jo hona tha ho gaya naa.
HM- Nai. Aaj suniye aap. Bhale hi PhuspaJi ne humko choose Kiya tha. Par humari toh choice aap hai naa. Choice kya... Aap hi humari sab kuch hai. Jisne hume humare har mushkil waqt par saath Diya, humari dhaal bankar khadi rahi, humare saath kabhi kuch galat nai hona Diya, aur sabse badi baat, humse itnaa pyaar Kiya. Itna Jo humne kabhi kisi aur se feel nai hua, uske liye toh aapke sivay koi aur nai hai. Humare liye hamesha se aap thi. Hum kisi aur ko khudse dur hote dekh sakte hai, seh sakte par Karishma, aapko khud se dur hone ke khayal se hum sahan jaate hai.
Pta nai aap kaise humare Bina reh Li, kyuki humare andar itni taakat nai hai.
Jab puri duniya humare dil ke tukde kar rahi thi, tab aap humare paas baith kar usse jodh rahi thi. Sirf aap.Bhut the jinhone hume feel kabhi acha feel karaya kabhi bura par Karishma Singh ne jo humare man mai chaap chodhi hai woh kisi aur ne kabhi nai ki. Chahe woh aapke Bhai kyu Naa ho.
Uss dard se bhi hum aagey iss liye badh paaye kyuki humari taakat humare paas thi.
Jo apni Maddam Sir ko ek baar bhi akela mehsoos nai hone de rahi thi.
Bhale hi puri MPT ne hume khush rakhne ki koshish ki, par khushi aapne hume di.
Aapke saath se, aapke dosti se humne har woh cheez haasil ki hai jo hum kabhi kar nai sakte the.
Hum ab nai chahte aapko badalna. Humne aapka Dil toda naa, hum aapka Dil jodenge. Woh ziddi, gussail, confidence wali Karishma Singh ko wapas hum laayenge.
Aap chahe humse jitna bhi dur jaaye.KS- Maddam Sir... Aapne Jo itna bada bhashan kaha hai abhi,usme aap Sorry bhi bol deti toh chal jaata, kyuki aadhi baatein ko yaad bhi nai Rahi.
Haseena chuckles.
HM- Kya Karishma aapne toh humare time, energy aur aasun teeno waste Kara diye.
Haseena smiles while wiping her tears. Karishma puts her hand over Haseena's hand and they share a eye lock.
KS- Haseena aapse... Maddam Sir aapse kuch important baat karni hai.
HM- Kahiye Karishma. Aur aap hume Haseena kehne se dariye mat.
KS- Haseena, humein lagta hai, hum dono... Humare pass... Hume... Hume ab...
Karishma confusedly changed words without meeting Haseena's eyes, while Haseena just stared at the latter with a different feeling.
HM- Karishma please saaf saaf boliye.
KS- Maddam Sir, humein nai lagta hai hum kabhi saath Mai shaanti se reh paayenge, hum jab bhi saath hote hai jhagda hota hai, man motav hota hai, insecurity rehti hai, aapko humari baatein samjh nai aati, humein aapki, yeh sab sahi nai hai. Naa aapke liye naa humare liye.
Karishma pauses and looks at Haseena, whose smile has faded. Karishma feels guilty.
HM- Boliye Karishma, hum sun rahe hai. Puri baat kijiye.
KS- Bas yahi, ki ab humein shayad ek dusre se break le lena chahiye. Saath rehkar dur hone se acha dur hokar saath rahe. Taaki aur gile shikwe naa ho.
HM- Hmm aur kuch, jisme hum aapki madad kar sakey.
KS- Nai. Aap... Aap naraz toh nai hai naa?
HM- Naraz?
Haseena chuckles.HM- Bilkul bhi nai Karishma, hum samajh sakte hai. Chaliye ab hum chalte hai, PhuspaJi aati hogi. Bye. Take care.
KS- Shukriya. Par Maddam Sir hum aapko khona nai chahte.
Haseena smiles one last time at Karishma, but it is clear that the sentence has broken her and her smile is completely fake. Haseena goes out of the room, and without saying anything to anyone, she goes into the parking lot and sits in her car. Haseena texts Phuspa Ji about her departure and drives back to the police station.
वो जो कहते थे बिछड़ेंगे ना हम कभी वो जो कहते थे बिछड़ेंगे ना हम कभी अलविदा हो गए
देखते देखतेHM(mono)- teen saal ki dosti Yun teen second mai toot jayegi kabhi socha naa tha. Khair teen second toh sirf kehne mai lagey hai, pta nai aap kitne mahino se yaa saalon se yeh break Lena chahti thi. I guess I was interfering too much. Or I didn't care about it at all.
I don't know Karishma Singh, I don't want to leave you. Aap woh thi jinse hume khushi, dukh, hasi, mazak sab seekhaya hai. Aapki woh baatein, aapki woh ladai har cheez hume achi lagti hai, par woh har baat nai jab aap humse dur jaane ki baat karti hai, kyuki hum toh ek hai naa? Hum toh ek hi the, fir kya ho gaya.
Hum Jo sochte the woh aap samajh jaati thi, aur aapke dimaag Mai kya chal raha hai woh hum samajh jaate the.
"Hum aapko khona nai chahte" huh!
Break lene ki baat se hi aapne kho diya sab, aapne kya, humne khoya hai sab. Aapse dur hokar, humne Aaj har jeeti cheez kho di.
Hum bache nai hai Karishma Singh jo sochenge ki aap break khatam karengi. Hume bhi pta hai break lena matlab har cheez puri tarah se khatam.Par.....
Kahin naa kahin hume bharosa hai apni yeh dosti Mai. Aap wapas aayengi. Zarur aayengi.
Aur hum koi kasar nai chodenge iss baar. ISTG!Haseena smirks and pulls the Gear and drives faster.
YOU ARE READING
By Your Side
FanficIn the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train under SI Karishma Singh. What twists and turns will Karishma experience, and how will they impact her relationships with others? (So fed up of...