SV- Waise Leader jab ab parso se joining hai toh kyu Naa Aaj ghumne chale. Pta nai fir mauka mile yaa Naa mile.
Samairaa speaks while scrolling on her phone, sitting beside Karishma.
KS- Hum hospital se ghumkar aa chuke hai.
SV- Kyaa yaar, aapki life ko enjoy karna hai ki nai aapko? Yeh bhi koi life hai? Utho, khao duty Karo, sojao.
Ek din toh time Mila hai.
Chalo naaa.KS- Tumhare yeh Cheese ka kya, jo humare pairo par leta hua hai?
SV- Awwww.... Don't worry Cheese ki mamma, usko koi problem nai hai. Khana toh usne kha liya hai woh sota rahega ab 5-6 ghante.
KS- Kitne free hokar soraha hai, aur iske fur kitne soft hai.
Karishma is sliding her fingers through his fur.
SV- Lagta hai kisi ka Dil pighal Raha hai.
KS- Nai, bas jo sach hai woh keh rahe hai.
SV- Nevermind.
Acha chalo naa yaar please.KS- Samairaa Hume duty ki taiyaari karni hai. Bhut saara kaam hai, tum jao naa, tumhe kon rok raha hai?
SV- Aap iss liye nai aana chahte naa, kyuki last time aapne mere saath apni baatein overshare kar di thi, aur aapko lag raha hai ki agar aap fir mere saath aaye toh fir humare beech Mai woh baatein hongi, jo aap nai kehna chahte?
Karishma's fingers stop touching his fur and she looks at her phone.
Samairaa gives a defeated smile.KS- Nai Aisa nai hai. Hum already tumse kitni baatein karte hai. Hume kyu problem hogi.
SV- Acha? Toh yeh baat sochne mai aapko itna time kyu lag Gaya?
Karishma closes her eyes to avoid any eye contact with Samairaa because she knows Samairaa can detect her discomfort easily.
SV- Rehne dete hai Leader, fir kabhi.
Bas ek baat kehni hai, apne Dil ko halka karna seekho, kisi se baat karke yaa kuch kaam karke kisi bhi tarike se.
Bas apne man ko shanti do woh har ek insaan se joh aapko aapne mental state ko pareshan kar raha hai. Aapne kisi ko khush karne ka theka nai le rakha hai.
Dusron ke saath saath khud ko khush rakhna seekh lo please.
Kyuki
Jab aap apni life ke sabse critical stage mai aaoge naa, yeh dusre yaa apne jhaakne Tak nai aayenge. Sirf aap rahoge uss stage par. Sirf aap.
Toxic logon ko paane ke chakkar mai aap khud mat kho dena.Karishma gets frustrated and shouts angrily.
KS- Samairaa har waqt baat man behlane ki nai hoti. Yeh Jo shabd hai naa "Adulting" woh hai jo chain se jeene nai deta. Zindagi na race ki tarah ho jaati jab hum bade ho jaate hai. Har waqt bhaag bhaag kar kaam karne par bhi hum late ho jaate hai.
Responsibilities itni badh jaati hai.Adulting matlab har waqt mar mar kar responsibilities puri karna, aur apne sapno ki har waqt Bali chadhna kyuki enjoy karenge toh pta nai kab waqt waste ho jayega aur koi kaam reh jaayega jiske baare hum apne seniors se taane sunenge.
Humara kaam hum dusron ke liye nai kar rahe, apne liye kar rahe hai, apne future ke liye kar rahe hai.
Khud ko sambhalna, family ko sambhalna, monthly expenses sambhalna, har waqt khud ko baat dena. Yeh tumhari generation nai samjhegi specially tum.Tumhare paas khud ka buisness hai, jab chahe kaam Karo jab nai, par humare paas idhar ek hi job hai jisme kaam pahaad jaisa aur salary cheeti jaisi. Kitnaa hard hai sab kuch manage karna. Isliye jab khud ka time milta hai tab hume lagta hai, chalo bacha hua kaam kar lete hai, yeh faltu cheezein ka hume shauk thaa, par ab sab kuch khatam ho chuka hai.
YOU ARE READING
By Your Side
FanficIn the towns of Lucknow, ASI Samairaa Vashisht is a recently appointed officer. She has been told to train under SI Karishma Singh. What twists and turns will Karishma experience, and how will they impact her relationships with others? (So fed up of...