😁🧑🏻Like father like son🧒🏻😁

180 9 0
                                    

Y/n kitchen mein khana bana rahi thi ke koi peeche se aake usse hug karta hai aur woh jaldi se peeche mudke uss insaan ko dhakka marti hai aur woh insaan floor pe jaake gira (dhadam 💥)

Jai- Aaa!!!! MUMMY!!!! Kya y/n aise kaun dhakka marta hai.

Y/n- Aisi choron wali harkatein karenge toh yeh hi hoga.

Javin wahan aaya

Javin- Kya hua mummy mujhe papa ke chillane ki awaz aayi.

Y/n- Kuch nahi beta, bas tumhare papa gir gaye, tum woh sab chhodo aur khana khane baitho.

Woh javin ko leke jaa rahi thi jai ko kehti hai

Y/n- Aapnake nimontron dite hobe! ( translation: aapko invitation dena padega).

Jai- (Uthte hue) Haan aa raha hoon, aur haan y/n yaar please yeh apni yeh bengali side mein rakkha karo kabhi kabhi mujhe samajh nahi aati-

Phir jab woh uss jagah dekhta hai jahan javin aur y/n khade the, toh woh dono wahan nahi the dinning table pe baith chuke the aur khana bhi shuru kar diya tha phir woh bhi unhen join karta hai

Time skip

Y/n apne face pe aur haath pe lotion laga rahi thi aur keh rahi thi

Y/n- Haath pakadke bhaagi thi main aapka apne ghar se.

Jai- Ek question hai, insaan jab bhaagta hai tab haath pakadke hi toh bhaagta hai paer toh nahi pakadta na(jokingly).

Aur idhar javin ki hasi nikal padi

Aur y/n ne diya baap bete dono ko glare

Y/n- Aapko pata hai jab bhi main apne mayake jaati hoon mere padosi, mama mami, chacha chachi, phuppa phuppi, sab mujhe bhagodi kehte hain even cousins bhi!

Jai- Aw le le le, sacchi mein, hmm.

Y/n- Aami ki baccha je amar shathe amon bhabhe kotha bolchen! ( Translation: Kya main bacchi hoon jo mujhse aise baat kar rahe hain).

Jai- Yaar yeh ajeeb aadat hai tumhari gusse mein bangla bolne ki.

Y/n- Jab ek bangalan se shaadi ki hai toh yeh sab sun na padega, aur itna hi shauk tha toh karte kisi punjaban se shaadi.

Jai- Accha woh sab chhodo aur baitho mere paas.

Y/n- Hath!haath nahi lagaiyega bol de rahi hoon main-

Jai- Arre baitho na yaar(apne paas baithate hue).

Jai- Kitni baar na tumhe kaha hai yeh dhan dhan dhan dhan nahi karogi, mujhe takleef hoti hai toh.

Y/n- Ishh, takleef hoti hai.

Jai- Chhodo woh sab aur chalo na meethi meethi baatein karte hain (y/n ka haath apne haath mein lete hue).

Y/n- (blush smile) Kya meethi meethi baat.

Jai- Batata hoon-

Javin- Mummy!! Mujhe bathroom jaana hai.

Phir javin ko leke gayi bathroom aur idhar jai ka mood ho gaya kharab

Jai in mind- Le gaya meri biwi ko mujhse.

Phir jai ke khayal bhang hote hain jab usse phone ki ring sunayi deti hai

Jai- Y/n tumhara phone baj raha hai!! Y/n!

Y/n aur javin aaye wahan

Y/n- KYA HAI!

Jai- T-tumhara phone baj raha hai.

Y/n- Accha jab mera phone baj raha hai toh aap nahi utha sakte the!

Jai- Oh haan main bhi toh utha sakta tha-ab tum aagayi na toh tum hi uthalo.

Jeon jungkook hinglish oneshotsWhere stories live. Discover now