Ghar mein shaadi ka mahol tha(yeh kahin suna hua lag raha hai na) thode hi der mein shaadi hone wali hai shama(mahi ke mummy) dulhan yanike mahi ke room mein jaati hai par wahan mahi ko nahi dekhti hain
Woh room se nikalne hi wali thi ke unhe bed pe ek letter sa kuch rakha hua milta hai toh woh kholti hai aur padhne lagti hain
Pehle toh main sabko sorry bolna chahungi par sorry main yeh shaadi nahi karna chahti i know zain se shaadi ke liye maine hi kaha tha par ab.........socha aap sab ko kahungi toh gussa karoge aur mujhe shaadi karni hi hogi issi liye main bhaag rahi hoon......apne boyfriend ke sath Sorry...
Aapki mahi.
Letter padhke shama ke pairon tale zamin khisak jaati hai aur woh uss letter ko leke hall mein jaati hai aur taahid ke paas jaati hai aur usse letter deti hai aur woh padhke toh usse chakkar hi aa jaate hain aur phir ladke walon ko bhi pata chal jaata hai ke mahi bhaag gayi hai
Afsana (zain ki mummy)- Kya!! Mahi bhaag gayi!
Shama- W-woh meri baat suniye-
Afsana- Kya bolengi aap haan! Kya bolengi!! Aaj aapki beti ki wajha se humari thu thu hogi.
Farzana (y/n ki mummy)- A-aap samajhne ki koshish kijiye dekhiye humein bhi mahi se yeh ummid nahi thi....
Y/n in mind- Mujhe toh pata hi tha ke woh mahi aisa hi karegi😂🤣.
Iqbal (y/n ke papa)- Koi thu thu nahi shaadi hogi dulhan hai....
All- Kya!!
Farzana- Kaun ji...
Iqbal- Y/n.
Y/n jo couch pe baithke maze le rahi woh shockness mein khadi ho jaati hai
Y/n- What!!
Iqbal- Haan beta.
Y/n- P-par dad-
Iqbal- Ek minute... Aap please thoda jaaiye.
Woh afsana se kehta hai aur afsana wahan se chali jaati hai
Y/n- Dad main shaadi nahi kar sakti..
Iqbal- Kyun nahi kar sakti-
Farzana- Aapko itni bhi samajh nahi hai beti badi ho gayi hai shayad kisi aur se.........
Y/n- Nahi mumma woh baat nahi hai.
Farzana- Toh phir.
Y/n- Yaar!! Uss ladke ki age lagbhag 25/26 ki hogi main nahi kar sakti uss se shaadi!
Iqbal- Karni hogi tumhe!!
Y/n- D-dad aap samajh kyun nahi rahe meri zindagi barbad ho jaayegi(sobs)!!
Iqbal- Tu zain se shaadi kar rahi hai matlab kar rahi hai and that's final!! Le jao isse aur taiyar karo.
Y/n- Dad nahi....dad please! Please!!
Koi usski nahi sunta hai aur shama aur farzana usse taiyar karne ke liye le jaati hain
Y/n ek zinda lash ki tarah baithi hui thi aur shama aur farzana usse taiyar kar rahi thi
Her look
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.