Namjoon as naman- Pata hai sartaaj kiski shaadi hai.
Sartaaj- Ofcourse bhai pata hai aapke neighbour ki shaadi hai.
Naman- Nahi mere neighbour ki nahi.
Sartaaj- Toh phir?
Naman- Mere friend ke behen ki shaadi hai.
Sartaaj- Oh so....?
Naman- So.. tu kehta hai na ke struggle sirf tere hi zindagi mein hai par nahi tujhse zyada struggle uss ladki ki zindagi mein hai.
Sartaaj- Kaise?
Naman- Hmm....woh 7 saal ki thi tab usski maa ki death ho gayi phir usske dad ne doosri shaadi ki par usski sauteli maa ne kabhi bhi uss se pyar nahi kiya even ussne usske baap ko bhi aise patti padhai ke woh usse dur ho gaya uss se nafrat karne laga pyar karne wala sirf usska bhai tha phir usske bhai ne ghar mein bina bataye ek ladki se shaadi karli aur usse ghar leke aa gaya par unhone unn dono ko nahi apnaya aur woh apni wife ko leke ghar chhod kar chala gaya aur phir...........
Sartaaj- Phir?
Naman- Phir y/n ki souteli maa usse abuse karne lagi baat baat par marne lagi yeh leke usske baap ko bhi koi problem nahi thi aur yeh sab jhelte jhelte usski mentally halat kharab ho gayi aur ab jab woh log usse nahi sambhal sak rahe hain toh usski shaadi de de rahe hain.