Ek ladki apne ghar ke gym mein punching bag mein punch ki baarish hi kar rahi thi maan lo aur usski friend yeh sab sar pakadke baithe hue dekh rahi hai
Kavish- Behen bas kar ab tu jiss tarha se bag pe punch ki baarish kar rahi hai na usse mujhe pakka lag raha hai ke bag phat jaayega par tera gussa kum nahi hoga.
Y/n- Toh tu bata main kya karun!
Kavish- Pehle toh thand rakh aur usske baad deep breaths le.
Y/n- (deep breath) Nahi hoga yaar mujhse!!
Kavish- Bhai aisa bhi kya kar diya ussne jo itna overreact kar rahi hai.
Y/n- Main? Main overreact kar rahi hoon yaar uss ladke ne tujhe chheda matlab meri jaan ko chheda aur tu-
Kavish- Toh tune usska haal behal kar diya na ab khatam kar baat ko, aur yaar main toh baat kar rahi thi na uss se.
Y/n- Waise logon pe na savage lines ka koi asar nahi padta hai.
Kavish- Toh main usse chappal chappal patiyaya bhi toh tha.
Y/n- Again waise logon pe chappal ka bhi asar nahi hota hai.
Kavish- Bas kar meri maa bas kar ab.
Y/n- Main kya karun yaar.....-
Kavish- Tu kuch mat kar, bas chalke khana kha le subhe se nashta bhi nahi kiya hai.
Y/n- Hmm tu jaa main aa rahi hoon.
Kavish- Hmm.
Next scene
Y/n dinning table pe baithti hai aur jaise hi khana khane jaa rahi thi.........
*Ding dong*
Y/n- Kaun manhoos aa gaya iss waqt jo khane bhi nahi de raha hai.
Kavish chali gayi thi apne ghar toh y/n ko hi darwaza kholna padta hai toh woh jaise hi darwaza kholti hai usse usske chahite mama mami dikhte hain
Y/n- Kya kaam hai?
Mami- Yeh kaisa tareeka hai bhai, bade hain tumse zara kadar karo.
Y/n- Darwaza khol diya woh hi bohot hai, aaiye ander aaiye.
Phir woh log ander aate hain aur baith jaate hain
Sharmila (mami)- Sahir beta kahan hai.
Y/n- Bhai office gaye hain.
Sharmila- Waah dekho kitna kaam karta hai baccha.
Y/n- Aaye the kis liye?
Ajay (mama)- Woh beta muskaan ki na shaadi hone wali hai toh woh card dene aaye hain.
Y/n- Oh, bhai ko bula dun kya?
Ajay- Nahi rehne do.
Woh log card y/n ko deke hi chale jaate hain
Time skip
At nightSahir ghar aa gaya tha aur y/n uss muskaan ke shaadi ke baare mein batati hai
Sahir- Wow..... muskaan ki shaadi ho rahi hai? Aisa lag rahe ke kal hi toh usse godh mein leke khilaya karta tha.
Y/n- Woh toh mujhe bhi lagta hai bhai, well chaloge na?
Sahir- Haan haan of course.
Y/n- Waise bhai aap kab shaadi kar rahe ho kavish~ ke sath 😏.
Sahir- Jab tak teri shaadi nahi ho jaati tab tak toh main nahi karne wala.
Y/n- Main nahi karne wala😑, Bhai pehla toh mujhe shaadi mein koi interest nahi hai aur second main sherni hoon sherni jissko sirf ek sher hi sambhal sakta hai aur woh sher toh milne se hi raha.

YOU ARE READING
Jeon jungkook hinglish oneshots
Fiksi PenggemarZyada kuch nahi bas mere dimaag mein aaye hue kuch imagines hain i hope ke aapko pasand aayenge