Aaj khan mansion ko kaafi acche se sajaya jaa raha tha kyun ki aaj iss ghar ka beta wapas aa raha tha jo ki australia gaya tha apni padhai poori karne aur ek taraf apni y/n jissko yeh sab pasand aa raha tha ya nahi woh khud hi nahi jaanti thi
Y/n- Waahhhh badi ammi itni acche itne se taiyariyan chal rahi hain i am sure zain bhai (🙂) ko pasand aayenge.
Kareena kuch kehti nahi hai aur hasne lagti hai
Y/n- Kya hua? Maine kuch galat kaha kya?
Kareena- (chukle) Woh-
Aur tab hi usse aman ka call aata hai jo ki zain ko laane gaya tha
Otp
Aman- Hello ammi aap sab taiyar raho hum bas raste mein hain, specially y/n.
Kareena y/n ko dekhti hai aur muskurati hai
Kareena- Haan haan, jaldi aao.
Aur phir woh phone rakh deti hai
Kareena- Chalo jao beta tum bhi taiyar hoke aa jao.
Y/n- (Fake smile) Thik hai badi ammi.
Aur itna kehke y/n apne room mein chali gayi
Y/n- Huh, Sirf zain hi toh aa raha hai aur inn logon ne khud ko aur ghar ko aise sajake rakkha hai jaise kisi ka nikkah ho.
Phir usske room mein Tania hania aur roshni aati hain
Roshni- Chalo chalo chalo ab jaldi se yeh pehenke aao.
Y/n- Par bhabhi-
Roshni- Arre jaldi jao.
Aur yeh kehke roshni ne usse kapde thamake bathroom ke ander dhakka de diya
On other side
Aman zain ko leke aa gaya tha aur woh pehle farida ke paas jaata hai
Zain- Hey dadi kaise the aap?
Farida- Tere aane se pehle bohot buri thi par ab mujh mein jaan aa gayi hai main bilkul fit and fine hoon.
Zain smile karta hai aur saif aur kareena ke paas jaata hai
Saif- Heyy what's up bro?
Zain- All good.
Kareena- Oh ho kabhi toh please aap dono baap bete jaisa behave karo, kum se kum aaj ke din hi sahi.
Zain- Come on mummy hum pehle bhi aise hi the aur aage bhi aise hi rahenge, hai na?
Saif- Arre of course.
Kareena- Pagal (chukle).
Aur phir zain kajol aur shahrukh ke paas jaata hai
Zain- Aur kaise ho chachu?
Shahrukh- Zindagi jhand ho rakkhi hai beta.
Kajol- Arre jhooth bol rahe hain kaafi sukoon hai inki zindagi mein aakhir main jo hoon.
Shahrukh- Haan bohoooooot sukoon hai.
Kajol- Dekha.
Zain kuch kehta nahi hai bas hasta hai
Kareena- Accha beta sun tu zyada thaka hua toh nahi hai na?
Zain- Umm nahi mummy kuch kaam tha?
Kareena- Haan tha.
Zain- Kya?
Kareena- Aap bolo.
Woh saif se kehti hai
Saif- Haan woh beta aaj tumhari shaadi hai (Waah itna casual).
Zain- Nice joke papa.
Kareena- Yeh koi mazak nahi hai sach hai.

YOU ARE READING
Jeon jungkook hinglish oneshots
FanficZyada kuch nahi bas mere dimaag mein aaye hue kuch imagines hain i hope ke aapko pasand aayenge