Y/n aur javin dono park mein ghoom rahe the
Y/n- Javin.....
Javin- Haan?
Y/n- Kab tak aisa chalega haan, hum kab tak aise chup chup ke milenge.
Javin- Bas aur kuch din ki hi baat hai y/n jaise hi mujhe job milegi aur sab thik ho jaayega na tab main khud tumhare ghar aaunga rishta leke.
Y/n- (smile) Hmm.....Mujhe pyas lag rahi hai....
Javin- Oh....tum ruko main pani leke aata hoon.
Aur phir jaata hai javin pani laane javin ke jaate hi y/n ko sadak ki doosri taraf usska cousin vansh dikhta hai aur woh dekhti hai ke usske samne ek car hai aur uss hi mein baithi kisi insaan se woh baat kar raha hai y/n phir vansh ke paas jaati hai par tab tak woh car jaa chuki thi
Y/n- Vansh? Tu yahan kya kar raha hai aur woh car kiski thi??
Vansh- Y-y/n tu? Woh m-main asal mein woh car mere office ke boss ki hai.
Y/n- Oh........par tu itna pareshan kyun lag raha hai? Koi baat hai kya?
Vansh- Arre kuch nahi hai chhod na.
Y/n- Bolna bhai shayad main kuch help kar sakun....
Vansh- Actually..............y/n tujhe pata toh hai na ke raj bhai ke shaadi mein kitna kharcha hua tha.
Y/n- Haan toh?
Vansh- Toh maine apne boss se loan liya tha aur ab baat yeh hai ki.........aur woh loan mujhe ab 1 mahine mein hi chukana hoga.
Y/n- Oh........ab samjhi waise kitna liya tha tune.
Vansh- Umm.......yeh 50 lakh.
Y/n- What!!
Vansh- Haan.
Y/n- Accha toh ek kaam kar mujhe apne boss ke paas leke chal shayad mere samjhane se woh samajh jaaye....
Vansh- Nahi nahi tu phir bua aur phuppa ko bata degi.
Y/n- Arre baba nahi bataungi pakka promise.
Vansh thodi der sochta hai aur phir haan karta hai
Next scene
Vansh y/n ko apne office leke aata hai aur woh log jaise hi vansh ke boss ke cabin mein jaate hain phir tab hi y/n ko javin ka call aata hai aur woh phone uthati hai
Otp
Javin- Y/n kahan chali gayi tum main kab se yahan tumhare liye paani leke khada hoon.
Y/n- Woh actually mujhe ghar ka kuch zaroori kaam aa gaya toh main wahan se chali aayi sorry.
Javin- Kum se kum bata toh deti.
Y/n- Sorry mujhe time nahi mila batane ke liye......ok main phone rakhti hoon haan bye...
Javin- Bye khayal rakhna apna.
Y/n- Tum bhi.
Y/n phone rakhti hai aur phone ko apne bag mein rakhti hai
Y/n- So sir mujhe vansh ne bataya tha ke ussne aapse loan liya tha par sir 1 mahine mein yeh itne paise kahan se laayega.
Woh insaan apna back y/n aur vansh ke taraf karke baitha hua tha aur phir y/n ki baatein sunke woh mudta hai
??- Woh main nahi jaa-
Woh y/n ko dekhta hai aur chup ho jaata hai
??- Beautiful.
Y/n- Ji??
??- Haan toh main yeh keh raha tha ke woh paise kahan se laayega yeh main nahi jaanta yeh usski pareshani hai meri nahi.

YOU ARE READING
Jeon jungkook hinglish oneshots
FanficZyada kuch nahi bas mere dimaag mein aaye hue kuch imagines hain i hope ke aapko pasand aayenge