Rajveer: Ruhi ka operation chalu ho gya kya?
Rupali: nhi woh darasal...
She told him everything...Rajveer: loji... Khoda pahar aur nikala chuha... Pehle hi dr Aalia ko bula lena chahiye tha... Chalo,, jo huya acha huya... Ruhi ko koi khatra nhi hai...
Shashaank: haa sahi baat hein...
Sakshi hugged him..
Rajveer: ho gya tum loko ka? Aree yrr,,, dad thora bhaw kha lena chahiye tha na... Itni bhi kya jaldi thi?
Sakshi : bhabhi dekho apne pati ko!!!
Upon getting no reply she looked at her... Her husband and sister in law were constantly looking at each other..
Sakshi : kya hua tum dono ko aise kya dekh raha ho... Are haa..mein bhi na🤦🏻♀️
Let me introduce you both... Inse miliya yeh meri pyaari si bhabhi Dr Aarohi Sinha... Bhabs he is my mangalsutra urf pati parmeshwar.. KAIRAV GOENKA..
Aarohi looked at Sakshi and then at Kairav.. Her eyes become teary... Now she knows why she feel a connection with Ruhi.. Because she is her brother's daughter
Kairav : Aaru...kaisi hai tu?
Aarohi avoided his question and remained silent...
Sakshi : App dono ik dusre ko jaanta ho kya?
Kairav: Sakshi,, Aaru meri behan hein....
Aarohi: nhi... Koi behan nhi hoon mai inki... I don't know this guy... Mera sirf ik hi bhai hein... Vansh Goenka...
Kairav : Aaru,,, I know,,Tu mujhse bahut naraz hein...aur teri narazgi jaayaz bhi hein...Lekin mai tera bhai hoon... Yeh sach Tu nhi jhutla sakti... Khoon ka rista hein ham dono ka..
Aarohi: bhai kaisa bhai? Bhai aisa hote hai? Bhai woh hota hai jo apni behan ka liya stand le... Uske tough time mein uski himmat banne.. Aur app,, Aree apne to ik baar bhi mera haal nahi pucha... Meri saadi tut gyi,,, app mujhe honsla dene tak nhi aaye... Mene ghar chod diya,,, ik baar bhi apne call laga ke yeh tak nhi pucha ki Aaru Tu kha hein... Theek hai!!! Aur khud ko mera bhai kehte ho...
Mera bhai Vansh bhaiya hein... Unhone mujhe sabke khilaaf jake support kiya... Jab app sab Akshara ke liya hawan karwa rahe the tabh woh mujhe airport chodne aaye the...ap logo ko to pata bhi nahi hoga ki apke ghar ke do member ghar pe nahi hai....Mere liye bare papa se lar gya... You know what,, ik bhi aisa din nahi gya when he didn't called me... Bhai hona ka pura faraj nibhaya hein unhone...
She pointed towards Rajveer...
Inhe dekh rahe ho... Di ki wajah se dad ko panic attack aa gya... Vijay bhi bahut kuch bola hoga definitely... However this man...he always stood beside his sister,,,chahe koi bhi situation kyun nhi thi...Abhi bhi inko afsos hota hai ki meri behan ne woh paanch mahine akele kaise nikale honge.. Kaash ki woh uss time unke sath hote.... Aree jhoothi hi sahi,,,kam se kam consolation to de deta... Apki sirf ik hi behen hein,,, apko wohi mubarak.. Mujhe maaf kardo....
She went from there angrily... Sakshi went behind her...
Shashaank: bura mat manna Kairav lekin uski kahi ik ik baat sahi hai..
Kairav: ismein bura kya manna dad... Mujhe pata hai mene kitna kuch bigara hein...,, mummy papa ka jaane ka baad mera farz banta tha ki mein apni behno ko sambhalu... Unki khusiya meri jimmedaari thi...aur mene nibhane ki bahut koshish bhi ki... Pata hi nahi chala ,,,Akshu ko sambhalte sambhalte kab Aaru ko corner kar diya mene
Rajveer: just because woh jatati nhi hai,, introvert hein... It doesn't mean usse hurt nhi hota... Tum sab ki ik ik baatein yaad hein usse... Are itna bura bartaav to koi kissi paraye ke sath nhi karta jitna tum loko ne meri biwi ka sath kiya hai....
Mom mein usse dekh ke aata hoon.... Kahi gusse mai kuch ulta sidha nh karde...
Rajveer went to search Aarohi...
Rupali : Kairav manlo tumhari saadi wale din tumhari dulhan baagh jaye... Engagement pe koi aisa tamasha kare... Bina wajah tumse koi important deal torde.. Aur badle mein sab tumhara sahara banne ka bajaye tumhe hi blame kare.... How would you feel? Meri bachi jitni strong dikhti hai nh,,, andar se utna hi tuti huyi hein inn sab taano aur blames ki wajah se... Are kya hi expect kiya tha usne tum sabse? Thori importance,,, thora pyaar... Kuch bara maang liya tha kya?
Kairav: Mom.. I know mene jo bhi kiya woh maafi mangne se theek nhi hoga... Aarohi hi nhi balki mein Sakshi ka bhi gunehgaar hoon...apni behen ko khud gawaah diya mene,,,aur mujhe is baat ka ilam bhi nhi huya....usko itna hurt kar diya mene aur mujhe pata bhi nhi chala....meri biwi ko yaha itna suffer hona para,,,aur mein USA mein tha..jis waqt usa meri sabse jyada jarurat thi,,,mein uske saath nhi tha...apni beti se teen saal anjaan raha mein...mujhe khud se nafrat hona lagi hai.. Mein kya karu,,, kya karu mein
Shashaank came near him and hold him from his shoulder: beta dekho.. Galtiyaan to tumne ki hein...mene bhi ki hein...Haa,,, har insaan se galtiyaan hoti hai.. Yeh ham sab ka liya subhavik hein... But what matters the most is tumhe unsa ehsaas hein ya nhi... Tum guilty feel kar raha ho ya nhi... Mujhe dikh raha hai ki tum kitna sharminda ho... Aaru ko itna time baad dekh kar tumhe use jorse hug karne ka man kar raha hoga... Par woh bhi to apne point pe sahi hai... I know yeh sab kisi ke liye bhi asaan nhi hai.. Tumne bhi apna mom dad khoye hein.. Tumhe nhi pata chala kab kya ho gya... Jo tumhare samhne tha tumne use dekha...usi beech na chahte huya bhi Aaru nazarandaaj ho gyi....I know muskil hoga lekin koshish karo,,, Aaru samjhegi... Bahut samjhdar hein meri beti...She loves her family beta,,uski aakhon mein mene apni family se reunite hona ki umeed dekhi hai...woh jarur maan jayegi...ik baar dhang se mana ka to dekho....agar uss khadoos ki death plotting ko maaf kar sakti hai to yeh toh uske samne kuch bhi nahi hai..,, so my son...Best of luck... Acha abh muh dho kr aayo... Ruhi ko hosh aana hi wala hoga....
Rupali: ik minute Kairav tumhare ghar walo ko pata hein ki tumhari ik beti bhi hein...
Kairav: actually mom... Mein batana hi wala tha.. Frr Ruhi ki heart disease ke chakkar mein sab raita fail gya... Mein jald hi sabko bta dunga...
Suddenly they heard someone's voice: Lekin hame pata chal gya
YOU ARE READING
MEIN HOON NA
Short StorySo the story is about Doctor Aarohi,,, her position in her family and the things she go through..... Akshara always get more attention and love from her family just opposes to that,,, Aarohi was not mattered... Akshara was married to Abhimanyu but s...