Har ladki ko bachpan se hi khwaab dikhaya jaata hai ke uske liye ek shehzaada aayega aur usse pariyon ki duniya mein le jaayega. Usse rani ki tarah rakhega aur jannat dikhayega pr asal zindagi mein toh aisa kuch nahi hota. Shayad kuch ladkiyaan hoti hain jo bahot achi qismat le kar paida hoti hain aur unke khwaabon ke shehzaade unhe sach mein mil jaate hain pr kuch ke naseeb mein aisa kuch nahi hota. Wo toh kabhi inn kahaniyo pr bharosa nahi karti thi pr usse kya pata tha uski qismat mein bhi koi hai pr wo ek shehzaada nahi balke ek jallad tha jo shayad usse jahannam dikhane wala tha. Wo kisi shaitaan se kam na tha, uski ek nigah se sab darr jaate. Usne paisa bahot kamaya tha pr pyaar se hamesha wiran raha. Uske paas sab kuch tha siwaye pyaar aur sukoon ke, phir ek din uski nazar uss pr padi aur sab kuch badal gaya.
_____________________________"Papa....papa please mujhe chodh ke mat jao please papa....mujhe aur mumma ko apki bahot zarurat hai please papa...nahi papa please mat jao."
"Tum meri nazron se dafa hojao...mujhe tumse nafrat hai...tumhe kabhi mera pyaar nahi mil sakta kyunki tum uske qaabil nahi."
"Pr papa mai har cheez karne ke liye taiyyar hu...apko ek beta chahiye tha na mai beta ban kar dikhaungi papa please humein chodh ke mat jao."
"Ek beti kabhi beta nahi ban sakti aur tumhari maa bhi meri iss khwahish ko kabhi poora nahi kar sakti. Tum dono mere kisi kaam ke nahi ho..."
"Papa aap jaisa chahoge hum rahenge pr please aap uss aurat ke pass mat jao...Mai ladki paida hui isme meri aur maa ki kya galti hai? Ye toh Allah Taala ki marzi thi na...please papa mat jao na.."
"Tum mere pass aane ki koshish bhi mat karna jao yahan se," Uss aadmi ne uska haath jhatka aur wahan se chala gaya.
"Papa....papa please mat jao," chillate hue wo neend se jaagi. Aur jab usse ehsaas hua ke bs ek bura khwaab tha.
Wo jaldi se uthi aur aaine me apna chehra dekha. Aansu se uski aankhein bheegi hui thi. Baal bikhre the. Usne jaldi se apna huliya theek kiya aur ghar ke kaam karne lagi. Jab kaam khatam hogya toh apne college jaane ke liye taiyyar hone chali gayi.
Aaj ka Mausam bahot suhana tha par uska mood nahi. Fajr ke waqt halki halki baarish hone ki wajah se sadkon pr bahot achi khushboo aa rahi thi pr wo subah wale khwaab ke socho mein doobi hui thi. Bs wahi pal toh the zindagi ke jisse uski duniya badal gayi aur sab kuch barbaad hogaya. Har ladki ka baap unhe apni pari maanta hai par uska baap usse ek bojh aur badqismati samajhta tha.
***************************
"Kis khayal mein doobi ho ladki?" Kisi ne picche se usse halka sa dhakka diya jis pr wo shock se palat kar usse dekhne lagi.
"Rumaisa, maine tumhe kitni baar kaha hai ki iss tarah se mat kiya karo. Iss bacchi ko dil ka daura dena chahti ho kya?" Wo muskurati hui boli.
"Acha baba sorry, mai toh bs mazak kar rahi thi. Ab Miss Faiza Amani ko ek mazak bhi bardasht nahi hosakta hai ye pata nahi tha." Rumaisa ne kaan pakde aur usse chidhate hue boli. Wo hans padi aur phir dono apni class ki taraf chal diye.
"Girls, I have an announcement please keep quiet." Ms Farhana andar daakhil hoti hui boli aur sabka dhiyaan apni taraf leliya.
"As you all know this college is one of the top women colleges in India and the 25th anniversary of our college is coming and you all are also preparing for it, so I wanted to inform you all that on this special occasion the chairman of our college will also come here." Ms Farhana ke aisa kehne pr sab chillane lage. Aj tk kisi ne College ke Chairman ko dekha nahi tha pr bahot kuch suna tha. Wo ek bahot nek dil insaan hai jo hamesha sab ki madad karte hain. Wo har saal bahot saari ladkiyon ko Scholarship dete hain aur unke padhai ka saara kharcha bhi wahi uthate hain.
"Our chairman wants to reward those girls who are studying hard after coming here on scholarship and the top 3 students of the college will get a gold medal." Ms Farhana apni baat mukammal karke wahan se chali gayi.
Sab aapas mein uss celebration ki taiyyari mein lage the. Rumaisa aur Faiza bhi apne kaam mein masroof the wo dono anchors banne wale the. Unko bahot zyada mehnat karni pad rahi thi kyunki sab ladkiyaan aakhiri waqt tk bhi apne performances ke naam dene aa rahi thi.
"Parsum celebration hai aur ye ladkiyaan aj bhi naam de rahi hain...pata nahi aisa kya taiyyar kiya hai inho ne...bekar mein hamara kaam badh raha hai...Main keh rahi hu Faiza ab ye aakhiri tha, hum ab naam nahi lenge. Itne dino se ye sab so rahi thi kya...humein bhi toh sab taiyyar karna hai na." Rumaisa ne gusse mein kaha.
Faiza ne haske usse samjhate hue kaha, "koi baat nahi rumaisa hum kar lenge sab aur sab isliye aa rahi hain kyunki ab sabko pata hai chairman aayenge isliye sab apna acha impression dena chahti hain. Acha hai na isse hamare college ka naam hi acha hoga."
"Huh...pata hai chairman ke aane ki wjh se hi ye sab dramebaaziya ho rahi hai. Hamare professors bhi unke aane ki wajah se sabko participate karne ke liye dum kar rahe hain." Rumaisa ne munh banate hue kaha.
Faiza uski baaton pr hasi aur phir dono apne kaam mein lag gayi. Jaise hi unka kaam khatam hua unhein principal ne bulaya aur boli ke chairman ko stage pr welcome krke unhein speech dene ke liye kehna hai toh achi tarah anchoring karna keh kar chali gayi.
Wo dono taiyyari mein lage the. Phr unka kaam khatam hogaya aur apne apne ghar chali gayi.
***************************
"Tum kya yahan koi malika ho? Jo humein tumhare aane ka intezaar karna padega?"
"Nahi Mami ji, Wo..."
"Chup raho...tumhe bas bahane chahiye kaam se bachne ke...jao jaldi se khana banao... Shafiq abhi aata hoga bechara subah se bhooka hoga."
Wo jaldi se apne kapde badal kar kitchen mein aagayi aur khana banane lagi.
Shafiq uske mama ka beta tha. Uske papa ke chodh jaane ke baad wo apne mama mami ke yahan rehti thi. Bachpan mein Faiza ki maa ki khwahish thi ke Faiza aur Shafiq ki shaadi hojaye. Faiza ki maa ne ye khwahish apne bhai ke aage zaahir ki thi aur unhe bhi ye baat pasand aayi thi pr Faiza ke mami ko nahi kyunki wo hamesha se Shafiq ki shaadi apni behn ki beti Arshia se karna chahti thi. Bas yahi wajah thi ke Faiza ki mami usse aaj tk bhi chidti thi. Lekin Shafiq Faiza ko bahot pasand karta tha. Bachpan se sirf Shafiq hi ek akela mard tha jis pr Faiza ne kabhi bharosa kiya tha. Warna Faiza ko toh har mard se chidd thi kyunki uske baap ne jo uske saath kiya tha wo bhula ke aage badhna uske liye namumkin tha.
***************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
Agar Story Mein Kuch Samajh Na Aaye Ya Koi Lafz Ka Mayna Janna Ho Toh Aap Comment Karke Mujhse Puch Sakte Hain!
If you don't understand something in the story or want to know the meaning of any word, you can ask me in the comments!
Do comment your thoughts on my very first story...and if you find my story boring, please try to read atleast 5-6 chapters before judging or dropping it.
I'll introduce more characters later in the middle of the story as I don't want to spoil the identity of some people. Please give this story a try before judging it. Atleast read some 6-7 parts before dropping it.
Please Comment And Share Your Thoughts, So That I Get Motivation To Write More.
Follow me for spoilers or trailers on Instagram: happyfairy7_
Thank you!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...