Mohabbat Aur Izteraab Ke Lamhaath

151 6 0
                                    

Shaam ke 4 baj rahe the. Abar ka mausam chaya hua tha. College khatam hone ka waqt hua tha. Sab ladkiyaan ghar jaane ke liye nikal rahi thi. Faiza aur Rumaisa bhi college ke pass wale bus stop pr Ayesha aur phuppi ke aane ka intezaar kar rahi thi. Kuch der baad Ayesha aur Phuppi bhi wahan pahonch gaye aur Adil bhi car liye wahan unhe lene ke liye aagaya.

"Assalamualaikum." Faiza Phuppi se boli.

"Walekum assalam beta." Phuppi pyaar se boli aur sab car me baithne lage.

Phuppi aur Adil saamne baithe the. Picche Ayesha, Faiza Aur Rumaisa baithe the. Aaj Ayesha ke zidd karne pr Rumaisa bhi unke saath jaa rahi thi.

Rumaisa ka ghar Ayesha ke ghar se durr tha toh Adil ki duty thi ke wo Rumaisa ko uske ghar chodh kar aaye. Ayesha ka ghar raaste me tha toh Faiza aur Ayesha apne ghar me chale gaye. Ab Adil Phuppi aur Rumaisa ko le kar Rumaisa ki ghar ke taraf jaa raha tha. Rumaisa ka ghar aaya toh wo Allah hafiz keh kar jaldi se utar gayi toh Adil bhi car se nikal kar uske picche aagaya.

"Madam apna bag toh leti jao." Usne picche se toka toh wo rukk gayi.

"Haan mai jaldi me bhul gayi. Shukriya." Wo bezaari se bol kar bag lene lagi.

"Yaqeen nahi aata tumhe bhai ne kaam karne ke liye kaise chun liya. Ek bag toh yaad rehta nahi aur madam chali mafia me kaam karne. " Adil hasta hua bola.

"Jaise tumhe bahot aata hai. " Rumaisa munh banati hui boli.

Adil kuch kehne hi jaa raha tha toh Rumaisa usse anjaan maarti hui andar chali gayi.

**************************************

"Ye tumhare liye Faiza." Fardan ne phone Faiza ki taraf kiya.

"Pr mai kya karungi phone ka? " Faiza se hairath se puchne lagi.

"Kya karungi matlab bhabi jab bhi zarurat hogi aap humein call ya message karlena." Ayesha ne kaha.

Wo log saath me shaam ka khana kha kar baithe the toh Fardan ne Faiza ko naya phone diya.

"Pr mujhe phone istemaal karna nahi aata di." Faiza ne sharmindagi se kaha.

"Kya?? Aap issi zamane ke ho na bhabi?" Ayesha hairath se puchne lagi. Fardan jaanta tha Faiza ke pass kabhi phone tha nahi toh wo istemaal karna nahi jaanti isliye wo khamoshi se unn dono ki baatein sunn raha tha.

"Haan wo mai ne kabhi zindagi me phone ka istemaal nahi kiya." Faiza nazrein churati hui boli.

"Koi baat nahi. Mai apko seekha dungi ya aap bhai se seekh lena." Ayesha muskurahat ke saath boli.

Faiza aur Ayesha baatein karne lage jisse Fardan kuch kahe bina unhe sunn raha tha. Phir kuch der baad sab uth kar apne kamron me chale gaye.

**************************************
Ayesha apne kamre me aa kar leti aur apna phone istemaal karne lagi.

*42 Missed Calls*
*2 Messages*

Usne messages khole jo kisi unknown number se the.

*Assalamualaikum
Khairiyat*

Saare calls aur messages ek hi number se aaye the toh Ayesha ne calls ignore kiye aur messages ka jawab diya.

*Walekum assalam
Alhamdulillah
Aap kaun*

Ek second bhi nahi hua messages ka reply aagaya.

*Ji mai wahi hu jiske phool badi berahemi se aapne kachre me daal diye.*

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now