Qismat Ki Aag

102 6 0
                                    

"Inki halath bahot naazuk hai. Agar ye subah tk hosh me aaye toh theek warna ye coma me ja sakte hain." Doctor afsoos se bole.

"N.. Nahi aisa nahi ho sakta." Wo aadmi hairath se picche hata.

Doctors wahan se chale gaye.

"Sir aap hi aise kamzor pad jayenge toh kaise chalega?" Kareem jo uska personal assistant tha wo bola.

"Nahi Kareem tum nahi samajh rahe." Wo ab ICU ke bahar khada apne bete ko dekhta bola.

"Tumne maloom kiya ye kiska kaam hai?" Ab wo gusse me tha.

"Sir wo aadmiyon ka kehna hai accident truck se hua tha." Kareem ne kaha toh wo aadmi gusse se laal hogaya.

"Uski itni himmat... Mai jaanta hoon ye kiska kaam hai. Tum yahin raho mai bas kuch der me aata hoon. Usse hosh aaye toh mujhe phone karna." Usne hukm diya aur hospital se nikal gaya.

**************************************
Ayesha ne apni baat kehte hi call kaat di toh Adil aur Rumaisa hasne lage. Faiza kitchen me chali gayi thi shaam ke khane ki taiyyari karne.

"Mai soch bhi nahi sakti bhai ab mera kya haal karne wale hai." Ayesha pareshaani se boli.

"Kuch nahi karenge. Bas thoda gussa ho kar khamosh hojayenge." Adil usse tasalli dene laga.

"Maine sirf thoda sa kehne ko kaha aur tumne toh aise acting ki jaise waqai bhabi ko kuch hogaya ho. Bechare bhai! " Adil phir se munh bana kar bola.

"Haan toh kuch kar rahe hain toh sach bhi manna chahiye na bhai." Ayesha muskurate hue boli.

Rumaisa aur Ayesha haste hue kitchen ki taraf chale gaye aur Adil apne kamre ki taraf.

**************************************
Fardan ka phone baar baar bajne laga toh phone dekhe bina wo tezi se car chala raha tha.

Wo ghar ke pass aaya toh hairath se gaadi rok kar bahar nikla. Poora mansion aag me jhulas raha tha.

Fardan ne car roki phir bahar nikal kar tezi se apne haveli ki taraf bhaaga.

"Faiza...??? Ayesha..?" Fardan ke haath pair kaanpne lage aur poora jism thanda padne laga. Wo haibath se kaanpta hua picche hatne laga. Wo Fardan Shehriyaar jisse duniya ki kisi taaqat se darr nahi hota tha usse aaj bahot darr hua... Apnon ko khone ka darr.... Faiza aur Ayesha ko khone ka darr.

Fardan kaanpta hua wahin baitha uss jalti haveli ko haibath se dekh raha tha jab uska phone phir bajne laga. Fardan kaanpte haathon se bina dekhe phone uthane laga.

*Kaisa laga Fardan tumhe mera tohfa?* Ek aadmi ki awaaz aayi.

*K.. Ka.. un?* Fardan kaanpte hue puchne laga.

*Furqaan Ahmed Sikander* Uss aadmi ne jawab diya.

*Tum?* Fardan gusse se puchne laga.

*Haan mai!* Furqaan gusse se bolne laga.

*Tumse maine kaha tha na mere family se durr rehne ko?* Fardan gusse se laal ho raha tha lekin Faiza aur Ayesha ko khone ka darr ab bhi itna tha ke uski awaaz ladkhada gayi.

*Toh tumne kyun mere bete pr jaanleva hamla karwaya?* Furqaan ke sawaal pr Fardan ko kuch samajh nahi aaya.

*Kya matlab? Tumhara beta bhi hai?* Fardan hairath se puchne laga.

*Tumne mere bete ka accident nahi kiya?* Ab Furqaan ko bhi kuch samajh nahi aaya tha.

*Mai nahi jaanta tha tumhari Faiza ke alawa bhi koi aulaad hai.* Fardan ko Faiza yaad aate hi phir se usse khone ka darr ghabra gaya toh wo uss jalte haveli ki taraf bhaagne laga.

*Mera beta Shamsher Furqaan Ahmed Sikander hai.* Furqaan ne kaha jisse Fardan ne suna toh tha lekin kuch jawab diye bina haveli ki taraf jaane laga.

Jaise hi wo aag ke pass jaane laga uska phone phir se bajne laga. Usne phone ki taraf dekha toh Ayesha ki call aayi thi. Wo ek minute ko chaunka phir phone kaan pr laga kar sunne laga.

*Assalamualaikum Bhai aap aaye kyun nahi ab tk?* Ayesha thodi si sanjeeda thi.

*W..Walekum assalam.. Ayesha??* Fardan ko kuch samajh nahi aa raha tha.

*Bhai wo bas maine mazaak se keh diya tha sorry hum game khel rahe the isliye. Hum yahan phuppo ke ghar hi hai.* Ayesha ne sab sach keh diya.

Fardan bina kuch kahe call kaat kar car me baith gaya aur tezi se apne phuppo ke ghar ki taraf jaane laga.

***************************"**********
"Beta tumhara ye haal kisne kiya?" Furqaan apne bete Shamsher ka haath pakde bol raha tha jo behoshi ki halath me pada tha

"Maine tumhe hamesha apni nazron me rakha kyunki mai nahi chahta tha tum pr mere kisi dushman ki parchayi pade lekin dekho aaj tum yahan bejaan pade ho aur mai kuch nahi kar paa raha. Tumhari maa bhi kisi din issi tarah bejaan padi thi aur mai kuch nahi kar paaya tha aur ussi pal se uss har shaqs se mujhe nafrat jiska kisi na kisi tarah tumhari maa ke maut se koi rishta tha. Tum uski sabse khaas nishaani ho beta.. Mai tumhe nahi khona chahta." Furqaan ab rote hue apne bete se baatein kar raha tha.

"Uth jao na beta please... Tum hi toh mere liye sab kuch ho." Furqaan phir se minnat karte bola.

**************************************
Fardan bhaagta hua andar gaya aur Faiza wahin kitchen ke pass khadi plates table pr jama rahi thi. Jab Fardan ki nazar uss pr padi toh usne ek sukoon ki saans li. Aaj kuch hi ghanto me Fardan jin jin halaath se guzra tha wo shayad hi poori zindagi me usne kabhi socha bhi hoga. Fardan ne bina kuch kahe Faiza ko zor se galle laga liya. Faiza ek pal ko chaunki phir Fardan ko mehsoos karke khamosh hogayi. Fardan bina kuch kahe bas usse galle lagaya hua tha jab Ayesha paani liye unki taraf aayi toh Fardan ne usse bhi galle lagaya aur phir achanak se uske kaan kheenchne laga.

"Ahhh bhai chodhiye mujhe dard ho raha hai." Ayesha dard me boli.

"Aur jo tumne mujhe abhi heart attack diya tha uska kya?" Fardan uska kaan chodhta hua bola.

"Nahi nahi bhai wo mai nahi Adil ne kaha tha mujhe ye karne ko." Ayesha ne saari baat Adil pr daal di.

"Adil?? " Fardan aankh chadhate hue puchne laga.

"Haan aap bhabi se bhi puch sakte ho. Wo meri gawah hai." Ayesha ab Faiza ke picche khadi boli.

Fardan bina kuch kahe Adil ke kamre ki taraf chala gaya.

"Adil tumne itna ghatiya mazaak kyun kiya?" Fardan jaate hi usse mukka maar kar puchne laga.

"Bhai bs thodi der ka mazaak tha. Maine kaunsa sach me kuch kiya?" Adil munh bana kar puchne laga.

"Aaj tumhare iss mazaak ke picche waqai kuch ho hi jaata. Wo toh shukar hai dono yahan thi." Fardan gusse se bola toh Adil sawaliya nazron se usse dekhne laga.

Fardan ne office se ghar tk hone ka saara qissa usse sunaya. Adil ko bahot bada jhatka laga. Wo ab sanjeeda ho kar apne bhai ki baat sunne laga.

"Bhai Shamsher Sikander toh wahi hai na jisne baba ki zameen pr qabza kiya tha." Adil ko yaad aane pr wo bolne laga.

"Haan maine baba ko toh dusri zameen dila di thi lekin ye Shamsher Sikander ka kuch pata nahi chala tha. Aaj maloom hua hamesha ki tarah iss kaam me bhi Furqaan aur uske bete ka haath hai." Fardan gusse se bola.

"Kitna farq hai na bhai bhabi aur unke baap me." Adil afsoos karta hua bola.

"Sach kaha tumne Adil mujhse bahot badi galti hui thi." Fardan bhi afsoos karta bola.

"Jane dijiye na bhai usme apka kya qasoor. Aap ne socha tha uss Furqaan ki beti bhi uske jaisi hogi isliye aap bhabi pr jasoosi karte aur unse nafrat karte the taake Furqaan ki koi kamzori dhund sako lekin Furqaan ne toh apni saggi beti ko bhi anaad ki tarah chodh diya." Adil ko ab Furqaan pr gussa aaya tha.

"Tum iss baare me kisi se kuch mat kaho." Fardan ne Adil se kaha toh Adil haan me sar hilata bahar chala gaya. Fardan wahin bed pr baitha kuch sochne laga.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now