Androoni Toofan

116 5 0
                                    

"Aap nicche khana khane nahi aayenge?" Faiza ki awaaz pr Fardan apne khayalon se nikla.

Fardan ko ehsaas hua wo kayi der se socho me gum hai toh wo wahan se uth gaya. Faiza kamre se bahar jaane lagi toh Fardan ne uska haath pakda aur apne pass le aaya.

"Ji?" Faiza sharmati hui nicche sar rakhe puchne lagi.

"Mai maafi chahta hoon tumse. Maine tumhe bahot zyada takleef di hai. Tumhare saath zulm kiya hai." Fardan usse baahon me liye apne mann me khudse bol raha tha lekin uski himmat na hui ke Faiza se kuch kahe.

"Chalo khana khane chalte hain." Fardan ab usse khudse durr karta hua bola.

Wo dono nicche aagaye aur sab saath baith kar khana khane lage. Khane ke baad sab hall me baithe chai ke mazey le rahe the jab Fardan ne kaha, "Hum sab kuch dino ke liye yahan shift ho rahe hain. Ayesha aur Faiza tum dono ko kuch bhi zarurat ka samaan lena ho kapde wagera toh kal hum shopping pr jayenge."

"Kyun bhai hum yahan kyun rahenge?" Ayesha ne sawaal kiya.

"Mai hamare haveli ki kuch marammat karwana chahta hoon isliye kuch din tumlog yahin reh lo." Fardan muskurakr bola.

"Theek hai." Ayesha ne kaha. Sab khamosh the kyunki Adil phuppo phuppa aur Rumaisa ko uss aag ke baare me maloom tha kyunki Adil ne unhe sab bata diya tha aur Rumaisa ne kuch aadmiyon ko bhej kar wahan ki aag bujhayi thi. Faiza ki himmat nahi hoti thi ke wo kuch sawaal kare aur Ayesha ne apne sawaal karliye the. Kuch der baatein karne ke baad sab apne kamro me sone ke liye chale gaye.

**************************************
Azra ke kehne pr Adil Rumaisa ko uske ghar chodhne aaya tha. Azra ke baar baar puchne pr bhi Rumaisa ne apne ghar phone nahi kiya tha kyunki jaanti thi phone karegi toh apni maa ka saamna karna padega jisse wo behadd chidhti thi.

"Tumne kaha tha tum kisi se mohabbat karti ho... Kaun hai wo?" Adil ki baat pr Rumaisa jo apne socho me gum thi achanak sar utha kar usse dekhne lagi.

"Kyun janna hai tumhe?" Rumaisa ne sawaal kiya.

"Tumne kaha tha tumhe Rumi na pukaru toh kya ye wahi khaas shaqs hai jo tumhe Rumi kehta hai?" Adil jawab sunne taiyyar nahi tha lekin phir bhi sawaal karne laga.

"Nahi. Rumi mujhe mere baba kehte the aur jab bhi wo lafz sunti hu toh mujhe baba ki yaad aati hai." Rumaisa ke ye alfaaz kis hadd tk Adil ko sukoon de gaye the wo jaanti nhi thi.

"Phir jisse tum mohabbat karti ho wo kaun hai?" Ab Adil ko uss shaqs ke baare me janna tha.

"Tum bhi toh kisi se mohabbat karte ho na... Tum batao wo kaun hai?" Rumaisa ne sawaal kiya.

"Tum bataogi toh mai bhi bata dunga." Adil ab sanjeeda tha.

"Kahin tum uss Sofiya se toh mohabbat nahi karte?" Rumaisa ke sawaal pr Adil muskurane laga.

"Tum usse jalti ho kya?" Adil uska chehra padhne ki koshish karte hue sawaal karne laga.

"Mai kyun usse jalne lagi?" Rumaisa dard bhare andaaz me hasne lagi.

Rumaisa ka ghar aagaya toh Adil ne car rok di.

"Tumne bataya nahi tum kis se mohabbat karti ho." Adil ko sirf uss shaqs ko janne me dilchaspi thi jisne Rumaisa ka dil jeeta tha.

"Mai nahi bataungi." Rumaisa car me se utarne lagi toh Adil ne uska haath pakad ke usse rok liya.

"Adil ye kya kar rahe ho?" Rumaisa pehli baar sharmate hue sawaal karne lagi jis pr Adil ko uss pr aur pyaar aane laga.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now