Dil Ke Raaz

98 8 0
                                    

"Faiza ye kya hogaya?" Rumaisa fikar se puchne lagi.

"Kuch nahi bas sofe se takra gayi thi." Faiza boli.

"Tumhara dhyaan kahan hota hai?" Rumaisa usse thoda gusse se puchne lagi.

"Wo bas.." Faiza apni baat mukammal karti usse pehle Ms. Farhana class me aagayi.

Sab apni jagah baith gaye aur wo padhane lagi.

**************************************
"Kya baat hai phuppa.. Aaj Adil office kyun nahi aaya?" Fardan kamre me aata puchne laga.

"Azra keh rahi thi Adil ki tabiyat theek nahi. Wo bhi college nahi gayi aaj." Aqeel bola.

"Kya hua Adil ki tabiyat ko?" Fardan ko fikr hui.

"Shayad bukhaar hai usse." Aqeel ne kaha.

"Theek hai phir aaj ka Adil ka kaam mai kisi aur ko keh dunga. Aap usse araam karne dijiye kuch din. Bechare ne bahot dino se koi chutti nahi li thi." Fardan muskurate hue bola aur wahan se chala gaya.

**************************************
"Di humein yahan kyun bulaya?" Faiza andar office me aati hui puchne lagi.

"Tum apna tiffin laayi ho na dono?" Ayesha haath saaf karte hue puchne lagi.

"Haan di bilkul." Faiza muskurate hue boli.

"Aaj phuppi college nahi aayi hain toh socha tum dono ke saath lunch karlu." Ayesha apna tiffin kholti bolne lagi.

"Sab khairiyat toh hai na?" Faiza ko phuppi ki fikr hui.

"Haan wo subah phone karke keh rahi thi Adil bahot bemaar hai toh wo kuch din nahi aayengi." Ayesha ne aam se lehje me kaha.

Rumaisa jo paani pee rahi thi ek dum se chaunk gayi jis wajah se haath se paani gir gaya.

"Kya hua Rumaisa? " Ayesha aur Faiza ne ek saath pucha.

"Nahi kuch nahi." Rumaisa khamoshi se apna khana khane lagi.

Faiza aur Ayesha yahan wahan ki baatein karte hue khana khane lage the lekin Rumaisa unki baaton me koi dilchaspi nahi le rahi thi. Adil bemaar hua hai ye baat usne aaj pehli baar suni thi. Wo Adil ko qareeb qareeb 5-6 saalon se jaanti thi lekin Adil har waqt kaam ke liye aajata. Usse agar bukhaar aa bhi jaaye toh wo kaam ke liye zabardasti aata aur dawa nahi leta lekin aaj usse apni maa ki zarurat padh rahi thi ye sun kar Rumaisa ko bahot ajeeb laga.

Rumaisa poora din khoyi khoyi rahi aur college khatam hote hi jaldi se bus le kar bina Faiza aur Ayesha ka intezaar kiye chali gayi.

**************************************

"Faiza... Ye Rumaisa kahin nazar nahi aa rahi?" Ayesha college ke pass wale bus stop pr baithi Faiza se puchne lagi.

"Nahi jaanti Di. College khatam hote hi wo kahan gayab hogayi ki. Mai usse bahot der se dhund rahi thi." Faiza ne fikr se kaha.

"Chalo call karte hain usse." Ayesha ne call ki toh Rumaisa ne utha liya.

*Kya baat hai Rumaisa tum kahan ho?" Ayesha ko fikr hui.

*Meri tabiyat kuch theek nahi lag rahi thi...mujhe sar dard ho raha tha isliye mai bus se ghar aagayi. Aap log meri fikr mat karein.* Rumaisa ne tasalli di.

*Theek hai khayal rakhna apna.* Ayesha boli aur phir phone kaat diya.

Fardan apni car liye wahan ruka hua tha. Jab Ayesha ki baat khatam hui toh dono car me baith gaye.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now