Nisyani Dushmani

109 6 0
                                    

Faiza chai le kar Adil ke kamre me aayi jahan Ayesha uske pass baithi thi aur Fardan bhi sofe pr apne phone me masroof tha.

"Phuppa phuppo ko dedi chai?" Ayesha ne sawaal kiya.

"Haan dedi." Faiza Ayesha ko chai de kar Fardan ki taraf gayi.

"Shukriya." Fardan ne muskura kar chai li.

"Tum nahi piyogi?" Fardan ne pucha jab Faiza kamre se bahar jaane lagi.

"Mujhe aadath nahi." Faiza boli.

"Bhabi apko aadath daal leni chahiye kyunki apke shohar ka guzara toh chai ke bina hota nahi." Adil dheeme lehje me bola.

"Sahi baat hai." Ayesha hasi.

Fardan ne dono ko ghoor kar dekha toh dono khamosh hogaye.

"Lagta hai tumhari tabiyat theek hogayi hai. Kal se office aajao phir tum." Fardan ne sanjeedgi se Adil ko kaha.

"Nahi bhai mai bilkul theek nahi hoon. Mai sone jaa raha hoon. Aap sab jaiyye yahan se." Adil blanket apne chehre pr daalta bola.

"Adil mujhe kuch baat karni hai tumse." Ayesha boli.

Faiza sabke khaali cups le kar nicche jaane lagi toh Fardan bhi uske picche aagaya. Ayesha wahin baithi rahi. Ayesha aur Adil humumar hone ki wajah se ek dusre ko bahot satate lekin zarurat ke waqt pr ek dusre ke ache saathi ban jaate. Bas yahi wajah thi ke Azra ne Ayesha se baat ki thi.

**************************************
Rumaisa Arun ke pass thairi uss pr tashadud kar rahi thi. Wo zinda laash ki tarah pada hua tha lekin Rumaisa uss pr baar baar chabuk se kode barsa rahi thi. Wo aaj bahot bechain thi lekin kyun usse samajh nahi aa raha tha. Wo kahin se sukoon paana chahti thi isliye baar baar Arun ko maar rahi thi.

Arun ki jab bahot halath kharab hoti toh wahan maujood doctors se uska ilaaj karwati aur phir uss pr apni bhadaas nikalne lagti.

"Madam itna zulm karogi toh wo marr jayega."

"Adil?"

"Bahot zaalim ho tum."

Achanak se usse hosh aaya. Ye sab toh bas ek khayal tha uska. Adil wahan nahi tha. Wo kyun Adil ko soch rahi thi? Usse toh khush hona chahiye tha ke wo yahan nahi hai warna har baat pr pareshaan karta. Adil ki rok tok ki aadath Rumaisa ko pasand nahi thi lekin ab wo nahi tha toh usse uski bahot zyada yaad aa rahi thi.

"Iska ache se khayal rakho. Kal iski maut ka din hai." Rumaisa Ahmed ko boli aur wahan se nikal gayi.

Rumaisa ka sar dard se phata jaa raha tha lekin wo jaanti thi ghar jaa kar bhi usse araam nahi milne wala. Wo apne ghar ke pass apni car rok kar car me hi bahot der baithi rahi. Rumaisa ko ye car Fardan ne di thi taake wo raat ko ya kisi secret mission pr jaana ho toh istemaal kar sake. Rumaisa ye car kabhi bhi kisi ke saamne istemaal nahi karti thi.

Kuch der baad wo gehri saans le kar ghar me chali gayi aur jaisa usne socha tha wahan wo log uske aane ke intezaar me the.

**************************************
"Faiza suno...." Fardan ne awaaz lagayi.

Faiza apni jagah pr saakit hui.

"Tum mujhse kyun naraz ho?" Fardan masoom sa chehra bana kar puchne laga.

"Mai... Mai apse naraz nahi hoon." Faiza ne sakht lehje me kaha.

Aisa pehli baar hua tha ke Faiza Fardan se dare bina uski aankhon me dekh kar sakht lehje me baat kar rahi thi.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now