Tabdeeli Ke Rang

113 7 0
                                    

"Uhmmm uhmmm." Phuppo ne awaaz ki toh Faiza aur Fardan ek dum se hosh me aaye.

Faiza sharma kar wahan se bhaag gayi. Fardan muskura kar phuppi ko dekhne laga.

"Ye sab kya chal raha hai beta ji?" Wo uske mazey leti hui puchne lagi.

"Nahi wo bas hum..." Fardan ka chehra laal pad gaya.

"Hayeee mera baccha... Apni biwi ko hi toh gale lagaya tha. Itna kyun sharma rahe ho?" Phuppi Fardan ki tang kheenchne lagi.

"Phuppo mere saath aiyye mujhe aapse zaruri baat karni hai." Isse pehle ki Fardan kuch jawab deta Ayesha Azra ko kheench kar kamre me le gayi.

Fardan ne sukoon ki saans li. Wo mann hi mann muskurata hua upar terrace ki taraf gaya. Faiza wahan jhule pr baithi jhul rahi thi.

"Toh tum yahan ho?" Wo uske pass baith kar bola toh wo sharam se laal hui.

"Badi sohni lag rahi ho aise sharmate hue." Fardan ne kaha toh Faiza usse hairath se dekhne lagi.

"Kya hogaya?" Wo puchne laga.

"Kuch nahi bas apka ye roop thoda ajeeb lag raha hai." Wo boli.

"Ye roop?" Fardan na samjhi se puchne laga.

"Maine apko hamesha gusse me dekha hai ya bahot sanjeeda. Aaj pehli baar apko haste mazak karte dekha." Faiza muskurati hui boli.

"Aur tum pehli insaan ho jo Fardan Shehriyaar ko rote hue bhi 2 baar dekh chuki ho." Fardan hanste hue bola.

"Aap hanste hue zyada pyaare lagte hain." Wo muskurayi toh wo bhi muskurane laga.

"Koshish karunga hasne ki." Fardan bola.

"Aap ne kaha tha aap mere liye kuch bhi kar sakte hain toh ek baat manoge aap meri?" Faiza sanjeeda hui.

"Ji hukm kijiye meri begum." Wo uske saamne sar jhuka kar bola.

"Aap khoon badla ye sab chodh dijiye. Allah taala hai na wo insaaf humse behtar kar sakte hain. Aap uss aadmi ko maaf kar dijiye." Faiza darti darti boli.

"Faiza yaad hai tumne mujhe Fajr me ek ayat baar baar padh ke sunayi thi." Fardan aankh chadha kar pucha.

"Haan yaad hai." Faiza ko nahi maloom tha Fardan itna jaldi wo baat samajh gaya tha.

"Tum yahin ruko mai wuzu karke aata hoon." Fardan uth kar nicche gaya toh Faiza bhi uske picche chali gayi.

"Yahan baitho." Jab dono ne wuzu karliya toh Fardan usse sofe pr baithata hua bola.

"Tumne mujhe Surah Mai'dah ki aayat sunayi thi ab mai tumhe Surah baqarah ki aayat suna raha hoon."

**Surah Al-Baqarah (2:178)**:

(Imagine as if he read the ayat in arabic and then translated it.)

**Translation**:

"Ae Imaan Walo! Tum Pr Qatl Ke Maqdoomon Mein Qisaas (Badla) Farz Kiya Gaya Hai. Azaad Ke Badle Azaad, Gulaam Ke Badle Gulaam, Aur Aurat Ke Badle Aurat. Phir Jisse Uske Bhai Ki Taraf Se Kuch Maafi Mil Jaaye, Toh Bhalayi Ke Saath Paeravi Karna Aur Ehsaan Ke Saath Adaa Karna Hai. Ye Tumhare Ran Ki Taraf Se Asaani Aur Rahmath Hai. Phir Jo Uske Baad Zyadati Karega, Uske Liye Dardnaak Azaab Hai."

Fardan bina quraan khole usse ye aayat suna raha tha aur Faiza usse hairath se dekh rahi thi.

"Mai quraan le aau?" Faiza hichkichate hue puchne lagi.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now