Raaz-e-Bayan aur Iqrar

110 7 2
                                    

"Adil tum theek toh ho na?" Ayesha fikar se puchne lagi.

"Haan behn mujhe kya hoga?" Adil hansa.

"Dekho mazak ek taraf... Tum mujhe sacchi batao kya hua tumhe?" Ayesha bahot sanjeeda ho kar puchne lagi.

"Kuch nahi." Adil munh pher kar let gaya.

"Adil... Kahin tumhe kisi ladki se pyaar vyaar toh hogaya?" Ayesha ne seedhi baat ki jis pr Adil ka chehra utar gaya.

"Tum jao mujhe sona hai." Adil ne phir se blanket me chehra chupa liya.

"Let me guess... Kahin wo ladki hamare pehchan ki toh nahi?" Ayesha kuch soch kar boli.

"Ji nahi bilkul bhi nahi. Tum toh usse bilkul bhi nahi jaanti." Adil gusse se bola.

"Matlab mai usse ache se jaanti hoon." Ayesha muskurayi.

"Nahi tum nahi jaanti. Jao yahan se." Iss baar Adil zor se bola.

"Hayee rabba kahin wo mai khud toh nahi?" Ayesha jaanti thi ye baat sun kar Adil khud sab sach ugal dega.

"Chii meri itni buri pasand nahi." Adil chidd kar bola.

"Phir kaun hai wo?" Ayesha satane lagi thi.

"Tum nahi jaanti yaar usse." Adil ab thoda shant hogaya tha.

"Tum naam toh lo. Mai jaan jaungi." Ayesha zidd pr thi.

"Faiza bhabi ki best friend." Adil sharma kar bola.

"What???" Ayesha zor se chillayi.

"Pagal hogayi ho?" Adil hadbada gaya.

"Matlab Rumaisa?" Ayesha ko ab bhi yaqeen nahi aaya tha.

"Haan." Adil muskuraya.

"Hayeee kitni achi baat batayi hai bhai tumne. Mai aaj hi phuppo le kar uske ghar jaungi tumhare rishte ke liye." Wo khushi se boli.

"Nahi. Tum bhul jao ke humne aisi koi baat bhi ki thi." Adil ab sanjeeda hogaya.

"Kyun?" Ayesha ko samajh nahi aaya.

"Kyunki Madam ko koi aur pasand tha jo unhe chodh kar chala gaya phir bhi wo uski yaadon me rehti hain." Adil bahot afsurdah lehje me bola.

"Pasand tha... Bhai... Pasand tha." Ayesha uski baat pr usse khayal karwane lagi.

"Wo ab bhi uski yaadon me rehti hai behn." Adil ne doobara kaha.

"Haan toh tumse shaadi karlegi toh dhyaan tum pr aajayega." Ayesha aam se lehje me boli.

"Nahi mai aisa nahi chahta. Tum ye baat ab kisi se kabhi mat karna." Adil udaas ho kar bola.

"Mai toh karungi. Rumaisa se puchti hoon wo kis se mohabbat karti hai!" Ayesha ab usse satane lagi.

"Ayesha tum khamosh rahogi warna mujhse bura koi nahi hoga." Adil ab gusse se chillaya.

Tabiyath theek na hone ki wajah se uski awaaz utni zyada lagi nahi. Upar se usse bahot zyada khansi hone lagi. Ayesha satpata gayi aur jaldi se paani usse dene lagi.

"Ayesha... Tum kisi se kuch nahi kahogi iss baare me." Adil ab sanjeeda ho kar bola.

"Accha theek hai nahi bolungi. Tum kya usse kho kar khush rahoge?" Ayesha ne sawaal kiya.

(I am Ayesha, Ayesha is Me... Khudki daal toh galne deti nahi dusron ke mamle me zabardasti ghusti rehti hoon.)

"Kabhi usse kisi aur ka hota hua sochta bhi hoon toh dil kat kar reh jaata hai lekin mai majboor hoon. Maine mohabbat ki hai usse. Saccha Ishq hua hai mujhe. Ishq me paane ki toh koi gunjaish nahi hoti. Ishq bas hota hai...Ap koi sila ya badla nahi chahte aap bas ishq karte hain. Usse toot kar chahna aur usse sab dena jo mere bas me hai yahi meri mohabbat hai. Maine kabhi usse kuch chaha nahi. Wo bas khush rahe yahi kaafi hai mere liye. Mai usse durr se chah lunga lekin zabardasti khudse nahi baandhunga." Adil ke aankhon me aansu aaye the.

"Saccha Ishq karne lage ho yaar tum usse." Ayesha boli aur gehri saans le kar wahan se chali gayi.

Adil apna chehra blanket me chupaye rone laga. Usse Rumaisa ki baatein chub rahi thi. Wo badi shaan se Ayesha se keh toh gaya ke usse badle me kuch nahi chahiye lekin uske dil ke ek kone me Rumaisa ko paane ki chahat thi jo 5 saalon se chupi hui thi. Rumaisa ka kisi aur ke liye tadapna Adil ko bahot takleef de raha tha.

**************************************
"Kahan thi tum itni raat tk?" Ek aurat Rumaisa se sawaal karne lagi.

"Kaam tha mujhe kuch." Rumaisa bezaari se boli.

"Kya kaam karti ho jo itni raat raat tk bahar rehti ho? Khudko bech kar toh paisa nahi laati tum?" Wo aurat puchne lagi toh uske saath khadi ladki hasne lagi.

Rumaisa ka dil kiya abhi dono ka munh noch le lekin wo majboor thi toh chup rahi.

"Kuch puch rahi hoon." Iss baar wo aurat Rumaisa ki thuddi pakad kar zor se puchne lagi.

"Mai tum jaisi bazaari nahi hoon." Rumaisa gusse se boli.

"Tumhari himmat kaise hui meri maa ke baare me aisa bolne ki." Pass khadi ladki jo Rumaisa ke aas pass wali umar ki thi usne Rumaisa ko zor se thappad maara.

Thappad ki wajah se Rumaisa ke qadam thode se ladkhadaaye lekin wo apni jagah se nahi hili.

"Jo sach hai wahi kaha." Rumaisa phir se jawab dene lagi.

"Maa mai isse aaj zinda dafna dungi." Wo ladki gusse se laal hui.

"Beta ye marr gayi toh iss ghar me paise kaun layega? Tum shant hojao aur apne kamre me jaa kar sojao. Isse mai dekh lungi." Wo aurat shaitani hasi deti hui boli.

"Maa aaj isse ache se sabaq seekhana taake doobara ye munh na khole." Wo ladki Rumaisa ko munh chuda kar apni maa se boli.

"Beshak mera baccha. Tum sojao." Wo hasti hui apne kamre ki taraf gayi.

Rumaisa jaanti thi ab kya hone wala hai. Wo khamoshi se sofe pr baith gayi. Wo aurat wapis aayi toh uske haath me chamdi ka belt tha. Rumaisa uth kar wo aurat ke pass khadi hui. Wo aurat uss pr bina ruke tashadud karne lagi.

Rumaisa ke kapdon pr khoon dikhne laga tha. Uski pista rang ki qameez khoon se bhar gayi thi lekin wo aurat nahi ruki. Rumaisa bhi bina awaaz kiye maar khati rahi. Kuch der baad jab wo aurat thak gayi toh saans leti hui sofe pr baith gayi. Rumaisa bina kuch kahe apne kamre me chali gayi.

**************************************
Ayesha Adil ke kamre se nikal kar terrace pr thairi thi ke uska phone bajne laga. Wo anjaan number dekh kar uske chehre pr muskaan aagayi. Wo jaldi phone utha kar apne kaan se laga gayi.

"Assalamualaikum Meri Jaan." Saif pyaar se bola.

"Walekum assalam." Ayesha aaj usse sahi se baat karne ke mood me thi.

"Phir kya socha hai aapne? Meri mohabbat qubool hai? Karengi aap mujhse nikah?" Saif bade ache mood me lag raha tha.

"Tum sach me mujhse mohabbat karte ho?" Ayesha Adil ki baatein sochti hui puchne lagi.

"Aapko koi shakk hai?" Saif ne sawaal kiya.

"Shakk toh bahot hai." Ayesha boli.

"Theek hai phir mai kis tarah apka yaqeen jeet sakta hoon?" Saif chahta tha jald se jald ye mohabbat ka jhoota khel khatam hojaye.

"Tum kal mere ghar rishta le aao. Bhai ne manzoori dedi toh mai nikah karlungi aur mujhe tumhari mohabbat pr aitebaar bhi aajayega." Ayesha ne Saif ke sar pr bomb daala.

"Kal??? Kal rishta laana hai?" Saif hairath se puchne laga.

"Haan kal... Mukar toh nahi jaoge ab?" Ayesha hasti hui puchne lagi.

"Theek hai manzoor hai. Agar mai kal rishta le aaya toh kal hi nikah hoga hamara." Saif ab aitemaad se bolne laga.

"Theek hai kal milte hain bhai ki maujoodgi me!" Ayesha boli aur bina jawab sune phone kaat diya.

Ayesha ka dil keh raha tha wo aayega lekin uske dimaag ko ab bhi uss ajnabi ki mohabbat pr bilkul yaqeen nahi tha. Wo thodi ghabrayi hui bhi thi lekin wo jaanti thi Fardan soch samajh kar faisla lega aur Saif ko wo ache se parakh kar hi apnayega isliye wo pursukoon thi.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now