Dhoke Ki Qeemat

114 5 0
                                    

*Mere bhai se tumhari kya dushmani hai? * Ayesha nasamjhi se puchne lagi.

*Mai toh bas mazak kar raha tha.* Saif zor zor se hasne laga.

*Mujhse doobara itna ghatiya mazak bilkul mat karna.* Ayesha chidd se bolti hui phone kaat chuki thi.

**************************************

"Kya matlab bhai? " Adil ne himmat karke puch liya.

Fardan ke haath se khoon bahe jaa raha tha aur kisi me itni himmat nahi thi ke wo uske qareeb jaata. Sab durr khade tamasha dekh rahe the.

"Yahi ke usse maine goli maari hai lekin uski maut nahi hui." Fardan gusse ko qaabu karne ki nakaam koshish kar raha tha.

"Usse maine bas ek warning di hai ke wo khudko mujhe apne hawaale karle warna maine usse pakad liya toh uska anjaam bad se badtar hoga." Fardan bolta jaa raha tha aur sab ke munh khulle reh gaye.

"Phir aap ne Ahmed se kyun kaha ke aap ka badla poora hogaya?" Adil ne sawaal kya.

"Wo isliye kyunki hum dono ke saath wahan koi teesra maujood tha jo hamari baatein sun raha tha. Bas ussi ko gumraah karna tha mujhe." Fardan tanziya muskurahat ke saath bolne laga.

"Sir car me toh hum dono hi the." Ahmed ne himmat karke kaha. Wahan maujood kisi bhi shaqs ko Fardan ki koi baat samajh nahi aa rahi thi.

"Kyun na ye sawaal tumlog iss Arun se karlo." Fardan apne ek aadmi ko dekh kar bolne laga toh sabki aankhein Arun ki taraf hogayi.

"Sir mai wahan nahi tha mujhe kuch nahi maloom." Arun ke chehre pr pasina aane laga. Wo kaanpta hua bolne laga.

"Maine kab kaha tum wahan the?" Fardan ka haath apne pant ki pocket me tha aur dusra haath usne Arun ke gardan me daalte hue kaha.

"Tum khud sab kuch sach sach bataoge ya... " Fardan ke haath me ek kaanch ka tukda tha jisse usne Arun ke galle pr rakh kar pucha.

"Sir please maaf kar dijiye mai sab bataunga please mujhe chodh dijiye. Sir please." Arun minnatein karne laga tha.

"Tumne kya kiya hai? Kis baat ki maafi maang rahe ho? " Fardan anjaan banne ka natak kar raha tha.

Wahan ka maujood har shaqs jaanta tha Fardan ko dhoka aur jhoot bilkul pasand nahi tha aur jo bhi usse dhoka karta wo usse kabhi nahi bakashta tha. Sabko Arun pr taras aa raha tha lekin kisi me himmat nahi thi ke Fardan ke saamne kuch kahe.

"Sir mujhse bahot badi galti hogayi. Maaf kar dijiye." Arun baar baar minnat kar raha tha.

"Apna jurm qubool karo... Phir sochunga tumhe maafi milegi ya nahi." Fardan ne usse chodh diya aur wahan rakhi apni kursi pr baith gaya.

"Chalo shuru karo. Mere pass faltu ka waqt nahi hai. Ghar pr meri biwi mera intezaar kar rahi hai." Fardan apne haath me ghadi dekhta hua bola.

"Sir aap ki jis din shaadi hui thi uske ek din pehle wo aadmi ke log mujhse milne aaye the. Unlogon ne mere biwi bacche ko kidnap kar liya tha isliye maine apko bina bataye unse mulaqaat ki. Unki shart thi ke mai apke baare me sab kuch batau aur badle me mera baccha aur meri biwi ko wo kuch nahi karenge. Mai bahot dare gaya tha sir. Mai nahi chahta tha meri biwi ya mere bacche ko kuch ho isliye maine unki baat maan li. Unhone kaha tha apke shaadi wale din mai apko unka pata doon. Maine waisa hi kiya lekin wo aadmi uss din apke haath se bach gaya kyunki usse hamare mansoobey ke baare me maine sab pehle se itelaa dedi thi. Phir apke valime wale din bhi usne kaha tha apko uske baare me khabar dene ke liye isliye maine uss din bhi wahi kiya lekin wo phir se bach gaya. Aur aaj bhi apko mall wali khabar maine hi di thi uske kehne pr. Wo jaanta tha aap usse maar denge isliye usne wahan ki security itni badha di thi lekin aap phir bhi wahan gun le aaye. Ye baat mai uss aadmi ko bata chuka tha isliye uss aadmi ne pehle hi apni hifazat ki taiyyari karli thi. Usne apne kapdon me bulletproof jacket pehna hua tha aur apke saamne bas marne ka natak kar raha tha. Usne mujhse kaha tha mai apko yaqeen dila du ke wo marr gaya hai isliye maine Ahmed ke kapdon pr ek recorder lagaya tha jisse aap dono ki saari baatein wo sun sakta tha. Usse jab pata chal gaya ke aapko uski maut ka yaqeen aagaya hai toh usne mere bacche aur biwi ko chodh diya. Mai seedha mall se apne ghar gaya unse milne lekin wahan wo nahi balke unki laash thi. Maine uss aadmi pr bharosa karke bahot galat kiya sir. Apko dhoka de kar bhi maine sab kho diya." Arun rota hua Fardan ke pairon me girr gaya.

Sabko Arun pr bahot taras aane laga tha lekin sabki nazar bas Fardan pr thi. Uska faisla kya hoga sab bas yahi soch rahe the.

"Arun tum hame pehle din sab bata dete toh aaj tumhe ye din dekhna nahi padta tha." Adil gusse se bola.

"Mai jaanta hoon sir mujhse bahot badi galti hogayi please mujhe maaf kar dijiye please." Arun apne haath jod kar Fardan se bheek maang raha tha.

Fardan zor zor se hasne laga toh Arun hairath se usse dekhne laga. Sabko Arun pr bahot taras aa raha tha aur Fardan zor zor se qehqahe laga raha tha ye sab ke liye bahot ajeeb tha.

"Rumaisa tum iss Arun ko wo aadmi samajhlo aaj aur tumhara jo bhi badla hai iss Arun se lelo. " Fardan Arun ko ghurta hua Rumaisa se bolne laga.

"Pr sir..." Rumaisa ko hichkichahat hui...usko Arun pr taras aa raha tha wo Arun ko kaise maar sakti thi.

"Arun tumhe mafia me nahi acting me jaana chahiye tha. Yahan maujood har koi tum pr yaqeen karne lag gaya. Bahot khoob Arun bahot khoob! " Fardan zor zor se taaliyan maarta hua has raha tha.

Sab hairath se kabhi Arun ko toh kabhi Fardan ko dekh rahe the. Arun ke pass hi wo table ke kaanch ke tukde pade hue the usne wahan se ek bada kaanch ka tukda uthaya aur pass khade Adil ko jaldi pakad kar uske gardan pr wo tukda rakh diya.

"Fardan agar tune mujhe yahan se jaane nahi diya toh mai aaj yahin tere iss pyaare bhai ka janaza nikalunga." Arun ne Adil ke gale pr wo kaanch halki si chuba di.

Sab log pareshaan ho kar dekh rahe the. Fardan ki aankhein gusse se laal hogayi thi. Wo Arun ko aise ghur raha tha jaise wo abhi usse kha jayega.

"Arun agar Adil ko kuch hua toh yaad rakhna teri laash dhundne ke liye agar teri biwi saari duniya bhi ghumegi toh usse tere jism ke saare tukde nahi milenge." Fardan gusse se keh raha tha.

"Fardan mujhe yahan se sahi salamat jaane dega toh phir mai tere bhai ko chodh dunga." Arun ne dhamki di.

"Mere bhai ka chodh de. Tu pehle apni biwi se kyun nahi maloom karleta wo zinda hai ya jaise abhi tune bataya tha uski laash tere ghar pr padi hai." Fardan ek shaitaani hasi de kar bol raha tha.

"Fardan tune meri biwi ke saath kya kiya? " Arun thoda ghabra gaya aur uski giraft Adil ke gardan se thodi dheeli pad gayi aur issi ka fayeda utha kar Adil ne usse apne pair se dhakka maara aur jaldi se wahan se hatt gaya.

Adil ke hatt'te hi Fardan ke 4 aadmiyon ne Arun ko gher liya aur usse ek deewar se zanjeeron se baandh diya.

"Fardan meri biwi ko kuch hua toh yaad rakhna mere boss tujhe nahi chodhenge. Mai mere boss ka sabse pasandeeda aadmi hoon." Arun Fardan ko dhamki dene ki nakaam koshish kar raha tha.

"Rumaisa tumhe maine kuch kaha tha. Tum karoge ya kisi aur se keh doon? " Fardan muskurata hua Rumaisa se puchne laga.

"Nahi sir iss aadmi ko toh mai hi iski asli jagah dikhaungi." Rumaisa gusse se uske pass aayi.

"Fardan mujhe mere Archana se ek baar mila de. Maine tere liye itne saal kaam kiya hai please ek baar milade phr mujhe maar dena." Arun phir se minnatein karne laga.

"Mai tere mari hui biwi bacche ko kahan se zinda kar sakta hoon? Mai toh khuda nahi hoon! " Fardan masoom sa chehra bana kar bol raha tha.

"Aur fikr mat kar kuch der me tu bhi wahin hoga. Apne biwi aur bacche ke pass. " Fardan muskurate hue bola.

"Fardan agar meri Archana aur Arjun ko kuch hua toh dekh teri Faiza bhi..." Arun isse pehle aage kuch bolta Fardan ne haath me rakhi kaanch se uski zubaan kaat di.

"Meri paak biwi ka naam tere iss gande se zubaan se lene ki teri himmat kaise hui." Fardan gusse se usse lagatar mukke maar raha tha.

Wahan maujood har koi jaanta tha Fardan Faiza ke mamle me kitna zyada naazuk tha aur Arun ne Faiza ka zikr karke apni hi qabar khod di thi.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now