Khamoshi Mein Qurbani

108 6 0
                                    

"Kyun nahi karni hai tumhe mujhse shaadi?" Adil hairath se puchne laga.

"Kuch baat karni hai mujhe tumse akele me." Rumaisa ne kaha toh Adil Zehra aur moulvi ko ghoor kar dekhne laga toh wo dono wahan se chale gaye.

"Kaho" Adil ab pyaar se usse dekhta hua puchne laga.

"Tum ye sab kyun kar rahe ho?" Rumaisa ne sawaal kiya.

"Kyunki mai tumse mohabbat karta hoon aur tumhe kisi bhi takleef ya zabardasti ke rishte me nahi dekh sakta." Adil apne dil ki baat keh raha tha.

"Lekin mai tumse mohabbat nahi karti hoon na phir tum saari zindagi bina mohabbat ke reh loge mere saath?" Rumaisa ne sawaal kiya.

"Mai itni mohabbat karta hoon tumse ke zindagi bhar kaafi hoga yahi dono ke liye." Adil muskurata hua bola toh Rumaisa nikah ke liye maan gayi.

Jab moulvi ne phir se Rumaisa se sawaal kiya toh Rumaisa ne ab jawab diya, "Haan qubool hai."

"Qubool hai"

"Qubool hai"

Rumaisa ko andaza bhi nahi tha Adil kitna khush tha. Barson ki mohabbat aaj usse mil gayi thi aur uske liye ye bilkul aisa tha jaise sehra me bhatakte pyaase ko paani mila ho.

**************************************
Fardan ne Ahmed ko phone karke kaha tha Faiza ke baare me maloom kare. Ahmed ne saare aadmiyon ko Faiza ko dhundne me lagaya hua tha.

Sab pareshaan hall me baithe the. Fardan bhi wahin sofe pr baitha phone me Faiza ki tasveer dekh raha tha.

Adil Rumaisa ko le kar ghar me aaya. Rumaisa nikah wale jode me thi aur Adil uska haath pakda andar aa raha tha.

"Ye sab kya hai Adil?" Azra hairath se usse dekh kar puchne lagi toh sabka dhyaan uski taraf gaya.

Fardan ne sar utha kar dekha toh usse bhi hairath hui. Adil ne sab ko saari baat batayi jo Rumaisa ke ghar hui. Ayesha aur Azra Rumaisa ko upr le gaye.

Sab ko Rumaisa ki halath pr bahot afsoos hua. Fardan ko Zehra pr bahot gussa aaya tha kyunki wo hamesha Zehra ko achi maa samajhta tha lekin wo toh bilkul galat tha. Rumaisa Fardan ke liye Ayesha ki tarah hi thi aur yahi wajah the usne usse apne khaas logon me jagah di thi. Uske baap ki qurbaani jo Fardan ke maa baap ke liye thi uske aage Fardan ka Rumaisa ki parwah karna banta tha aur yahi wajah thi wo har waqt uski fikr karta aaya tha.

Faiza ke chale jaane se sab bahot pareshaan the isliye Adil aur Rumaisa ki shaadi ki kuch taqreeb nahi hui. Nikah ke baad sab khamosh hogaye the. Adil aur Rumaisa ka valima bhi nahi hua tha. Hadi apne ghar walon ke saath wapis bahar desh chala gaya tha aur Adil ki shaadi ka usne bhi Faiza se koi zikr nahi kiya tha.

**************************************
"Doctor... Jaldi bulao doctor ko. Mere bete ko hosh aagaya hai." Furqaan bahot khush tha.

"M.. ai.." Shamsher kuch kehne ki koshish kar raha tha lekin bol nahi paaya.

Doctor ne usse check kiya aur keh diya ke wo 2 hafte baad ghar jaa sakta hai lekin 1 mahine tk usse poori tarah ka araam karna padega. Kisi bhi tarah ki pareshaani ya takleef usse dene se wo phir coma me jaa sakta tha kyunki uska dimaag ab bhi kamzor tha. Surgery ki wajah se uski yaadasht chali gayi thi isliye usse sab yaad dilane ki zarurat pad rahi thi. Jab doctors ne Shamsher ko ache se check kar liya toh kuch dawai ke baare me wahan maujood nurse se keh kar wahan se chale gaye. Furqaan apne bete ke pass baithe usse dekh raha tha.

"Aap?" Shamsher usse puchne laga.

"Mai tumhara dad hu beta." Furqaan muskurate hue bola.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now