Jhoot Aur Mohabbat Ki Jung

87 7 0
                                    

"Nahi.." Usne saaf inkaar kiya lekin wo bhi dil me jaanta tha wo usse paane kitna tadpa tha pr uske baap ne jo kiya tha uske baad wo Ayesha ke pass jaa kar zindagi bhar sharminda nahi rehna chahta tha.

"K..yun?" Ayesha ke aankh me aansu aagaye lekin wo mushkil se sambhaalti hui puchne lagi.

"Kyunki mai aap se mohabbat nahi karta. Mai hamesha se apke saath khelta aaya hoon. Dad ne mujhse kaha tha ke mai hamare dushman Fardan ki behn ko apne pyaar me phasa loon taake hum Fardan ki zindagi barbaad kar sakein. Aisa kabhi tha hi nahi ke hum ittefaq se mile ho. Mai hamesha saara plan bana kar aap se milta aur jhoot keh kar aap se pyaar ka natak karke apko phasa liya meri mohabbat me. Aap ussi natak ko sach maan kar mujhse ye keh rahi hain. Aur mai nahi jaanta apko ye galat fehmi kyun ho gayi ke mai apki maut dekhna chahta hoon kyunki mujhe aisa kuch dekhne me koi dilchaspi nahi hai. Mujhe aap se koi lena dena bhi nahi hai. Aap bas meri behn ko nand ho isse zyada mera ab aap se koi talluq nahi." Saif usse ab thoda sanjeeda ho kar bol raha tha aur Ayesha ke aankh se aansu beh rahe the. Saif ko ye kehte hue aisa lag raha tha jaise koi usse jalte hue angaar pr chala raha ho lekin wo apne baap ki harkat pr iss qadr sharminda tha ke wo ab kabhi Ayesha ke saamne nahi aana chahta tha kyunki usse lagta tha jo bhi Ayesha ab haal me thi wo sab uski wajah se hua tha.

"Tumhara..pyaar...natak...tha...sirf? Tum...sach me...mujhse...pyaar nahi...karte?" Ayesha apne aansu peene ki koshish karti hui puchne lagi jo beh chuke the.

"Nahi karta." Saif dil pr patthar rakh kar wo sab keh raha tha jo usse bilkul manzoor nahi tha lekin wo usse aur takleef nahi dena chahta tha.

"Toh..tum..saari...zindagi..mujhse..natak..kkarte..rehna...mai...ussi..me...khush..reh..lungi" Ayesha ne badi mushkil se lafz kahe the.

"Natak?? Lekin mai kyun karu? Mujhe aap se koi rishta nahi rakhna." Saif ab jhooti hasi hasta hua bola lekin uski hansi me chupa dard uski aankhon se chalak raha tha.

"Kyu..nki..mai.tumhare...bina...nahi reh..sakti." Ayesha ab roti hui takleef se boli. Tension lene ki wajah se uski halath thodi kharab hone lagi thi lekin Saif khudko mazboot rakhne ki nakaam koshish kar raha tha kyunki wo jaanta tha agar Ayesha usse phir ek baar kahegi toh wo khudko rok nahi payega aur uski baat maan lega.

"Mai apki zindagi me nahi tha tab toh rehti thi na aap mere bina. Ab bhi mujhe ek bura khwaab samajh kar bhul jaiyye." Saif apni baat mukammal karke wahan se jaane ko ruka lekin Ayesha ki baat pr wahin uske qadam jam gaye.

"Tum..shaadi..nahi...kar..rahe..toh..muj..he...bhi...nahi...jeena." Ayesha ne apne lafz poore karte hi apni naak ki nali nikaali jisse usse oxygen mil raha tha aur phek diya. Saif uske pass bhaagta hua aaya lekin kuch hi pal me uski halath bahot bigad chuki thi. Wo usse oxygen dene ke liye wahan rakhi machine lagane ki koshish kar raha tha lekin Ayesha ki dhadkan tezi se kam hoti jaa rahi thi. Saif haibath se Doctor ko pukaarna laga. Jo nurse Ayesha ka room sambhaalti thi wo ye dekh kar pareshaani se bhaag kar wahan aayi. Kuch hi pal me Ayesha ka ilaaj hua. Saif bahar baitha bina kuch kahe bas OT ko ghurre jaa raha tha. Fardan Faiza sab pareshaani se wahan thahel rahe the.

**************************************
Irfan court se nikalte hi apne biwi bacchon ke pass chala gaya tha. Usse apne kiye pr bahot pachtawa tha isliye wo sab sahi karna chahta tha. Usne apne biwi se sab keh diya jo usne kiya tha aur wo chahta tha usse apne gunahon ki saza mile isliye wo aakhiri baar apni biwi bacchon se milne chahta tha. Irfan ki biwi ko bahot gham toh tha lekin wo har waqt  Irfan ko har baat pr support karti aayi thi isliye aaj bhi usne uska saath diya tha. Apne bacchon ko business ke silsile me kahin jaane ka keh kar wo wahan se wapis aagaya.

Irfan ne aate hi Furqaan se mulaqaat ki.

"Kaise ho Furqaan?" Irfan ne sawaal kiya.

"Mai theek hoon." Furqaan muskura kar bola.

"Mai tumse kuch zaruri baat karne aaya hoon." Irfan thoda sanjeeda hua toh Furqaan bhi sanjeedgi se usse dekhne laga.

"Tum meri poori baat khatam hone tk kuch nahi kahoge aur khamoshi se sunoge. Jaante ho na jabse tum hosh me aaye ho tabse Saif humse milne nahi aaya. Wo isliye kyunki Ayesha Shehriyaar pr goli chalane ke ilzaam me Saif ko police ne giraftaar kar liya hai." Irfan ki baat abhi mukammal nahi hui thi ke Furqaan beech me bol pada.

"Saif??? Jail me hai????" Furqaan bahot zyada hairath se puch raha tha.

"Haan kyunki usne tumhare gunah ko apne sar leliye hai." Irfan afsoos se bola.

"Lekin ye kaise ho sakta hai? Goli toh maine chalayi thi na uss ladki pr. Zarur ye Fardan ki phir nayi chaal hai mere bete ko mujhse durr karne ki." Wo kahin aur dekh kar bol raha tha.

"Nahi ye Fardan ki koi chaal nahi hai. Tumhari bandook Kareem ne kisi se chupane lagwa di thi lekin jis bandook se Saif ne tum pr goli chalayi wo wahin reh gayi aur police ne issi saboot ke bina par hamare bacche ko pakad liya." Irfan ne saari baat batayi.

"Saif?? Saif bhi mujhse durr hojayega? Amna dekho ab Saif bhi tumhari tarah mujhse durr hojayega." Furqaan rota hua chillane laga. Wo baar baar ek hi baat keh raha tha aur kisi ke qaabu me nahi aa raha tha.

"Tumhe Saif chahiye toh apne saare gunah court me qubool karne honge. Agar tum sab qubool karloge toh Saif bach jayega. Wo tumhare pass sahi salamat rahega." Irfan ki baat pr Furqaan rukk gaya jo kabse khudko chudhane ki jaddojahad kar raha tha kyunki usse 2 aadmiyon ne pakad rakha tha.

"Mai apna gunah qubool karne court jaa raha hoon. Tum chaloge saath apne bete ko bachaane?" Irfan ne sawaal kiya toh Furqaan muskurane laga.

"Dekho Amna mai hamare bete ko humse durr jaane nahi dunga. Tumne kaha tha na uska khayal rakhne ko. Mai kabhi usse jail me sadne nahi dunga. Wo zindagi bhar khush rahega." Furqaan phir se hawa me dekh kar keh raha tha. Irfan ko apne dost ki halath pr bahot afsoos hua tha. Irfan uth kar wahan se bahar nikal gaya.

"Sir maine jabse naukri join ki hai mai jaanta hoon sir tanhayi me hawa me kisi se baatein karte hain lekin mai kabhi unhe dekh raha hoon ye unhe pata nahi chalta isliye maine kabhi kuch kaha nahi. Sir apna zyadatar waqt akele hi bitate isliye ye saari baatein kabhi hamari nazar me zyada aayi nahi. Kuch din baad mai bhi iska aadi hogaya tha ke sir kabhi kabhi akele me baat kar lete hain. Mujhe laga wo khud se baat karte hain isliye mai chup raha lekin pehle sir dheere dheere baat kar lete pr jabse wo yahan admit hue hain wo chilla chilla kar baat karne lage hain. Aise lag raha hai jaise unke sar par pagalpan chadh gaya" Kareem ne kaha toh Irfan afsoos se Furqaan ko dekhne laga jo ab bhi hawa me baatein kar raha tha.

**************************************
Kuch der baad doctors bahar aaye toh sab ne unhe gher liya. Saif bas kone me baitha unki baatein sun raha tha.

"Humne apko strictly warn kiya tha wo abhi poori tarah theek nahi hui hai phir kyun aap logon ne unhe takleef di? Unhe kaafi gehra sadma laga hai kisi baat ka aur wo saans sahi se nahi le paa rahi hain." Doctor ne sakhti se kaha.

Fardan gusse se bas Saif ko dekh raha tha jo sharam se nazrein jhukaye baitha tha.

"Humne unki halath stable toh kar di hai lekin unka bachna ya nahi wo unke hi upar hai. Humein shaam tk unhe observe karna hoga. Agar wo hosh me nahi aayi toh phir unke bachne ki koi umeed nahi." Doctor ne apni baat khatam ki aur wahan se chale gaye.

"Ye sab tumhari wajah se hua hai Saif. Aisa kya kaha tumne meri behn ko ke wo sadma le gayi uss baat ka?" Adil gusse se Saif ka collar pakde puch raha tha.

Saif ke aankhon se bas paani jaa raha tha. Wo bina koi taasur chehre pr dikhaye bas nicche dekh raha tha.

Fardan ne Adil ko picche leliya aur sab khamoshi se baith gaye. Saif apne aansu saaf karta wahan se bhaag gaya. Faiza picche jaana toh chahti thi lekin Fardan aur Adil ka gusse se laal chehra dekh kar wahin baith gayi aur Ayesha ke liye dua'ein karne lagi.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now