"Faiza, jaldi karo humein anchoring start karni hai. Chairman ke aane ka waqt hogaya hai." Rumaisa ne kaha aur wo dono bhaagti hui stage par chali gayi.
"Good Morning Respected Principal, Teachers And Dear Colleagues. I, Rumaisa Amjad and my friend Faiza Amani will be your host for today's occasion. We all are gathered here to celebrate the grand occasion of the 25th anniversary of our college." Rumaisa ne kaha aur sab taali bajane lage.
"Hum iss event ki shuruaat ek qiraat se karenge aur 2nd year M.A. ki Nabila Naaz se guzarish hai ki wo apni meethi awaaz me humein qiraat padh kar sunaye." Rumaisa ne kaha aur sab taaliyan bajane lage.
"Shukriya Nabila! Apki meethi awaaz me qiraat ko kaafi khoobsurat andaaz me pesh kiya aapne." Faiza ne kaha.
"Now Please put your hands together for the special guest of this day,our beloved chairman sir." Faiza ne kaha aur phool ka bouquet le kar principal ko de kar back stage chali gayi.
Andhere mein se kuch log unki taraf aate dikhayi diye aur spotlight padne par sab apne chehro pr haath rakh kar ruk gaye. Unme se kisi aadmi ne ek ishara kiya aur sab aage badh gaye. Principal ne sab ko phool pehna diye aur ek shaqs ko bouquet thama diya jisse sab samajh gaye ki wahi chairman hain.
Saari ladkiyan pagal hui jaa rahi thi kyunki wo sab toh kisi buddhe aadmi ko apna chairman samajhti thi par Chairman toh ek khoobsurat noujawaan aadmi tha. Dikhne mein wo kisi filmo ke hero se kam na tha. Black armani suit mein wo bahot hi dashing lag raha tha jisse bahot si ladkiyon ka uss par dil aagaya tha. Lamba qad, gora rang, bhoori aankhein, 6 pack abs aur bhi na jaane kya kya. Usse dekh kar lagta tha jaisa khuda ne usse badi fursat se banaya ho. Uske ek ishaare pr uske saathi sab samajh jaate the. Wahan ki ladkiyon ke liye wo toh ek perfect husband material tha kyunki khoobsurati aur bahot saara paisa dono ka maalik tha wo. Iske alawa kisi ladki ko chahiye bhi kya. Pr unn ladkiyon ko kya maloom tha ke iss perfect se chehre ke picche ek devil chupa hai.
"Please welcome. I request you to introduce yourself and give some motivation to our students." Principal ne chairman ko stage ki taraf bulate hue kaha.
Wo stage pr aagaya aur sab taaliyan bajane lage. Faiza aur Rumaisa ne abhi tk uska chehra nahi dekha tha kyunki wo dono backstage pr kuch kaam me masroof thi. Jaise hi unhe mic mein kisi ki awaaz aayi wo dono bahar aagayi aur ek kone me thair ke dekhne lagi pr unhe chairman ka chehra dikhayi nahi de raha tha kyunki wo unke picche khadi hui thi.
"I'm Fardan Shahriyar, Chairman of this college and owner of Shehriyar Industries." Usne apna introduction diya. Sab ladkiyan aapas mein baatein karne lagi.
"Shehriyar Industries iss country ke top Industries me se ek hai aur iss company ke maalik hamare chairman hai ye toh socha hi nahi tha". Rumaisa ne Faiza se kaha.
Faiza ne confused sa look dete hue pucha, "Kya Shehriyar Industries bahot badi industry hai? Mai ne toh kabhi aise kisi company ka naam nahi suna."
Rumaisa kuch kehne hi lagi thi ke Chairman ne bolna shuru kiya jisse saari ladkiyaan dhiyaan se unhe sunne lagi, "Aj iss college ki 25th Anniversary hai jo mere dad ne apni mehnat se banaya. Mai aap sabse bas ek baat share karna chahta hoon.Wo ek gareeb gharane se the aur ghar mein paisa na hone ki wajah se unke behn ko studies beech mein adhoori chodhni padi , kyunki uss waqt mein ladkiyoun ka padhna ya na padhna ek jaisa hi maana jaata tha pr mere dad ko ye sonch pasand nahi thi aur wo meri phuppi ko bhi padhana chahte the. Unhone apni padhai chodh di taaki gharwale unn paison mein meri phuppi ki padhai karwa sake. Unhone bina padhayi kiye kaam karna shuru kiya aur 7 saal ki mehnat karne ke baad iss college ko khol paaye jisme mere phuppi jaisa accha padhne wali ladkiyon ko muft mein ug aur pg jaisi degrees hr field mein complete karne ki saholat hai. Aur ap mein se kayi log nahi jaante pr meri phuppi padhai karke aaj aap sab ki principal bani hui hai. Main aap sabko koi kahani nahi suna raha ke aap sab aaj sun kar 4 din baad bhul jao balke main chahta hu aap sab isse kuch seekh haasil karein aur duniya ko saabit kardein ki ladkiyaan bhi ladkon se kam nahi. Mai chahta hu iss college ki har ek ladki independent ban jaaye. Zaruri nahi padhai karke aap koi job karien, padhai ke toh bahot saare fayede hain. Padhai se aap zindagi ke baare mein bahot kuch maloom kar sakte hain. Aur aakhiri baat ke agar insaan kuch tay karle toh har qeemat mein usse paa sakta hai isliye aap sab bhi khoob mehnat karna. Ab mai yahan se chala jaata hoon kyunki main ne aap sabka bahot saara waqt leliya pr meri baat pr ghaur karna aur usse amal mein laane ki koshish karna." Chairman kuch kehne wale hi the ki unhe koi call aane ki wajah se wo seedha bahar chale gaye. Sab log taali bajane lage.
Sab ladkiyaan Chairman ki speech se kaafi inspire hui thi. Wo sab unki baaton mein jaise kho gayi ho. Kuch ladkiyaan unki baaton mein toh kuch unki khoobsurati mein. Faiza aur Rumaisa bhi kaafi inspire hui thi aur Faiza sochne lagi kya waqai iss tarah ke mard hote hain jo aurat ko mardon se kam nahi samajhte. Pr uski zindagi mein toh hamesha ulta hi hua tha. Wo apni socho mein doobi thi ke achanak Rumaisa ki awaaz pr hosh mein aagayi. Wo stage pr kheenchte hue Faiza ko apne saath le aayi.
"Wahh! Sir ne toh humein kaafi motivate kar diya hai. Sach kaha hai unho ne ladkiyaan ladkon se kam nahi hoti!" Rumaisa ne mic haath me lete hue kaha.
"Haan humein bhi mehnat karke hamare principal jaisa successful insaan banna hai...hum sab khoob mehnat karke iss college ka naam roshan karenge hai na ladkiyon?" Faiza ne kaha.
Sab ne haan mein jawab diya aur phir event ko aage badhate hue unho ne anchoring shuru ki.
***************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...