Nikah hone ke baad sab khana khane ke liye jaa rahe the. Fardan ko bhi khane ki taraf le gaye the aur Mama ke saqti se kehne pr Shafiq ne zabardasti dulhan ka bhai hone ki wajah se Fardan ko apne haathon se kheer khilayi thi. Najane kyun Fardan ko Shafiq se chidd thi aur Shafiq ko bhi Fardan kuch khaas pasand nahi tha. Faiza ko bhi khane pr le gaye the aur Ayesha ne dulhe ki behn hone pr Faiza ko apne haathon se kheer khilayi thi. Ayesha bahot khush thi pr uske maa baap ki kami usse thoda udaas kar rahi thi.
Kuch der baad Fardan aur Faiza ko ek jagah bithaya gaya tha pr Faiza ka chehra phoolon ke sehre se chupa tha aur Fardan ab bhi uska chehra nahi dekh paya tha. Fardan jaise jaise uske paas aa raha tha usne uske kapde dekhe jo laal rang ke the. Faiza ke liye Ayesha ne jo laal sharara liya tha wo Ayesha ne bahot baar Fardan ko batane ki koshish ki thi pr wo kaam mein masroof hone ki wajah se nahi dekh paya tha. Wo stage pr aaya aur uske saath wali kursi pr baith gaya. Kuch tasweer'on ke baad rukhsati ka waqt aagaya. Faiza ki saari zindagi toh aansu bahane mein nikli thi pr aaj, aaj toh usse apni hi rukhsati pr rona nahi aa raha tha. Wo bas ye soch rahi thi agar baaqi ladkiyon ki tarah uske maa baap bhi hote toh shayad ye din usse na dekhna padta. Uski kabhi kisi se zabardasti shaadi na hoti aur wo duniya ki sabse khushqismat insaan hoti. Bachpan me hui apni maa ki maut aur apne baap ka bura saleeqa usse kabhi chain se jeene nahi deta tha. Wo har uss ladki ki qismat pr hasad karti thi jiske maa baap unhe pariyo ki tarah rakhte. Uske papa ne toh kabhi usse apnaya bhi nahi tha aur kuch ladkiyaan itni qismat wali hoti hai ke unke papa unhe shehzaadiyon ki tarah treat karte. Faiza toh marr jaana chahti thi pr apne maa se kiya hua aakhiri waada usse kabhi marne nahi deta tha aur na hi chain se jeene deta tha.
Mama ji Faiza ke pass aaye aur gale laga kar dheere se bole, "Jaanta hu kuch dino se bahot takleef di hai maine tumhe aur tumne bhi mujhe kuch kam takleef nahi di thi pr ab meri galat fehmi durr hogayi. Jaanta hu meri galti thi jo mai ne tum pr shakk kiya pr mera yaqeen mano mujhe yahi ladka tumhare liye sahi lagta hai. Mai ne gusse me ya jaldbaazi me ye shaadi ka faisla nahi kiya. Mai ne soch samajh kar Fardan se baat karne ke baad ye faisla liya hai. Tum khush rahogi mera yaqeen karo. Wo tumse bahot mohabbat karta hai toh tum kabhi usse koi gham na dena...koshish karo ek acchi biwi banne ki."
Fardan se baat karne ke baad? Aisi kya baat ki hogi jo mama ji mujhe 2 din mein ruqsat karne raazi hogaye? Ek acchi biwi kaise banjau uss shaqs ki jisse mai jaanti tak nahi!! Faiza mann mein sochne lagi pr usse ek sukoon mila tha ke mama usse nafrat nahi karte aur unhe abhi bhi uski parwah hai.
Mami ji bhi rone ka natak karti hui gale milne lagi aur boli, "shayad mai ne tumhe bahot takleef di hogi pr ab ameer ghar me jaa rahi ho toh kabhi bhi apni mami ko mat bhul jaana."
Shafiq ki himmat na hui ke Faiza se aake mile. Wo bas durr se usse dekh raha tha. Usse subah tk bhi umeed thi ke Faiza iss nikah se inkar kardegi pr ab uski umeed bhi marr chuki thi aur wo Faiza ke saamne jaa kar uski nayi zindagi mein koi bhang nahi daalna chahta tha. Shafiq bas ek kone mein khada Faiza ko dekh kr muskura raha tha.
Rumaisa Faiza ke gale mil kar khoob rone lagi aur ab Faiza ke aansu qaabu mein nahi aa rahe the. Usse ehsaas hua ke wo apna sab kuch chodh kar jaa rahi hai. Apna ghar, apna pariwar, apni sabse pyaari dost aur apne saare sapne. Faiza aur Rumaisa ko rota dekh kar Ayesha bhi rone lagi aur boli, "Tum dono pagal ho? Hum toh roz hamare ghar mil sakte hai na phir kyun roo rahi ho? Agar ghar pr na sahi toh college mein toh roz saath hi hoti ho na! Dekho mujhe bhi emotional kar diya tumlogon ne."
Rumaisa apne aansu saaf karte hue Faiza ke bhi aansu saaf karne lagi. Fardan Faiza ko dekh nahi pa raha tha kyunki sab logon ne Faiza ko gher liye tha. Aur ussi bhed mein Faiza ki nazar Shafiq pr padhi. Shafiq ko muskurata dekh kar Faiza ko ek tasalli mili aur wo bahot khush hogayi. Usse laga jaise uska purana dost aur bhai jaisa saathi usse wapis mil gaya tha.
Rumaisa aur Ayesha ne Faiza ko car mein bithaya aur Ayesha front seat pr baith gayi. Fardan Faiza ke pass aakar baitha. Adil jo Fardan aur Ayesha ke phuppi yani principal ka beta tha wo car chalane laga. Fardan ke baaqi rishtedaar dusre cars mein pehle hi nikal chuke the pr phuppo aur phuppa abhi mama mami se kuch baat karte hue ruke the. Unke nikalte hi sab apne apne ghar chale gaye.
******************************
"Bhai finally apki mohabbat apko mil gayi aur apki shaadi hogayi!" Ayesha apne bhai se boli.
Faiza kisi ko dekh nahi pa rahi thi pr wo sabki baatein sun rahi thi aur Ayesha ki aisi baat pr wo hairath se apne haath dekh rahi thi. Fardan Ayesha ki baat pr muskura kar Faiza ko dekhne laga jiska chehra phoolon ke sehre se chupa hua tha.
"Bhabi ap toh bahot qismat wali ho. Bahot kam logon ko bhai ka pyaar naseeb hota hai!" Adil bola jis pr Faiza zor se khansne lagi aur Ayesha hans padi. Fardan ne ghur kar Adil ko dekha toh wo chup hogaya. Jald hi wo log ghar pahonch gaye.
******************************
"Beta tum dono yahan pr baith jao. Humein kuch rasme karni hai." Phuppo bolte hue kitchen me chali gayi.
Faiza aur Fardan ko aamne saamne baitha kar unn dono ke beech ek aaina rakha tha. Aur Faiza ka sehra nikal kar usse ek ghunghat pehnaya hua tha jo kheench kar phuppo ne dono ke sar pr udha di jisse Faiza ka chehra Fardan ko aaine me ache se nazar aa raha tha. Faiza apni aankhein utha kar usse dekh hi nahi rahi thi. Fardan usse hi dekh raha tha phir Faiza ne bhi aaine me Fardan ke chehre ko dekha aur wo bahot zyada handsome lag raha tha. Phuppo ne ghunghat utha diya aur Fardan ab uske chehre ko dekhne laga. Faiza ki aankhein sharam se jhuki thi pr Fardan ki aankhein Faiza se hatt nahi rahi thi. Faiza toh usse kisi hoor jaisi lag rahi thi.
Ayesha dono ke saamne ek bada sa bartan le aayi aur usme doodh aur phool ki pattiya bhare hue the. Ayesha apni ek ring usme daalti hui boli, "jo iss ring ko pehle dhundega wo zindagi bhar apne partner pr raj karega!"
Ayesha ne dono ke haath doodh mein daale aur wo ring dhundne lage. Ring Faiza ke haath lagi thi aur wo ring ko bahar nikale ya nahi ye soch rahi thi utne me Fardan ne Faiza ke haath se aadhi ring leli aur usse bahar nikaal kar dikhane laga.
"Aray wahh! Ye toh 50-50 hogaya. Aap dono ki life toh ab mast chalegi." Ayesha haste hue boli.
Fardan ko inn games mein bahot maza aa raha tha aur wo aisi games aur khelna chah raha tha.
"Bhai ab aakhiri rasam mehndi ki. Mehndi ka rang toh jaisa chadha hai usse sab bol sakte hain bhabi ko bhai apni jaan se zyada mohabbat karte hain. Itni gehri mehndi toh mai ne kisi ke haath pr nahi dekhi bhabi." Faiza ko dhakka maarti hui Ayesha bolne lagi. Faiza sharmati hui apne haath dekhne lagi jo aise lag rahe the jaise kisi ne permanent marker se colour kar diya ho.
"Bhai apka naam bhabi ke haath mein likha hua hai jisse apko dhundna hai. Waise mai jaanti hu kahan hai pr mai apko nahi bataungi." Ayesha haste hue boli.
Fardan Faiza ke haath mein apna naam dhundne laga jo kahin nazar nahi aa raha tha. Faiza usse hint dene ki koshish karti hui apne dusre haath se ishara bhi kar rahi thi pr Fardan samajh nahi paaya aur Ayesha sab samajh rahi thi.
"Bhabi...no cheating please. Bhai ko dhundne do na!" Ayesha boli.
"Mil gaya! Mera naam yahan left hand ke ring finger ke pass likha hua hai. Uff itna ache se chupaya tha, yahan kon naam likhta hai" Fardan bola jo 15-20 minutes mehnat karne ke baad usse naam mila tha.
"Ye baat toh bhabi se puch lena. Unho ne choose ki thi ye jagah." Ayesha aankh maarti hui boli jispe Faiza ne Ayesha ko ghura.
Fardan Faiza ki taraf dekhta hua pucha, "Aap ne ye jagah kyun choose ki?"
Faiza ko propose karne ke baad ye pehli baar tha jab Fardan ne Faiza se directly koi baat ki thi.
Faiza nazrein jhukaye kuch kehne ki koshish kar rahi thi pr kuch bol nahi paayi. Faiza ki jhijhak dekh kar phuppi ne Ayesha se kaha ke wo Faiza ko Fardan ke kamre me le jaaye.
Ayesha muskurate hue Faiza ko lekar Fardan ke kamre mein chali gayi.
***************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...