Raaz Aur Tohfa

450 16 0
                                    

Faiza Fardan ke kamre mein ghunghat odhe baithi thi jo gulaab ke phoolon se saja hua tha. Faiza ke dil me ghabrahat badhne lagi. Wo nahi jaanti thi Fardan kaisa hai ya uski zindagi Fardan ke saath kaisi kategi pr usse itna samajh aagya tha ke Ayesha kabhi usko tanha nahi chodhegi. Apne mamu aur Ayesha ki baatein yaad karte hue wo soch rahi the ke Fardan usse sach me mohabbat karta hai kya? Wo toh bahot aam si ladki thi phir Fardan ko uss se mohabbat kyun hogayi? Fardan ko toh koi bhi mil sakti thi phir Faiza jaisi aam si ladki kyun? Fardan se zyada handsome ladka toh Faiza ne kabhi na TV me dekha tha na hi haqeeqat mein. Usse toh abhi bhi sab sapna lag raha tha. Wo apni soch me doobi thi ke achanak darwaaze ki awaaz pr Faiza hosh mein aagayi aur jaldi se apna ghunghat seedha karke baith gayi.

Fardan andar aate hi Faiza ko bed pr dekh kar muskurane laga. Wo bahot khush tha ke aakhir uski mohabbat aaj uske nazron ke saamne thi...ab wo sirf aur sirf uski hogayi thi. Ye sab sochta hua wo Faiza ke pass jaa kar baith gaya. Faiza nazrein jhukayi baithi thi. Fardan usse hi dekh raha tha.

Kuch der baad Fardan bola, "Ye tumhari munh dikhayi hai aur shayad tum itni der se baith kar thak gayi hogi toh fresh ho kar sojao. Mujhe kuch kaam hai."

"Pr wo..." Faiza kuch kehne ki koshish karti hui ruk gayi aur Fardan ke haath se apna tohfa le kar cupboard ki taraf badh gayi.

"Kitne ajeeb aadmi hai ye...inhone mera chehra dekhe bina mujhe munh dikhayi di. Pata nahi kya hoga mera. Apni shaadi ki raat se zyada kisi ko kya hi zaruri kaam ho sakta hai. Bhala mujhse zaruri bhi kaam hoga iss waqt karne ko...mai toh pagal thi jo mama ki baaton mein aa kar iss shaadi ko ek mauqa dena chahti thi pr ye toh mujhse baat karne ko tk raazi nahi. Pata nahi kya hoga mera iss ajeeb se aadmi ke saath!" Faiza mann ki baatein khudse karne lagi jo Fardan ko samajh toh nahi aa rahi thi pr wo uske honth dekh kar andaza lagane ki koshish kar raha tha jisme wo kamiyaab na ho saka.

"Kya hua tum kuch kehna chahti ho?" Fardan Faiza ke picche khada usse puchne laga.

Faiza hairat se palat kar Fardan ko dekhne lagi jo usse kuch hi duri pr khada tha. Wo na mein sar hilane lagi. Fardan uske aur pass aaya aur uska haath apne haath me lete hue puchne laga, "Tumne ne mera naam yahan kyun likhaya? Iske picche koi khaas wajah hai ya mera naam pasand nahi isliye chupa kar likhana chah rahi thi?"

"Na....wo...ai..aisa kuch nahi hai.Wo meri ammi kehti thi left hand ki ring finger se jo nas hoti hai seedha dil se judi hoti hai toh mai ne socha wahan apka naam likhana sahi hoga. Kyunki mai aur ammi jab bhi meri shaadi ki baat karte toh mai unse kehti thi ke mai apne husband ka naam yahin likhaungi." Faiza ghabrate hue bolne lagi.

(Cringe Pro Max!! IK)

Fardan ke chehre pr bahot badi muskurahat aagayi. Wo apni khushi chupane ki koshish kar raha tha pr usme wo nakaam hogaya. Fardan ne Faiza ke haath se munh dikhayi wala tohfa liya aur usme se rakha heere ka haar nikaal kar usse dikhaya. Faiza ne apni poori zindagi me diamond kabhi dekha bhi nahi tha toh wo hairath se uss tohfe ko dekh rahi thi. Fardan wo haar uske haath me dete hue puchne laga, "Tumhe mera tohfa pasand nahi aaya? Kuch aur chahiye tha?"

"Nahi aisa kuch nahi hai. Wo bas mai ne aaj tk kabhi diamond dekha nahi aur aap mujhe ye tohfa de rahe hain toh mai isse qabool nahi kar sakti." Faiza jhijhak se boli.

Fardan muskurate hue bolne laga, "Kyun tumhe diamond nahi pasand? Ya kuch aur chahiye tha?"

"Aisa nahi hai bas ye itna qeemti tohfa mai nahi le sakti." Faiza boli.

"Meri nazar me toh ye tohfa bilkul bhi qeemti nahi hai." Fardan ke bolne pr Faiza ne dheere se kaha, "Aap bahot ameer hain, aap ne kabhi gareebi nahi dekhi toh beshak apko iski qeemat kam hi lagegi."

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now