Naira and Kartik were happily playing with Kaira, Kairav and Akshu.
Kaira: Mumma papa mujhe padko
Naira: Kaira beta please bhago mat. Main tumhare peeche nhi bhag paungi.
Kaira: Arey mumma , aap tension kyun le rhi ho? Aap akshu ka dhyaan rakho, mujhe papa pakdenge.
Kartik: Haa Naira..main humari princess ko yun pakad lunga. Arey kaira, mere 3 ginne ka wait toh krti.Kaira : Papa, apni princess ko pakdo.
Kartik: Accha ji, yeh lo pakad iya.
Kaira: Itni jaldi nhi.
Then kaira escaped from Kartik's hold and ran towards a direction. Suddenly Naira heard Kartik's voice.
Kartik: KAIRA!! Naira dekho Kaira kuch bol nhi rhi...kaira utho. Naira kuch bolo, naira ! Kaira dekho , dekho aapki mumma aapko bula rhi jai. Naira, kaira ko awaz dona.... naira kuch bolo!
Naira: KAIRA!!
Naira woke up with a jerk.
Swarna : Naira, kya hua , doctor ko bulaoon?
Sirat : Naira di humari toh jaan hi nikal gyi thi. Finally aapko hosh aa gya! Main abhi doctor ko bulati hoo.
Naira: Maa, krishna kahan hai? Kuch pta chala? Wohi humari kaira hai na?
Swarna: Naira tumhe abhi abhi hosh aaya hai. Tum pehle thodi normal ho jao...phir main tumhe btati hoo.
Sirat: Di doctor ne aapko kuch din chalne phirne se mana kiya hai. Aur aapka cortisol level bhi high hai. Please abhi stress mat lo.
Naira: Kaira hi Krishna hai? Kahan hai woh?
Just then Kirti entered the room.
Naira: Bhabhi!
Naira hugged Kirti and started crying inconsolably.Kirti: Shhhh! Main tumhe kartik ke pass le jaungi. Par kuch derr baad. Abhi tumhe thodi rest chahiye.
Naira: Nahi bhabhi. Mujhe meri bacchi ke pass jana hai.
Kirti: Naira ....pls shaant ho jao....kartik ko abhi tumhari zaroorat hai. Main tumhe le jaungi uske pass. Par pls tum yeh dawai le lo .
Swarna: Naira pls dawai khalo.
Naira: Krishna....kaira ...... bacche........
Sirat: Di aapko aapki kaira ki kasam . Dawai kha lo.
Naira: Matlab Krishna hi kaira hai. Bhabhi, maa, mujhe meri Kaira mil gyi. Meri pehli gokh nhi ujadi thi. Meri beti zinda hai...meri kaira....kahan hai woh.
Kirti: Naira pls dawai le lo. Kaira ke liye.
Naira: Uske liye toh main sab kuch lungi. Dijiye dawai.
Swarna : Yeh lo. (To kirti and Sirat) Jab kaira paida hui thi, tab main nhi thi. Lekin ab woh darr, woh khushi sab mehsoos ho rhi hai. Apni poti ke hone ka ehsas aur usse khone ka darr .. sab mann mein karwate le rha hai. Naira jab wapas 30 min baad uthegi , tab kartik ko usse sab btana hoga.
Kartik is sitting with Akshara and Ranveer infront of ICU. Manish and Naitik are standing by the gate with Gayu in the centre
Manish: Accha hua Gayu tumne Akhilesh aur Shubham ke saath bacchon , Surekha aur Maa ko bhej diya.
Gayu: Yakeen nhi hota Papa, jis Kaira ke jaane ke dukh ko bhulane mein hum sabko mahino lag gye, aaj wapas usse paa ke khone ka darr uss dard se kai zyada hai. Naira toh behosh hai, par kartik toh jaise hosh mein hoke bhi nhi hai.
Naitik: Aaj hi main aur Akshara soch rhe the ki Princess ke saath choti princess hoti toh uska parivaar pura ho jaata. Kya pta tha, hum apne sapne ko sach hota hua dekh rhe the hum dono.
YOU ARE READING
Barrels of Love and Dream
FanfictionThis fanfiction is going to be based on the timeline after the bus accident. Our kaira survived the accident but something else happened which was really shocking. Read to know more. Its a completely different take on how the third generation of y...