23. Kaira and Karan

494 20 5
                                    

At office,
Karan: Kaira almost sab kuch ho gaya hai. Jewelleries ban ke aa gayi hai, marketing and promotion bhi ready hai. Bas launch ke liye pamphlets banane hai, aur jis hotel mein hum yeh launch rakhenge, woh decide karna hai.

Kaira: Venue ke liye mere pass ek idea hai. Kyun na hum use Krishna hotels mein rakhe. Kyunki woh nanu ka hai, toh wahan ki security and ratings pe zyada research bhi nahi karni padegi, aur already wahan ka cctv control badi nani ke haath mein hai.

Karan: Hmm idea accha hai. Toh main kal subah jaake booking kar lunga. Also, for the pamphlets, kyun na hum Kairav aur Anisha ki help le? I mean they're so creative.

Kaira: Sounds cool. Aur yahan ka jo bhi marketing and promotion ka plan hai na woh main ek baar Nishtha ki help se cross check karke, Reem ko event organising ka order de dungi.

Karan: Aur promotion ke liye hum Vansh and Krish ko bhi bol sakte hai.

Kaira: Aur bach gayi security toh...

Karan: Voh main dekh lunga aur agar help chahiye hogi toh Sanju se keh dunga.

Kaira: Finally. Everything is done. (Resting her head on Karan's shoulder unknowingly.)

Karan: (Resting his head on hers) Apni dream kitni pass lag rahi hai.

(Author : Par par par....apni aashaon ko itna mat badhaiye kyunki....aapko romance itni jaldi nahi nasib hoga. )

Karan/Kaira : Ohhhh noooooooo

Kaira : Showroom ka design?!

Karan: Shit! Itni jaldi toh koi tender bhi nahi lega, aur hume ek week mein chahiye. Ab?

Kaira: Chalo ghar chalo.

Karan: Goenka villa kyun?

Kaira: Chalo toh. Wahan pe sab arrange karwa dungi.

At Goenka Villa,

Karan: Waise yahan Abhi bhi aane  waaala hai?

Kaira: Shayad Akshu aur Aaru ki job ka celebration hai. Aur nishtha ko toh maine hi bulaya hai. Par Anisha?

Kairav: Arey use bua ne bulaya tha, par phir unhe yahan aana pada, toh use bhi le aayi.

Kaira: Tu kahan se aa raha hai?

Kairav: Haa main gallery gaya tha. Aapka msg dekha toh aa gaya. Sab aa chuke hai, chaliye.

Kaira: Aur krish ne Sanju ko bhi invite kiya hai. Krishhhhhh ne.

Karan rolled his eyes and said: Chaliye andar chalte hai.

Kairav: Woh krish ne bataya ki Sanju Amber and Guneet aunty ke saath aa jayegi. Papa ko uncle se kuch kaam tha aur Sirat maasi aur aunty ek naya sports scholarship programme plan kar rahi hai.

Karan: Wow. Thats interesting.

As soon as they entered the hall, a lady in her late sixties came to Kaira and hugged her tight.

Lady: Kaira meri bacchi. Kitni badi ho gayi tu.

Kaira: (shocked) Choti dadi aap.

Surekha: Haa haa meri bacchi mai. Arey meri bacchi shaadi ke layak ho jaaye aur main na aaun aisa ho sakta hai.

Kartik (whispering to Naira) Aur yeh Kaira ka gussa phutega.

Naira: Kartik hum inhe rokte kyun nahi hai. Har cheez ki ek limit hoti hai.

Swarna: Sorry bacchon. Par tum toh jaante ho ki yeh 2 din ke liye hi aayi hai. Aise mein rokna tokna accha nahi lagta.

Gayu: Yehi toh baat hai maa. Yeh hume jitna hurt karle, hum kuch na kre.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 12 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Barrels of Love and DreamWhere stories live. Discover now