3. Homecoming

746 18 0
                                    

Two days later.
Goenka Villa

Suhasini: Shubham! Gayu! Manish! Swarna! Akhilesh! Surekha! Ranveer!

Hearing her scream everyone came running.

Swarna: Maji aap theek toh hai?

Shubham: Haa dadi! Kya hua aap achanak aise kyun chillane lagi?

Suhasini: Kaira ghar aane wali hai! Aur abhi tak koi saaj sajawat nhi hui, saaj sajawat toh chodo ghar mein pakwan ki khushboo tak nhi hai. Kar kya rahe ho tum sab?

Gayu: Dadi! Abhi subah ke chaar baje hai. Kaira dopahar ke 3 bje aayegi.

Manish: Maa sab ho jayega. Filhall bacche andar so rhe hai. Woh yeh chilla chilli sun ke uth gye toh unko sambhalna mushkil hoga. Naksh aur Kirti ne kitni mushkil se Akshu aur Vatsal ko sulaya hai.

Surekha: Haa maji. Aur decoraters theek 8 baje tak aa jayenge. Aur kaira ka room bhi 10 baje tak ready ho jayega. Maine designer se bhi baat krli hai, woh saare kapde 12 bje tak de dega.

Swarna: Aur maaji woh saari dishes main , Akshara ji , Naksh aur Naitik ji milke banayenge.

Manish: Aur maa puja ki taiyaar mein , akhilesh aur Shubham dekh rhe hai.

Ranveer : Aur aapke poti ko pure pomp n show ke saath ghar laana meri aur Sirat ki zimmedari hai dadi.

Dadi: I am sorry bacchon! Humne tumhe itne pehle utha diya. Par kya kare! 10 saal pehle jo sapna tut gya tha, woh ab sach hote dikh rha hai. Yakeen nhi hota. Hum toh yeh soch rhe hai ki uss nanhi si jaan se nazre kaise milayenge.

Swarna: Jaise ek pardadi apni parpoti se nazre milati hai waise.

Shubham and Gayu: (while hugging Suhasini) Humari cutest dadi. Chaliye so jaaiye...warna parpoti ke saath pura din kaise bitayenge.

Then they all retired to their rooms for getting 2 hours of sleep. Although everyone wanted to start the preparations right away, but they wanted to be fresh and active to entertain their heir. Their Kaira.

In the morning. Around 8 o clock.
In the hospital.

Naira was sleeping peacefully with her kaira in her arms while Kartik was sleeping like a baby holding kaira and naira like two babydolls. This was the brightest morning of Kaira's live. They were going home with their Kaira. Kartik was the first one to wake up. He saw his Naira and his princess sleeping peacefully just like two pearls rest in a shell. He was about to step out of the bed when someone held his hand. It was none other than Naira.

Naira: Mendhak!

Kartik: Bolo Sherni!

Naira: Hum jeet gye.

Kartik: Humari kaira aaj humare saath jayegi. Aaj humari family puri ho jayegi Naira! Main tum aur humare bacche.

Naira: Kartik! Bacchon se yaad aaya! Kairav , Vansh aur Krish ko kya samjhayenge?

Kartik: Yahi ki Krishna unki badi behen hai. Humari badi beti.

Naira: Kartik yeh tum bhi jaante ho ki yeh sab itna easy nhi hoga. 1000 sawal uthenge unke mann mein. Sabse zyada kairav ko yeh smjhana hoga ki abhi hume kaira aur akshu ko sabse zyada care aur attention deni hai . Par woh use apne ignorance mein na le.

Kartik: Naira, abhi pls tum stress mat lo. Tumhare pair ke ghav bhi sukhe nhi hai. Naksh aur Kirti bacchon ko smjha denge.

Just then Kaira woke up.

Kaira: Papa .....

Kartik: Haa bolo princess.

Kaira: Hug dona. Mujhe aise neend nhi aayegi.

Barrels of Love and DreamWhere stories live. Discover now