21. To home again

444 24 7
                                    

Next morning, Akshu was waiting for Abhi.

Abhi: Arey time pe aa gayi tum. Mujhe laga beauty sleep follow kar rahi hogi.

Akshu: Zyada mat bano. 5 ke 5:30 baj gaye hai. Khud late latif ho aur mujhe bol rahe ho.

Abhi: Doctor hoon main doctor. Jaldi late nahi hota.

Akshu: Jao jao, pata nahi koi tumse apni dil ki surgery karwane aata hoga toh kitna late karte hoge tum.

Abhi: Time pe aata hoo. Doctor and surgery is my first love. Uske baad.....

Akshu: Uske baad?

Abhi: Uske baad...uske baad kya woh aayegi jo mere dil ki surgery karke apne liye jagah bana legi. Aur jiski dil ki surgery mujhe karni padegi.

Akshu: Chalo chalo. Main toh na karwaun apni surgery tumse.

Abhi: Maine kab kaha ki tum apni surgery karwaogi?

Akshu: Tumhare dil ki bhi kar dungi.

Abhi: Main toh tumhe girija smjhta tha. Tum toh ankhiyon se goli maar nikli.

Akshu: Mujhe jitna jaanoge utne shades bahar aayenge . Ek min, yeh girija kya hai?

Abhi: Arey woh tum baar baar girti rehti ho na. Isliye girija.

Akshu: Main girija... toh tum...tum methidana...nahi tum chidkuram

Abhi: Main chidkuram toh tum chidkurani.

Akshu: Toh agar main girija toh tum mere docman.

Abhi: Tumhara?

Akshu: Woh.... matlab.....

Abhi: Akshu I like you. Aur chahta hoo yeh like love mein badle.

Akshu: I like you too. Aur main bhi yahi chahti hoo.

Abhi: Isliye maine tumhe yahan bulaya. Apni life ki most important person se baat karwane.

Akshu: Aunty se baat karwaoge?

Abhi: Kaise pata?

Akshu: Tumhe apne bhai behen ke saath toh dekh liya tha. Tum ek bahut acche bhai ho. Aur jo ladka apni maa ke fav song apna fav song btaye uski life mein uski maa se special kaun hoga.

Abhi: Tum bhi toh apni maa ke close hogi.

Akshu: Ek nahi. Chaar chaar maaye hai meri. Sabse close hai maa aur choti maa. Uske baad aati hai mami aur gayu maasi. Par papa aur chote papa kam pamper nahi karte hai mujhe aur Aaru ko. Aur dada dadi nana nani ke hum sab ladle hai. Tum btao na apne papa ke baare mein?

Abhi: Woh mere papa nahi hai. Unhone kabhi kisi aurat ka samman nahi kiya. Isliye main unhe papa bhi nahi kehta. Taayaji bahut sweet thi pehele, par phir woh aur Taauji dono hospital mein lag gaye. Itne busy ho gaye ki apne saare rishton ko bhul gaye. Phir maa ke liye hum bacche aur bacchon ke liye maa.

Akshu: Maa kitni lucky hai na, bhagwan se log ek santan ke liye taras jaate hai. Aur unhe itne saare bacche mile.

Abhi: Baat karogi?

Akshu: Haa.

Abhi (video calling Manjiri) Maa. Yeh dekho. Yeh hai Akshu.

Akshu: Hello aunty.

Manjiri: Hello beta. Tum bahut pyaari ho.

Akshu: Aap bhi bahut sweet ho.

Manjiri: Waise aap dono kahan mile?

Akshu: (taking phn from Abhi) Arey aaoko pata hai.

She then continued her long long story about each and every moment they experienced in their journey. Every time Abhi tried to take the phone away, either Akshu or Manjiri would sign him to wait or go. This continued for about an hour. At the end, Abhi realised how happy Manjiri was talking to Akshu. Abhi began to say about his adventures, but every time Manjiri said she knew everything.

Barrels of Love and DreamWhere stories live. Discover now