Subah dhoop ki halki si roshni Faiza ke chehre pr padne se uski aankh khul gayi thi aur jab wo jaag kar dekhne lagi toh Fardan usse kahin nazar nahi aaya.
"Shayad wo raat bhar kaam karte reh gaye aur abhi tk wapis nahi aaye." Faiza aise soch rahi hoti hai toh darwaze pr dastak sunn kar darwaza kholne ke liye chali jaati hai.
"Meri pyaari bhabhi! Mai apke liye naye kapde layi hoon. Aap jaldi se taiyyar ho kar nicche chaliye mere saath. Sab apke intezaar mein hai." Ayesha muskurate hue kehti hai.
Faiza sharam se laal hoti hui jawab deti hai, "Please mujhe bhabhi mat kaho ajeeb lagta hai."
"Aray kyun? Aap toh bhabhi ho na meri." Ayesha usse chidhane lagti hai.
"Haan pr mujhe aapse Faiza sunne ki aadath ho gayi hai toh mujhe Faiza hi kaho." Faiza muskurate hue kehti hai.
"Pr bhai mujhse bade hain toh mai apko bhabhi hi kahungi phir chahe apko ajeeb lage ya kuch mujhe nahi parwah." Ayesha hasne lagti hai.
"Theek hai apki jaisi marzi pr aap mujhe ab achanak se aap aap keh kar ajeeb mehsoos karwa rahi hain." Faiza haar maanti hui kehti hai.
"Wo isliye bhabhi kyunki aap bhi mujhe aap kehti ho. Mai bas 2 saal badi hu apse 10 saal nahi." Ayesha Faiza ko kapde thamate hue kehne lagti hai.
"Wo aap vice principal bhi banne wali ho aur mujhse 2 saal bhi badi ho toh mujhe tum kehna ya apko naam se pukarna acha nahi lagega toh mai apko izzat dena chahti hu." Faiza sar jhuka kar dheeme lehje mein kehti hai.
"Meri pyaari bhabhi! Ghar me toh hum dono ka kuch aur rishta hai toh ghar me mujhe tum keh sakti ho na. Aur waise bhi rishte me aap mujhse badi ho toh mai izzat dungi apko bhi. Aur agar apko mujhe Ayesha kehna ajeeb lagta hai toh mujhe di keh lena." Ayesha phir se Faiza ko satane lagti hai.
"Theek hai di, hum iss nand-bhabhi ke rishte se pehle dost hai na toh tum mujhe apna dost samjho aur mai bhi tumhe dost samjhungi." Faiza muskurate hue bolti hai.
"Theek hai bhabhi ye dosti toh zindagi bhar chalegi pr tum abhi jaldi se taiyyar hojao." Ayesha ke kehne pr Faiza kapde le kar bathroom ki taraf chali jaati hai.
Sab gharwale aa kar hall me baithe hote hai jab Ayesha Faiza ke saath nicche aati hai. Faiza gulaabi rang ka salwar kameez pehni hoti hai jis pr safed dhage ka kaam hota hai aur dupatta bhi safed rang ka liya hota hai jo uss par bahot jach kar aata hai. Wo nicche jaa kar sab ko salaam karne lagti hai. Sab uss hall me baatein karte hue baithe hote hai siwaye ek shaqs ke jo tha Fardan jisse Faiza dhund rahi thi.
Phuppo ke kehne pr Faiza ko hi aaj ka saara nashta banana thi kyunki aaj uska pehla din tha sasural mein aur sab uske haath ka bana kuch khana chahte the. Faiza Ayesha ke saath kitchen me khana banane ke liye chali gayi.
Nayi jagah aur naye logon me kaam karte hue Faiza ko thoda darr mehsoos ho raha tha pr Ayesha ka saath usse kuch himmat de raha tha.
"Mai kya banau Di? Aap sab log nashte mein kya khana pasand karte hain?" Faiza Ayesha se puchne lagi.
"Faiza abhi toh dopahar ho chuki hai toh tum aisa karo dal chawal banalo aur saath me koi chicken ka salan bana lena ya jo tumhe samajh aaye." Ayesha muskurate hue boli.
Ayesha ki baat maante hue Faiza sab ke liye dal chawal banane lagi aur saath me chicken 65 ki taiyyari karne lagi. Wo sabke liye meetha bhi banana chahti thi isliye usne Ayesha se uss baare me bhi pucha toh Ayesha ne usse Fardan ki mann pasand kaddu ki kheer banane ke liye kaha.
Jab Faiza ne khana bana liya toh wo dining table par sab rakhne lagi aur Ayesha sab ko bulane ke liye chali gayi. Sab aa kar baith gaye bas Fardan kahin nazar nahi aa raha tha. Phuppo ke kehne pr Adil ne Fardan ko phone kiya jo Fardan pick nahi kar raha tha. Sab khana khane lag gaye aur Faiza ko bhi khane ke liye kaha pr Faiza chahti thi ke wo Fardan ka intezaar kare isliye usne mana kar diya aur kisi ne usse force bhi nahi kiya.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...