"Faiza...Faiza??" Fardan bhaagta hua uski taraf aaya aur chillane laga. Wo uski awaazein sunn rahi thi pr uski aankhein khul nahi rahi thi aur phir wo poori tarah behosh hogayi. Fardan ki awaaz sun kar sab gharwale upr aagaye aur Adil doctor ko phone karne laga. Fardan Faiza ko bed pr lita kar usse hosh me laane ke liye uske chehre pr thoda sa paani daal raha tha pr wo hosh me nahi aa rahi thi.
Doctor ne Faiza ko check kiya aur puchne lage, "Shayad khana nahi khane ki wajah se thodi si weakness hogayi hai. Inhone aakhiri baar kab khaya tha?"
"Kal raat pr thoda sa meetha hi khaya tha uske baad se toh ye bhooki hain." Ayesha boli.
Fardan ko doctor ne akele me baat karne ke liye kaha toh sab room se chale gaye. Doctor kuch pareshaani me boli, "Inka blood pressure bahot down hogaya hai. Iske mostly 2 reasons hote hain shayad ye khana nahi khane ki wajah se weakness hui hai pr mujhe lagta hai unhe koi stress bhi hai toh aap iss baare me Faiza se baat kar lijiye. Mai abhi toh inhe glucose chadha rahi hu aur kuch medicines dungi. Ap inke khane ka aur mental health ka ache se khayal rakhiye. Mai jab check kar rahi thi toh bahot zyada weakness lagi mujhe aur ye koi achi baat nahi hai."
"Thank you doctor! Mai khayal rakhunga." Fardan ne kaha.
Faiza ko glucose chadhane ke baad doctor waha se chali gayi. Faiza ko abhi hosh nahi aaya tha aur Fardan ke kehne pr sab apne apne kamre me jaa chuke the. Bas Ayesha zidd se Faiza ke pass hi baithi rahi. Fardan bhi Faiza ke pass uska haath me apne haath me liye fikr se usse dekh raha tha. Ayesha ko kisi ka call aane ki wajah se wo wahan se chali gayi aur Fardan bas Faiza ko dekhte hue kuch yaad kar raha tha.
"Bhai aap bhi toh kal se bhooke hain. Chaliye mai apke liye khana laga deti hu aap khalijiye mai hu na bhabhi ke pass." Ayesha fikr se andar aati hui boli.
Fardan bina Ayesha ko dekhe bolne laga, "Nahi mujhe bhook nahi. Maine subah hi bahar kuch khaya tha."
"Apko mlm hai aaj bhabhi ne apke liye khana banaya tha aur apka mann pasand meetha bhi. Wo apke intezaar me bhooki baithi thi." Ayesha Faiza ko bechargi se dekhte hue boli.
Fardan Faiza ke chehre pr aate baal picche karte hue puchne laga, "beta tum jaanti ho na mujhe office ka kitna kaam hota hai...koi bhi deal kabhi bhi karni hoti hai. Aaj subah mai kisi urgent kaam se gaya tha. Tum apni bhabhi ko khana khila deti na mera intezaar kyun karne diya?"
"Bhai mai ne toh kaha tha pr wo maane tab na. Wo bhi apki tarah ziddi lagti hai. Sahi kehte hain log, Allah taala bhi jodi dekh kar banate hain. Jo jaisa usse waisa partner." Ayesha muskurate hue boli.
"Beta shaam hogayi hai tum jao aur khana khalo. Mai yahan baitha hu." Fardan Ayesha ko bahar bhijane laga.
"Bhai mujhe bhook nahi please. Mai bhabhi ke saath khaungi." Ayesha boli.
Fardan Ayesha ki baat ko anjaan maarta hua bola, "Please beta zidd mat karo. Mai hu na mai khalunga Faiza ke saath. Mai nahi chahta phir koi aur bemaar pade."
"Theek hai Bhai!" Ayesha daant peesti hui waha se chali gayi.
*******************************
Behosh hone ke kuch 4-5 ghanto baad Faiza hosh me aayi thi aur jab aankhein kholi toh dekha kamre me andhera tha aur bahar ki roshni se usse pata chala Fardan uske pass baitha neend me tha. Wo kal raat se jaaga hua tha toh shayad uski aankh lag gayi thi. Faiza ka ek haath uske haath me aise tha jaise wo kahin bhaag jayegi. Faiza bina Fardan ko disturb kiye uthne ki koshish karne lagi pr uska sar dard se phatne laga aur chakkar bhi usse bistar se uthne se rok rahi thi. Wo uthne me nakaam hogayi toh wapis se let gayi aur Fardan ko sota hua dekhne lagi. Ye pehli dafa tha ke wo Fardan ko itna qareeb se dekh rahi thi. Halki si chandni kamre ke ek kone wali khidki se pardeh ko cheerte hue kamre me aa rahi thi jisse Fardan ka chehra aur bhi pyaara lag raha tha. Kuch baal chehre pr bikhre the jo us pr bahot jach rahe the. Palke badi thi jisse dekh kar Faiza sochne lagi kash Allah taala ne mujhe bhi aisi khoobsurat palke diye hoti. Wo bahot pur sukoon neend me tha jisse dekh kar Faiza ko bhi bahot acha mehsoos ho raha tha. Wo bilkul ek masoom se bacche ki tarah lag raha tha jisse dekh kar Faiza muskura rahi thi.
Faiza kuch der baad phir se uthne ki koshish karne lagi aur iss baar wo kamiyaab hogayi. Fardan ko bina disturb kiye usne apna haath dheere se khincha aur fresh hone ke liye chali gayi.
"Faiza waha se hato...Faiza jaldi se wahan se hatt jao please. Faiza tum kyu sun nahi rahi ho please wahan se hatt jao." Fardan neend me chillane laga. Uske aankh se halke se aansu jaane lage the. "Faizaa please wahan mat jao...nahi wahan se hatt jao." Fardan phir se neend me badbane laga jisse sun kar Faiza bhaagti hui uske pass aayi aur usse jagane ki koshish karne lagi. Uski aankhon se paani jaa raha tha pr uski aankhein khul nahi rahi thi. Faiza usse apne seene se laga kar shant karne ki koshish karne lagi.
"Theek hai theek hai. Mai wahan nahi jaa rahi aap pareshan mat ho." Faiza uski peeth seh lati hui aahista se bolne lagi.
Fardan ki aankhein khuli toh usse hosh aaya ke uske aankh se halke se aansu abhi bhi jaa rahe the. Jaise hi Faiza ko apne pass khada dekha toh tezi se usse apni aaghosh me leliya aur sukoon ki saans lene laga. Faiza bina kuch kahe bas Fardan ki harkatein note kar rahi thi.
"Faiza tum theek toh ho na?" Fardan ne narmi bhare lehje me pucha.
"Haan mai bilkul theek hu. Aapne bas ek bura khwaab dekha tha. Bhul jaiyye usse mai toh apke saamne theek hu na." Faiza usse yaqeen dilane lagi pr usse Fardan ka ye rawayya bahot ajeeb lag raha tha.
"Wo bas ek bura khwaab nahi Faiza! Meri zindagi ka ek bura past bhi hai jo mai kabhi bhula nahi sakta." Fardan kuch yaad karta hua udaas lehje me bola.
"Kya bura past? Mai samjhi nahi," Faiza ko Fardan ki koi baat samajh nahi aayi.
"Mai ne khwaab dekha ke koi truck tezi se tumhari taraf aa rahi hai aur tum wahan se nahi hatt rahi ho." Fardan bola.
"Toh iss khwaab se apke past ka kya lena dena?" Faiza abhi bhi uljhan me thi.
"Mai jab 5 saal ka tha toh mere parents mujhe aur Ayesha ko phuppo ke pass chodh kar kahin site dekhne ke liye gaye the kyunki wo log hamare women's college ka naya branch kholna chahte the. Pr jab wo site dekh kar wapis aa rahe the toh unka car accident kisi truck ki wajah se hogaya tha. Mai ne apne sabse azeez logon ko ek car accident me khoya tha aur ab tumhe khona nahi chahta." Fardan uss khofnaak hadse ko yaad karta hua keh raha tha jisse sun kar Faiza ki aankhein bhar aayi. Wo Fardan ko iss haal me dekh kar us pr taras khane lagi.
Fardan ne ek gehri saans li aur phir bolne laga, "Faiza mai jaanta hu tum mere pyaar pr 1-2 dino me yaqeen nahi karogi pr mai tumse sach me bahot zyada mohabbat karta hoon. Itni mohabbat ke mai tumhare liye apni jaan de sakta hoon aur kisi ki bhi jaan le sakta hoon. Tum mujh pr aitebaar kar sakti ho aur agar koi bhi baat tumhe takleef de rahi hai toh tum mujhse share kar sakti ho."
Faiza ko samajh nahi aa raha tha wo kya kahe. Wo bas Fardan ko seene se lagaye uski baatein sunn rahi thi. Ye pehli dafa tha ke kisi ne uske liye aansu bahaye the. Uski zindagi uska jeena pehli baar kisi ke liye matter karna uske liye bahot shocking tha. Fardan Faiza se alag ho kar usse dekhne laga jo nazrein jhukaye apne dupatte se khel rahi thi.
"Tum kuch baat se pareshan ho?? Tumhe kisi cheez ki kami ho rahi hai ya koi masla hai?" Fardan phir se usse puchne laga.
"Nahi aisa kuch nahi hai. Aap sab toh bahot zyada ache hain. Mai toh bahot khush hu aap sab ke saath." Faiza muskurate hue boli.
Fardan jaanta tha Faiza uske aage kabhi apne mami ki koi burai nahi karegi isliye usne uss pr zor nahi diya aur baat ko khatam karte hue puchne laga, " Ayesha keh rahi thi tumne mere liye kheer banayi thi. Agar banayi thi toh di kyun nahi?"
"Mai khana le kar aayi thi pr aap kaam me masroof the na toh mai.." Faiza chup hogayi.
Fardan ko bahot bura laga ke uske na kehne ki wajah se wo bhi bhooki reh kar bemaar ho gayi. Wo munh banate hue shikayat karne laga, "Chalo khana khate hain mujhe bahot bhook lagi hai. Iss ghar me har koi tumhare haath ka bana khana kha chuke hain pr mai ne tumhare haath ka bana kuch nahi khaya."
"Theek hai aap kuch der intezaar kijiye mai kuch bana kar laati hu." Faiza bina Fardan ka jawab sune wahan se chali gayi.
***************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...