Valime Ki Shaam

336 13 0
                                    

Aaj Fardan aur Faiza ka Valima tha jis wajah se ghar me bahot chahel pahel ho rakhi thi. Phuppa aur Adil valime ki sab taiyyari dekh rahe the isliye subah se wo function hall me hi thi. Fardan apne kaam se kahin bahar gaya hua tha. Faiza aur Ayesha dopahar ke khane ki taiyyari kar rahe the.

Shaadi ke din beauty parlour se aate hue late hone ki wajah se phuppi ne beauty parlour jaane se mana kar diya tha. Kuch der me beauticians ko le kar Rumaisa yahi Ayesha ke ghar aane wali thi. Ghar me bahot dhoom thi sab log apne kaamo me lage the. Rumaisa ke aane pr Faiza aur Ayesha taiyyar hone ke liye upar Ayesha ke kamre me chale gaye.

"Ayesha apki choice toh bahot achi hai." Rumaisa valime ka joda dekhti hui boli jo gehre kanjaali rang me tha jis par bahot baariki se golden kaam kiya hua tha.

"Shukriya mai toh Faiza bhabi ki pasand se sab lena chahti thi pr waqt itna kam tha ke mujhe akele hi jaldbaazi mein shopping karni padi." Ayesha afsurdagi se boli.

"Haan shaadi hi itni jaldi me hui thi isme aapka kya qasoor." Rumaisa muskurayi.

"Bhabi aap ka makeup khatam hojaye toh mujhe awaaz laga dena. Mai apke room me hu." Ayesha muskurati hui Faiza se boli jiski aankhein band thi. Beautician Faiza ki aankhon pr kuch laga rahi thi toh Faiza ne sar haan me hila kar Ayesha ko jawab diya.

"Ayesha aap yaha iss beautician ke pass ready hojaiyye. Mera make-up hogaya." Rumaisa apni jagah se uthti hui boli. Rumaisa kale aur hare rang ka ek gown pehni hui thi. Halka aur khoobsurat sa make-up uske chehre pr khil raha tha aur uske kapdon pr bahot jach raha tha aur wo bahot zyada khoobsurat lag rahi thi.

"Nahi mujhe bhai ko call karna hai. Unke aane tk kuch waqt lagega. Mai unke aane ke baad ready hojaungi." Ayesha muskurati hui wahan se chali gayi.

Ayesha Fardan aur Faiza ke kamre ki taraf jaati hui Fardan ko calls kar rahi thi pr Fardan ka phone band jaa raha tha. Ayesha ko thodi si tension hone lagi thi. Fardan aksar bina bole kaam ke silsile me bahar hota tha lekin wo apna phone kabhi band nahi rakhta tha. Ayesha dil hi dil me Allah se Fardan ki salamati ki dua maangti hui calls pr calls kiye jaa rahi thi pr har baar phone band hi aa raha tha. Usne company aur Fardan ke saare saath rehne wale logon ko calls kiye the pr Fardan kisi ke bhi saath nahi tha.

Rumaisa Faiza se kuch baatein karti hui usse kuch fruits khila rahi thi. Faiza ka aaj ka dress bhi Ayesha ne pasand kiya tha. Ayesha ko beshak pata tha kis pr konsa rang khilega. Wo fashion ke hawale se bahot kuch jaanti thi. Uski pasand bahot hi alheda aur khoobsurat thi. Faiza ka make-up khatam ho chuka tha aur wo log uska dupatta set kar rahe the. Jaise hi Faiza poori tarah ready hogayi toh Ayesha ko bulane ke liye apne kamre me chali aayi. Rumaisa unn beauticians se kuch baatein kar rahi thi aur tabhi phuppi wahan aagayi toh unhe bhi ready karwane lag gayi. Phuppi ko zyada sajne sawarne ka shauq nahi tha isliye wo makeup utna nahi karti thi pr aaj Rumaisa ki wajah se wo taiyyar hone baith gayi aur unke kehne pr halka sa make-up hi kiya jaa raha tha.

Faiza jaise hi apne kamre me daakhil hui toh dekha Ayesha pareshaani me baithi phone me kuch kar rahi thi. Wo uske pass baithti hui puchne lagi, "Kya baat hai di? Koi problem hogayi hai kya? Wo kahan hai? abhi tk nahi aaye?"

"Pata nahi Faiza mujhe bahot tension ho rahi hai.. Bhai kabhi apna phone band nahi rakhte pr aaj unka phone bahot der se band hai. Pata nahi wo kahan gaye hue hai!" Ayesha bina Faiza ko dekhe pareshaani se kehti hui abhi bhi phone me kuch kar rahi thi.

"Di aap pareshaan mat ho...wo aajayenge. Aap jao aur jaldi se ready ho jao." Faiza Ayesha ko himmat deti hui boli.

"Finalllyyyyy! Mujhe pata chal gaya!" Ayesha khushi se chilla uthi jis pr Faiza chaunk gayi aur usse sawaliya nazron se dekhne lagi.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now