Judi Hui Taqdeer

278 11 0
                                    

***Entry of a new character (my favourite character)***

__________________________________

"Hayeee rabba! Andhe ho kya? Dekh kar chala nahi jaata?" Rumaisa kisi se takrane pr gusse se badbadane lagi.

"Madam aap mujhse takrayi thi mai apse nahi!" Adil munh banata hua bola.

"Huh! Galti apni aur ilzaam dusron pr! Wahh bhai wahh" Rumaisa aage badhti hui boli.

"Excuse me! Ye.." Adil kuch kehta hua rukk gaya.

"You're excused! Hato ab yahan se...mujhe der ho rahi hai" Rumaisa side se jaati hui boli.

Adil tezi se Rumaisa ke picche aane laga aur Rumaisa apni jagah rukk gayi. Adil aur aage jaane laga toh Rumaisa uske picche aane lagi.

"Tumhara masla kya hai? Tum kyun mere picche aa rahi ho? Kahin tumhe mujhse ishq vishk toh nahi hogaya?" Adil chidd se puchne laga.

"Tum khudko zyada oversmart mat samjho...Tum jaise 1000 ladke reject kiye hain maine...aur rahi baat tumhare picche aane ki toh main tumhara peecha nahi kar rahi...mujhe bhi ussi taraf jaana hai." Rumaisa gusse se boli.

Adil muskurate hue bola, "Mujh jaisa toh iss duniya me koi nahi.. aur mai khudko wo samajhta nahi balke mai toh oversmart hoon."

Rumaisa Adil ko anjaan maarti hui aage badhne lagi aur Faiza ke kamre ke saamne rukk gayi. Adil bhi ussi ke picche rukk gaya. Faiza aur Fardan ek dusre ki aankhon me khoye hue the aur ye nazara dekh kar Rumaisa thoda picche hatt gayi. Adil muskurate hue door pr knock karne laga jis se unka dhiyaan Adil ki taraf hogaya.

"Aaj Valima hai aplogon ka...aap log ye ek dusre ko dekhne wala game wahan se aane ke baad khel lena... mehmaan apki raah dekh rahe hain bhai." Adil masti me kehne laga aur Rumaisa uske picche khadi muskurane lagi.

Faiza aur Rumaisa ke wahan se chale jaane ke baad Adil aur Fardan nicche aagaye. Sab mehmaan pehle hi function hall pahonch chuke the. Sirf phuppa phuppi Fardan Faiza Ayesha Adil aur Rumaisa bache hue the toh 1 car me phuppa phuppi aur Ayesha kuch phool aur dusre samaan ke saath baith gaye the aur dusri car me Faiza Fardan Adil aur Rumaisa baith gaye the.

Adil aur Fardan apne business ke matters pr kuch baatein kar rahe the aur Rumaisa Faiza apne college ke baare me kuch discuss kar rahe the. Jald hi wo sab function hall pahonch gaye. Ayesha phuppi aur phuppa abhi wahan nahi pahonche the aur unhe aane me kuch time lagne wala tha isliye Ayesha ke kehne pr entry ki video ke liye Faiza ko Rumaisa aur Fardan ko Adil le kar andar chale gaye.

"Ma Sha Allah kisi ki nazar na lage. Tum dono toh saath me kaafi ache lag rahe ho!" Shafiq saamne aakar kehne laga jis pr Faiza kaafi shocked hui.

"Haan shukriya!" Faiza bas halka sa muskurate hue boli. Fardan ne bhi zabardasti wali muskurahat se usse dekha.

Wo sab stage pr jaa kar baith gaye. Mama mami ke pass aane pr Faiza aur Fardan unse milne lage. Mami Faiza ko kuch dusre khandaan walo se milane lagi aur Fardan mama se kuch baatein karne laga.

Phuppa car se utar kar saara samaan le kar andar jaane lage. Phuppi meethai ki tokri le kar phuppa ke picche jaane lagi.

Ek phoolon ki thaal abhi bhi car me thi aur Ayesha apna dupatta theek karne ke baad wo thaal le kar andar aane lagi. Wahan kuch steps hone ki wajah se Ayesha ke pair phisal gaye aur wo girte girte ruki toh dekha kisi ne usse pakda hua tha.

Black mask chehre pr lage rehne ki wajah se wo uska chehra theek se dekh nahi payi. Ek haath se usne Ayesha ko pakad rakha tha aur dusre haath me ek camera. Uski aankhein neele ambar jaisi thi jo halki si lighting padne ki wajah se chamak rahi thi. Ayesha uske aankhon me khoyi hui thi jab wo usse utha kar sorry kehne laga toh Ayesha hosh me aagayi aur wo bhi maafi maangne lagi.

Wo nazrein jhuka kar wahan se chala gaya aur Ayesha bas usse hi dekhti reh gayi. Uski neeli aankhein jo samandar se zyada gehri thi wo baar baar uske aankhon ke saamne aa rahi thi. Rumaisa ke pukarne pr Ayesha stage ki taraf chali gayi. Saara waqt Ayesha ki aankhein uss neeli aankhon wale ladke ko dhundti rahi pr wo kahin nahi dikhayi diya.

Aakhir me bechain ho kar wo camera walon ke pass jaa kar puchne lagi pr wo log bhi usse nahi jaante the. Mayoos ho kar Ayesha wapis aagayi aur saara waqt bs gum sum si rahi.Durr kahin se koi usse dekh kar muskura raha tha aur unn sab ki tasveerien le raha tha.

Faiza ke mama Faiza ke saath khade tasveer le rahe the aur unn dono ke beech kuch raaz ki baatein chal rahi thi jo Faiza ke pass khade Fardan ko bhi sunayi nahi de rahi thi. Mami baar baar mama ko bulane aajati aur mama unhe taal kar Faiza se baatein karte hue thair jaate.

"Beta tum theek toh ho na? Ye sab log tumhe koi takleef toh nahi de rahe hain na??" Mamu Faiza se puchne lage.

"Mama jaan ye sab log bahot ache hain... Phuppu aur Phuppa mujhe apni beti jaisa rakhte hain aur Ayesha mujhe apni behn jaisa." Faiza muskurate hue boli.

"Aur Fardan? Wo kaisa hai? Tum khush ho na uske saath?" Mamu ke iss sawaal pr Faiza gehri soch me pad gayi.

Fardan...Fardan toh ghar pr 24 me se 2ghante hota tha jisme bhi wo apne kaam me masroof hota tha. Faiza ke liye toh uske pass waqt hi nahi tha. Wo uske pass rehte hue bhi usse bahot durr tha.

"Haan wo bhi ache hain...bs kuch kaam me masroof rehte hain." Faiza boli.

"Tum khush ho toh mai bhi bahot khush hoon...hamesha hasti rehna!" Mamu uske sar pe pyaar se haath phirate hue kehne lage jis pr Faiza muskura di.

Valima khatam hone ke baad ghar aakar sab apne apne kamron me aagaye aur sone ki taiyyari karne lag gaye. Fardan aur Faiza function me saara din baith kar thak gaye the isliye dono ne bhi aate hi sone ki taiyyari shuru kardi. Faiza abhi tk Fardan se khuli nahi thi isliye Fardan phir se sofa pr sone chala gaya aur Faiza bed pr.

Aaj ke hadse ki wajah se Ayesha aur Mamu ke sawalon ki wajah se Faiza saari raat bechain rahe. Dono bhi apni sochon me saari raat karwat badalte rahe.

Hayeee na jaane wo kaun tha...aur mai uske baare me itna kyun soch rahi hoon? Mai toh uska naam tk nahi jaanti.

Kya waqai mai Fardan ki mohabbat hoon ya wo mujhe kisi aur maqsad se apni biwi bana kar laaye hain?

Uski neeli aankhein....itni gehri....samandar jaisi....usme kuch alag sa tha...kaash mai jaan paati wo kaun tha!

Kya Fardan ko meri parwah hai? Unho ne mujhe kabhi koi takleef di nahi lekin wo mujhse baat bhi toh nahi karte. Hum dono ka rishta toh kisi aam shohar biwi jaisa bilkul nahi hai....pr jab mai bemaar thi wo saari raat mere liye pareshaan rahe the.

Agar mujhe pata chal jaaye wo neeli aankhon wale aadmi ka toh mai iss baar uska naam puch lungi...nahi uska number lelungi aur....pr mai kyun usse dubara milna chahti hoon?

Fardan mujhe pasand karte hain aur shayad kaam bahot hone ki wajah se mujhe waqt nahi de paate mujhe zyada nahi sochna chahiye!

Dono yahi khayalon me khoyi hui thi ke dono ko aankh lag gayi!

*************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now