"Toh aap phir roo rahi ho aaj?"
"Aap?"
"Ji Mai! Pehchana mujhe?"
"Jab bhi mai roti hoon pata nahi aap kaise yahan aa jaate hain!" Faiza ne apne aansu saaf karte hue kaha.
Wo ajnabi shaqs jo aaj bahot dino baad usse wahi bus stop pr dikhayi diya toh wo na jaane kyun dil hi dil me bahot khush ho gayi thi.
"Aaj bhi aap mujhe apni pareshaani toh nahi batayengi lekin dosti wala offer abhi bhi valid hai!" Wo shaqs jisne aaj phir se black mask aur black chashme se apna chehra chupa rakha tha, Faiza se bolne laga.
"Mujhe apki dost banne se koi aiteraaz nahi lekin mujhe dost banane nahi aate!" Faiza ajeeb sa muskura di jo black abaya me thi. Faiza ne bhi apne hijaab se apna chehra dhank rakha tha.
"Koi baat nahi, Wo mai apko seekha dunga! Aap toh bas ye tohfa qubool kijiye!" Wo ajnabi shaqs aaj phir se uss kitaab ko Faiza ki taraf badhate hue bola.
"Lekin mai iss kitaab ka kya karungi?" Faiza ne pucha.
"Dekhiye, Hum na pen friends ban jayenge! Aap apne naam ke alawa mujhe apne baare mein kuch mat batana. Hum dono roz ye kitaab exchange karenge, iss mein aap apne feelings jo aap kisi se share nahi kar sakti wo likh dena aur mai bhi aisa hi karunga!" Wo ajnabi shaqs pyaar se samjhane laga.
"Mera naam Fiza hai!" Faiza itni jaldi kisi ajnabi pr bharosa nahi kar sakti thi isliye usne apna naam dusra bataya!
"Nice to meet you Fiza! I'm Shehri!" Uss ajnabi shaqs ne kitaab Faiza ko dedi.
"Shehri? Lagta hai kisi kutte ka naam ho jaise! Sheru...Shehri!" Faiza josh josh me zor se haste hue bol gayi.
"Kya itna bura laga mera naam?" Shehri ne naraz hone ka natak kiya.
Faiza jaldi se maafi maangne lagi jis pr Shehri fauran hi maan gaya.
"Theek hai Sheru... oops mera matlab Shehri...phir kabhi milte hain!" Faiza wo kitaab le kar muskurate hue apne bus mein chadh gayi.
Shehri muskurate hue bus jaane tk wahin dekhta raha.
****************************"""""
Kuch dino tk yahi silsila chalta raha wo dono hafte mein 2 baar zarur milte aur diary exchange kar lete. Dono ki kaafi gehri dosti ho chuki thi aur Faiza ko bhi ab bahot acha feel hone laga tha. Wo Shehri se bahot khul gayi thi aur apne mann ki baatein usse karne lagi thi.
Date: 04 March 2019
Dear Shehri,
Aaj ka din toh bahot hi acha tha! Apse milne ke baad mai ab thoda sa relaxed feel kar rahi hoon! Aap jaante nahi lekin meri zindagi mein aap bilkul ek farishte ki tarah ho! Jab bhi mai kisi musibat mein hoti hoon aap mujhse baat karne uss stop pr na jaane kaise aajate ho! Allah taala se dua hai aapki har khwahish poori hojaye ameen!Apki dost
Fiza
"Faiza tum saara saara din apne kamre mein kya karti rehti ho? Tumhe koi kaam hai ya nahi?" Mami ne Faiza ko awaaz lagayi.Faiza bhaagti hui apna dupatta sar pr baandhti nicche aayi toh dekha Hall mein Shafiq apne phone mein kuch game khel raha tha. Mamu bhi wahin baithe apne phone pr news dekh rahe the. Mami dining table pr baithi pyaaz kaat rahi thi.
"Ji mai kya karu mami ji?" Faiza apne haath dhote hue puchne lagi.
"Aaj meri tabiyat kuch theek nahi lag rahi toh tum aaj ka khana banalo aur haan ghar mein tel (oil) nahi hai toh tum Shafiq se mangwa lo!" Mami pyaaz ko side mein rakhti hui bolne lagi.
"Nahi mami! Shafiq toh abhi thake hue college se aaye hain...mai hi jaa kar le aati hoon!" Faiza ko apni diary exchange karne ka bahana mil gaya tha.
"Nahi aaj tumhe khana banana hai toh tum ghar pe hi raho...bazaar jaati ho toh 2-2 ghante gayab hojati ho. Aaj tel Shafiq se hi mangwa lo!" Mami ne sakhti se kaha.
"Shafiq mami tumse tel laane ke liye keh rahi hai." Faiza udaasi se bolti hui kitchen mein chali gayi.
"Maa aap toh jaanti ho mai abhi thaka hua aaya hoon, mujhse nahi hoga please aap baba se keh dijiye!" Shafiq jo abhi bhi apni game me mashghool tha, chillane laga.
"Beta! Mai tumse zyada thaka hua hu aur iss tarah khud ghar baith kar badon se kaam karwate tumhe sharam nahi aati?" Mamu ne Shafiq ki daant lagayi.
"Koi baat nahi mamu! Mai hu na mai tel le aaungi!" Faiza ne mauqa paate hi uska fayda uthane lagi.
"Aray nahi mere hote hue tum kyun jaogi? Rukk jao mai le aata hu!" Shafiq bezaari se bolta hua bahar chala gaya jisse Faiza ko uss pr bada gussa aaya.
3 din pehle Faiza ko apni diary exchange karni thi lekin mami kisi na kisi kaam se usse rok leti aur bahar jaane hi nahi deti. Shayad Shehri roz uska wahan intezaar karke jaata hoga lekin wo bechari bhi kya kar sakti thi. Saara qasoor toh uske mami ka tha. Faiza yahi sab sochti hui tamatar kaatne lagi.
*****************************
Aaj poore 1 hafte baad Faiza ko phir se bahar jaane ka mauqa mil gaya tha jisse Faiza bahot zyada khush thi. Faiza ne aaj apni jagah pe Shehri ka 1ghante tk intezaar kiya lekin Shehri kahin dikhayi nahi de raha tha. Faiza Shehri ke intezaar me wahin baithi hui thi. Aaj Faiza ke ek saheli ka nikah ho raha tha jisme usse dawat dene ke liye wo khaas mami se mil kar dawat dene aayi thi. Aisa nahi the ke wo Faiza ki koi khaas dost thi, wo toh Faiza se school me kaafi chidhti thu kyunki Faiza hamesha top aati aur wo 2nd lekin ab wo ye dikhani aayi thi ke shaadi wo Faiza se pehle kar rahi thi. Pata nahi kya ajeeb si soch thi uss ladki ki jo Faiza se pehle kuch bhi karti toh saare jahaan me dhindhora peet deti. Ab Faiza ke liye toh ye bada acha mauqa tha. Dil hi dil me neelam ko Faiza ne badi dua dedi thi. Ab nikah ke naam pr ussi stop pr baithi wo Shehri ka intezaar karne lagi thi.
"Kaisi ho partner?" Shehri ki awaaz pr Faiza thoda sa ghabra gayi.
"Main toh theek hoon! Aap kaise ho Sheruuuu!" Faiza ne phir se usse chidhaya.
"Fiza ki bacchi..Apko na!" Shehri ne gusse se kaha.
"Acha sorry... ye lo book hum agle hafte milenge...aaj mai thoda masroof hoon!" Faiza wahan se jaane lagi.
"Aap pichle hafte kyun nahi aayi thi Fiza? Sab theek toh hai na?" Shehri pareshaani se puchne laga.
"Haan Shehri sab theek hai! Bas ghar ke kaamon se kuch fursat nahi mili!" Faiza ne muskura kar usse dilasa diya. Phir Shehri ko kitaab thama kar wo bus mein chadh gayi. Unn dono ne roz diary exchange karne ka program toh banaya tha lekin wo Faiza ke liye mumkin nahi tha isliye wo ab hafte me ek baar milne lage.
Wo dono ne abhi tk bhi ek dusre ka chehra nahi dekha tha aur na hi ek dusre se kabhi iss baare me zikr kiya tha. Dono apni iss ajnabi si anjaan dosti mein bahot khush the. Faiza ne apne anaad hone ka aur apni maa ke marne ka har qissa Shehri ko sunaya tha. Faiza sirf apni maa ke qisse Shehri ko sunati rehti jis pr wo usse uske baap ke baare mein puchne lagta toh wo usse anjaan maar deti. Mami ke zulm ke baare me bhi Faiza ne Shehri ko kuch nahi bataya tha lekin Faiza ki halaath se Shehri thoda bahot jaan chuka tha ke Faiza khushi ki zindagi nahi jee rahi.
******************************
Date:21 March 2019
Dear Fiza,
Kaisi Ho Partner? Aaj apse itne dino baad mil kar mujhe bada acha laga. Aap hamesha apne maa ka zikr itna karti ho mujhe bhi meri maa yaad aajati hain. Jaanti ho mai bhi anaad hoon. Mere maa baap mere bachpan mein hi guzar gaye toh mujhe unke baare mein zyada kuch yaad nahi. Aap ne apni maa ke baare me toh bahot kuch bataya pr tumhare baba kaise the? Jaanti ho mere baba toh bahot zyada ache the. Jo bhi log mujhse milte hain sab mujhe mere baba ki wajah se bahot zyada izzat dete hain. Umeed karta hoon aap apne baba ke baare me bhi kuch share karogi agar aap mujhse comfortable ho toh hi. Waise mai aap se mil kar bahot khush hua hu. Aap meri bahot behtareen dost ban gayi ho Fiza!
Apka Dost
Shehri************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...