So the most awaiting day, yaani aaj ki subah Singhania mansion mai ho gayi thi. Abhi subah ke 5.30 baj rahe the, aur Mr Veer Singhania ke kamre mai scene kuch aisa tha ki ekdum deep sleeper yn ko hug kare hue Veer soya tha.Lekin jab room mai roshni aane lagti hai toh Veer, jiski neend yn jaisi toh bilkul nahi hai voh uth jata hai. Voh yn ko cheek par ek kiss karne ke baad, uth jata hai kyuki aaj usko 7 baje hi company pohochna tha lekin Veer Singhania ki aadat hai ki voh bhale hi vakt par ready ho lekin jaate late hai iska matlab yeh nahi ki voh punctual nahi hai, usse jyada time respecting person iss duniya mai nahi hoga lekin, Veer never leave any chance to show his importance, hence voh hamesha late jata hai so that people should wait for him.
Voh aadhe ghante mai completely ready hokar bahar aata hai, toh uski pyari wife apne aakhe malti hui usse dikhti voh clock check karta hai toh 6.02 time tha, matlab abhi abhi yn ka alarm baja aur voh uthi hai.
Veer: good morning wifey...
Yn uske taraf dekhti hai, apne cute doe eyes se toh voh bilkul ready tha apne company jaane ke liye.
Yn: aap itne jaldi uth gaye??
Veer: haa baccha...Aaj meri ek meeting hai,
Yn: acha acha...mai abhi aayi!!
Voh kehte hi jaldi se bathroom ko taraf chali jaati hai. Ready hoker bahar aane ke baad, jab voh bahar aati hai toh Veer usse call par dikhta hai. Veer yn ki presence mehsoos karne ke baad palat ta hai toh usse yn dikhti hai jisne aaj dark blue colour ki saree pehni thi. Aur yeh unho sareeyo mai se thi jo Veer ne uske liye pasand ki thi, even yn ke kaam ke silver oxidised earring bhi Veer ke hi pasand ki thi.
YOU ARE READING
𝐈𝐬𝐡𝐪 𝐊𝐢 𝐊𝐚𝐬𝐡𝐦𝐚𝐤𝐚𝐬𝐡
FanfictionVeer: Ek businessman yaa toh pyaar karta hai yaa phir vyaapar, ager tumhe pyar se nahi samjhna toh deal karte hai...mujhse shadi karo, badle me...mai tumhe aur tumhari behno ko security dunga...faisla abh tumhara hai! Yn just look at him in shock:...