Veer: tu toh icecream lane gaya tha n??
Jai: mujhe kuch icecream se bhi mittha mil gaya..
Veer: kya?
Jai: chhod! Actually mujhe voh flavour nahi mila jo sabko pasand hai
Veer: toh alag alag le kar aana tha n...sabki pasand toh tujhe pata hi hai ki sabko kaunse flavours pasand hai..
Jai: thik hai baba, lekin abh rehne de, hume abhi Jana bhi hai ghar varna mummy aur yeshu Kali Mata ban jayenge
Veer: baat toh sahi hai, chal..
On the other hand..
Yaha par decoration shuru tha, aur decoration hi sabse hard kaam tha kyuki Ghar bohot bada tha, aur sab perfection ke sath hona chahiye atlast India ke sabse rich aur famous family ka function tha...
Yn subah se yaha vaha bhag rahi thi, kyuki bohot kuch baki tha...vaise workers bhi the lekin ussi ko toh guide karna tha n sabko,
Yesha: yn, mujhe yeh bata ki yeh flowers kaha lagau
Yn: aap kyu kar rahi ho yeh! Mai hu n
Yn usse flowers ki basket le leti hai, aur yesha nahi lene deti
Yesha: yn mai kar lungi n, tum akele kitna kaam karongi aur vaise bhi ager mai mere engagement ki taiyariya khud karungi toh kya problem hai...
Yn: thik hai,
Yn phir usse guide karti hai aur yesha bhi ache se sunti hai aur phir voh apne kaam mai lag jati hai aur sab log kuch n kuch decoration ka kaam kar rahe the...
Aur phir waha veer aur Jai bhi aate hai aur poora lawn ka view, hall ka view dekhkar chauk jate hai kyuki unke ghar ke liye perfect decoration chunna aasan kaam nahi hai...
Unn logo ke ghar par isse pehle Jo bhi decorations ya phir arrangements hue the, ek toh voh log bohot over kar dete ya phir bohot phika phika lagta hai...lekin yn ne ache se poore ghar ke interior ko dekha aur phir uske baad uske hisab se kaam kiya!
Veer's thought: vaise kaha jaye toh decoration sach mai bohot acha hai, itna perfect decoration aaj tak mere ghar mai kisi ne nahi kiya...kabil e tarif toh hai...shayad maine bewajah hi usko ghar se nikalne ke piche laga hua tha, lekin phir bhi iss ladki mai ghamand toh bohot hai....baki sab thik hi hai...lekin mujhe apne shadi ke liye ladki thodi dhoondhni hai, mai itna kyu uske personality ko judge kar raha hu...huff!
Yn ki nazar veer par padti hai aur uske chehre par amazed waha expression voh dekhkar smile karti hai...
Rohini: wah! Kitna pyara lag raha hai mera ghar...
YOU ARE READING
𝐈𝐬𝐡𝐪 𝐊𝐢 𝐊𝐚𝐬𝐡𝐦𝐚𝐤𝐚𝐬𝐡
FanficVeer: Ek businessman yaa toh pyaar karta hai yaa phir vyaapar, ager tumhe pyar se nahi samjhna toh deal karte hai...mujhse shadi karo, badle me...mai tumhe aur tumhari behno ko security dunga...faisla abh tumhara hai! Yn just look at him in shock:...