Faiza agle din shaam me apne mamu ke ghar wapis aagayi. Usse pata chala tha uske phuppere bhai ka naam Hadi aur chacheri behn ka naam Sadia hai. Wo ek hi din me unse kaafi free ho gayi thi. Unhone usse bahot se naye qism ke khane khilaye the jo usse bade pasand aaye the. Uske mann me thoda lalach aaya tha ke kash wo saari zindagi aise hi inhi ke saath guzar sakti lekin wo jaanti thi ye mumkin nahi. Unn dono ke saath reh kar usse apne saare dadiyaal ke rishton ke baare me maloom chala tha. Wo log bahot dino se Faiza se milna chahte the lekin foriegn me rehne ki wajah se unhe yahan aane ka mauqa nahi mil raha tha. Unho ne Faiza ko apne saath aane ka bhi kaha tha jis pr Faiza ne unhe inkaar kar diya. Unke kehne pr Faiza ko ab apne aage ki padhai karna ka khayal aaya tha. Wo log usse apne mami ke ghar chodh kar jaa chuke the. Unke jaate hi Faiza se mami ne kayi saare sawaal kiye jiske Faiza ne saare sahi jawab dediye. Phir wo apne kamre me baithi apne papa ko yaad kar rahi thi ke usse Shehri ki diary ka yaad aaya. Wo usse wapis karna toh bhool hi gayi thi. Wo apni diary mein kuch likhne lagi thi.
Dear Shehri,
Kaise ho Sheruuuu? Maafi chahti hoon apko diary nahi de paayi mai kyunki mai thoda masroof thi. Aap mujhse mere papa ke baare me puchte rehte ho na...aaj mai ne unke khandaan walon se mulaqat ki. Wo log mere papa ki tarah bilkul nahi hain. Balke wo bahot zyada ache hain. Mai toh jab choti thi tab hi shayad meri unse mulaqat hui thi lekin ab unse dubara mil kar mujhe bada acha laga. Jaante ho wo log mujhe ghumne le gaye the. Humne wahan bahot se ache khane bhi khaye. Kash mai apko unse milwa sakti lekin wo log toh ab yahan honge bhi nahi. Pata hai wo log aeroplane se yahan aaye the. Mai ne toh bs asmaan me dekha hai. Pata nahi itni unchai me unhe darr kaise nahi laga. Jaante ho unhone mujhe aage padhne ke liye bhi bahot encourage kiya. Mujhe padhai karna bahot pasand lekin mere mamu ki maali halath kuch theek nahi isliye mera padhna mumkin nahi hai. Khair ye sab chodho aap batao aapke yahan sab kaisa hai. Kya ap kabhi apne dadiyaal walon se mile ho? Aap ab anaad ho meri tarah toh aap bhi ab apne mamu mami ke pass rehte ho?
Apki Dost
Fiza******************************
Faiza apna dupatta liye nicche aayi toh mami ne usse bahar jaane ka kaha tha. Wo bhaagti hui upar aayi aur apna burqa pehnte hue wo diary chupaye bahar nikal gayi. Wo bus stop pr baithi Shehri ka intezaar karne lagi thi. Aj wo Shehri se nahi milne wali thi lekin phir bhi wo uska intezaar kar rahi thi ke shayad wo yahan se guzar jaaye. 1 ghanta intezaar karne ke baad wo bus lene hi wali thi ke Shehri uske saamne haanpta hua aaya tha. Aaj bhi Shehri ne khud ko mask aur cap aur chashme se dhank rakha tha. Wo aaj alag roop me tha. Wo businessman jaisa lag raha tha. Armani suit pehne hue wo ab thoda bada lag raha tha. Lekin wo cap aur mask uske kapdon ke saath bilkul ache nahi lag rahe the. Faiza bas usse dekhe jaa rahi thi. Shehri ne Faiza ki aankhein dekhi thi lekin Faiza ne ab tk Shehri ko bilkul nahi dekha tha.
"Maafi chahta hoon...maine aane me thodi der kardi." Shehri ab bhi haanp raha tha.
"Shehri aap kya yahan bhaagte hue aaye ho?" Faiza uski halath dekh kar puchne lagi.
"Haan wo mai out of...nahi ye sab chodho..hum parsum milne wale the na aap aaj yahan kaise aagayi?" Shehri bus stop ki bench pr baithta hua puchne laga.
"Haan maafi chahti hoon...kisi wajah se mai nahi aa payi." Faiza diary usse thamate hue boli.
"Acha toh aap ka jab mann ho aap aajao...mai yahan mil jaunga." Shehri muskurate hue bola.
"Nahi nahi hum abse har Wednesday hi milenge." Faiza boli.
"Theek hai Fiza jaise apko theek lage." Shehri muskrate hue usse dekh raha tha.
"Ab mai chalti hoon." Faiza jaldi se bhaagti hui bus me chadh gayi jo wahan abhi aayi thi. Shehri wahin thaire bus ko apni aankhon se ojhal hone tk dekhta raha.
Shehri ne apni car wahin ek kone me park ki thi jisme aake baithte hue wo diary padhne laga. Diary padh kar muskurate hue sochne laga..."Meri mehnat ab aakhir phal laa rahi hai. Ye diary exchange karne ka mujhe ab fayda hoga aur tumhe nuqsaan Faiza. Jo mere saath hua wo ab tumhare saath bhi hoga. Tum bhi uss dard se guzroge jo dard mujhe hua tha." Wo diary ke har shabd ko padh kar badi ajeeb se hasi hans raha tha jaise wo koi darinda ho. Kisi ke pass aa kar car window pr knock karne pr Shehri ne apni hasi control ki aur uss diary ko car ke dusre seat pr phenkte hue serious sa chehra bana kar window nicche karne laga.
"Sir jaisa aapne kaha tha mai 24 hours Faiza pr nazar rakhe hue hoon. Wo kal kisi 2 logon ke saath bahar ghumne gayi hui thi. Ek aadmi aur ek aurat the wo. Faiza ko wo ghumane kisi park le gaye the aur saath hi unho ne usse restaurant me dinner bhi karwaya. Wo restaurant bhi kaafi expensive lag raha tha. Wo din bhar unhi logon ke saath thi phir shaam me apne ghar wapis aagayi thi." Uss aadmi ne Shehri ko sab bataya.
"Theek hai bahot acha kaam kiya. Aise hi har pal uss pr apni nazar banaye rakhna. Jaise hi kuch aur maloom ho mujhe bata dena. Ab jao uska peecha karo tum." Shehri ne sakht awaaz me hukm diya.
"Ji sir lekin mujhe lagta hai Faiza ka peecha karna bekar hai kyunki wo siwaye apne mami ke ghar aur bazaar ke kahin nahi jaati. Aapko Faiza ke mamu ka peecha karna chahiye ya phir unn anjaan logon ka jo kal Faiza ke saath the." Wo aadmi kehne laga.
"Ab tum mujhe seekhaoge mujhe kya karna chahiye? Lagta hai tumse narmi se pesh aa kar maine galti ki. Kabhi bhoolna mat tum mere ehsaanon pr pal rahe ho. Aur ye bhi mat bhulo tumhare saath mai kya kya kar sakta hoon." Shehri ne gusse se kaha.
"Maafi chahta hoon huzur mai apku gussa nahi dilana chahta tha. Bas mujhe laga wo dono bahot khaas the Faiza ke isliye mai ne kaha. Mujhe maaf kar dijiye mai phir kabhi aisa nahi katunga." Wo aadmi haath jodne laga.
"Haider ye tumhari pehli aur aakhiri gustakhi hai. Agli baar kuch kehne se pehle soch samajh kar bolna. Aur haan tum chahe kuch hojao Faiza ka peecha karna band nahi karoge samjhe?" Shehri ne apni bhari awaaz me pucha jo thi toh shahed jaisi meethi lekin lehja karele jaisa kadwa. Na jaane kaise wo Faiza ke saamne sweet hone ka natak kar leta tha.
"Ji sarkar." Haidar apna sar jhukaye wahan se chala gaya.
Shehri ne gehri saans li aur phir ek number dial kiya.
Assalamualaikum
Walekumassalam beta
Bhai kahan ho aap 2 din se?
Beta mujhe kuch zaroori kaam hai toh mai aaj bhi ghar nahi aa sakta.
Bhaiiii mujhe apke bina rehna pasand nahi aap jaante hain. Phir bhi roz apke kuch na kuch kaamo me aap mujhse durr ho rahe ho.
Aisa nahi hai Ayesha. Mai abhi 1hour pehle hi flight se aaya hoon. Tum toh jaanti ho business deals kaisi hoti hain. Please beta aaj ek din. Mai kal aajaunga.
Theek hai bhai khayal rakhiye aap apna.
Tum bhi khayal rakho beta. Allahhafiz.
Allahhafiz bhai.
Ayesha ne phone kaat diya. Shehri ne messages khole aur kisi Ahmed naam ke aadmi ko message kiya.
Shehri: 5pm, Secret Hideout 7.
Ahmed: Ok Boss!
************************************
So, this was the very first chapter in which I wrote about our main male lead's reality and feelings. Till now we focused only on Faiza, but from now I'll write about the feelings of both of them.
How was the surprise?
Shehri wants revenge from Faiza but why?
What did she do to him?
Why does he want to give her the same pain he felt?
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...