"Good Morning Students! I am Ayesha Shehriyar jisse aplog pehli baar college ki 25th anniversary pr mil chuke hain. Mai ajse ap ki nayi vice principal hoon. Umeed hai mujhe saari ladkiyon ka progress dikhega aur aap sab iss college ka naam khoob roshan karenge. Agar kisi ko kuch bhi problem ho toh seedha aake mujhse baat kar sakte hain ap log aur mai sab solve karne ki poori koshish karungi. Hamare iss college ka maqsad aap sab ko qaabil banane ka hai taake mustaqbil me aap ko koi pareshaani na jhelni pade. Aap log independent ho sake." Ayesha ne subah subah sabko apna taaruf karwaya aur ladkiyon me thoda sa padhai ka jazba paida karne ki koshish ki.
Ayesha ki baat pr sab log taali maarne lage lekin kahin durr se koi uss pr nazar rakhe hue tha jo baar baar muskura raha tha.
************************************
"Aur Faiza, kaisi chal rahi hai tumhari married life? Tum khush ho na Fardan bhai ke saath?" Rumaisa khana khate hue Faiza se sawaal karne lagi.
"Haan sab acha hi hai." Faiza ne gehri saans li aur bezargi se boli.
"Kya hogya tum toh aise keh rahi ho jaise unhone tum pr koi zulm kiya ho!" Rumaisa hasti hui boli.
"Nahi yaar aisa kuch nahi hai. Bas kuch soch rahi thi." Faiza kisi khayal me khoyi hui bolne lagi.
"Kya soch rahi thi mujhe bhi toh bolo kuch." Rumaisa apna khana rok kar puchne lagi.
"Bas hai kuch...jisse le kar mai abhi uljhan me hu...jab mera mann sab hal kar lega toh mai tumhe bataungi." Faiza muskurate hue boli aur phir khana khane lagi.
Rumaisa ne bhi baat pr zyada zor nahi diya aur khamoshi se apna khana khane lagi. Ye aaj pehli baar tha jab Faiza lunch layi thi warna mami toh sahi se 2 waqt ka khana bhi naseeb nahi hone deti. Bas issi khushi me dono aaj saath lunch kar rahe the warna toh Rumaisa ke laakh kehne pr bhi Faiza lunch nahi karti aur apni kitabon me masroof rehti.
************************************
"Kuch pata chala iss Shamsher Sikander ke baare me? Kaun hai wo?" Fardan apne saamne khade aadmi se puchne laga."Sir ye aadmi bahot hi ajeeb hai. Humne bahot koshish ki lekin iske baare me kuch pata hi nahi chal raha." Uss aadmi ne jawab diya.
"Ahmed mere nicche itne log kaam karte hain aur tum sab milkar bhi uss ek shaqs ke baare me kuch nahi maloom kar sake?" Fardan gusse ko qaabu karta puchne laga.
"Mujhe maaf kar dijiye boss. Wo aadmi ke baare me hum foriegn countries se janne ki koshish me hai isme kuch waqt lag raha hai." Ahmed apne boss ko dilasa dene laga.
"Mujhe lagta hai ab mere nicche kaam karne wale sab bekar ho chuke...jo har kam kuch ghanto me kar dete the wo ek chota sa kaam 10 saalon se nahi kar paa rahe aur ab ye dusri baar tumlog mujhe bahot mayoos kar rahe ho." Fardan daant peeste hue bolne laga.
"Bahot zyada muaafi chahte hai boss. Hum ab hamari jee jaan laga kar unn dono ke baare me maloom karenege." Ahmed thoda darta hua bolne laga.
"Agar 4 ghanto ke andar mujhe uss Shamsher Sikander ka pata nahi chala toh tum sab ki khair nahi." Fardan unhe khabardaar karte hue bolne laga.
"Ji boss hum saare aadmi ab issi kaam ke picche laga denge." Ahmed ne kaha aur wahan se chala gaya.
"Aakhir tum kaun ho Shamsher Sikander jo mere aadmiyon ko ab tk nahi mil rahe...koi bade baap ki bigdi hui aulaad ho ya kisi daaku ke bete." Fardan apne sar pr tanao se haath masalte hue khudse bolne laga.
************************************
"Madam apke liye ye kisi ne diya hai." Ek peon apne haath me guldasta aur ek chitti le kar Ayesha ke kamre me aate hue bola."Isse mere table pr rakh do." Ayesha kuch kaam me masroof thi toh bina nazar uthaye kehne lagi.
Peon wo sab table pr rakh kar wahan se chala gaya. Ayesha ab bhi apne kaam me lagi thi. Wo kuch documents padh kar un pr sign kar rahi thi jab uska phone bajne laga.
"Assalamualaikum" Ayesha bina kuch dekhe phone utha kar bolne lagi.
"Walekumassalam" Ek ajnabi shaqs ki awaaz sunn kar Ayesha jaldi se phone dekhne lagi. Wo nahi jaanti thi ye kaun tha.
"Ji aap kaun?" Ayesha uljhan me puchne lagi.
"Mai kaun hu ye toh apko tab maloom hoga jab aap mera bheja letter padhengi." Uss anjaan aadmi ne kaha.
Ayesha bina kuch bole uss guldaste ke nicche rakhi chitti utha kar padhne lagi.
Jabse Apko Dekha Hai, Pal Pal Apki Yaadon Mein Tadap Raha Hoon!
Apka Aashiq!
"Ye kaisa behuda mazaaq hai?" Ayesha gusse se phone pr chillayi.
"Ye koi mazaaq nahi hai. Apse mujhe ishq hogaya hai sach me...love at first sight." Wo pyaar se bola.
"Mere bhai ko bolungi na ek ghante me saara pyaar ka bhoot utar jayega." Ayesha phir gusse se boli.
"Bhai ko kyun...aap hi mujhe ek baar keh dijiye iss bande ki jaan haazir hai apke liye." Wo muskurate hue bola.
"Tum jaise dil phenk aashiq bahot dekhe hai maine. Aaj koi kal koi tumlogon ka kaam hi yahi hota hai masoom ladkiyon ko apne jhoote baaton ke jaal me phasana..bahot ache se jaanti hu mai tum jaise bewakoof ladkon ko...lafange kahin ke." Ayesha gusse se boli aur bina kuch sune phone kaat diya. Phone kaat'te hi uss number ko block karke wo apne kaam me phir se masroof hogayi.
************************************
"Boss! Mujhe uss Shamsher Sikander ke baare me poori toh nahi lekin thodi si jaankari mili hai." Ahmed ek file Fardan ko dete hue bola."Ahmed tum jaante ho iss waqt mai office me hu toh tum yahan kyun aaye. Tum jaante ho na mujhe office me mafia wale kaam karna pasand nahi." Fardan gusse se bola.
"Sorry boss wo aapne jaldi maloom karne ko kaha tha toh mai ne socha apku ye dedu." Ahmed sar jhuka kar bola.
"Theek hai iss file ko mere pass rehne do...tum jao yahan se aur khabardaar jo kabhi dubara wahan ke kaam yahan laaye toh." Fardan usse intebahi ishare se ghoorte hue bola.
"Ji sir." Ye keh kar Ahmed wahan se chala gaya.
"Toh Aakhir tumhare baare me mujhe ab pata chal hi jayega Shamsher Sikander." Fardan ne file dekhte hue gehri saans le kar kaha.
************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...