Fardan apne office me baithe apne computer screen pr kuch dekh raha tha. Phir kuch udaas ho kar ek number milane laga. 2 rings hote hi saamne wale ne phone utha liya.
"Assalamualaikum Sir!" Saamne se awaaz aayi.
"Walekumassalam." Fardan sanjeeda lehje me bola.
"Kuch baat hui hai kya sir?" Saamne se sawaal aaya.
"Haan Rumaisa mujhe janna tha Faiza ko kya hua hai...wo subah toh ache mood me thi phir college aane ke baad usse kya hua? Wo classes me bhi dhiyaan nahi de rahi?" Fardan fikarmandi se puchne laga.
"Sir wo pata nahi maine recess me usse puchne ki koshish ki thi lekin wo kuch bata nahi rahi toh mai ne zabardasti nahi ki. Usne kaha tha wo soch rahi hai kuch jab sab sort out karlegi toh mujhse share karegi." Rumaisa bechargi se boli.
"Theek hai agar kuch bhi problem ho toh yaad hai na kya karna hai? Mere aadmi college ke aas paas hi hain!" Fardan ne yaad dilaya.
"Ji Sir mai apni job se achi tarah waqif hu." Rumaisa ne confidence se kaha.
"Good! Ab jao warna Faiza bahot sawaal karegi tumse kyunki wo tumhe dhund rahi hai!" Fardan ne apne computer screen pr Faiza ko corridor me phirta hua dekha toh bolne laga.
"Ji Sir Allahhafiz!" Rumaisa ne kaha toh bina kuch kahe Fardan ne phone kaat diya.
************************************
"Madam apke liye phir ek guldasta aur khat aaya hai...iska kya karu?" Wo peon phir aa kar puchne laga."Isse tum dustbin me pheko aur jao yahan se. Mujhe ab koi bhi guldasta aaye toh yahan mat laana." Ayesha ne gusse se kaha.
Uss peon ne wo guldasta aur khat Ayesha ke kamre me rakhe dustbin me phek diya aur wahan se chala gaya.
"Pata nahi iss ajeeb se insaan ko mai hi kyun mili? Ajeeb lafanga hai. Baat hi nahi samajh raha." Ayesha khudse badbadane lagi.
"Kya hua bhai kisne kya keh diya meri beti ko?" Phuppi office me aati hui has kar puchne lagi.
"Nahi nahi aisa kuch nahi hai phuppo. Wo toh bas yunhi." Ayesha ghabra kar boli.
"Acha mai bas lunch tumhare saath karne ke liye aagayi thi. Mujhe badi bhook lagi hai." Phuppi boli aur apna tiffin khol kar Ayesha ke pass baith gayi.
Ayesha ne jaldi se apna table samet diya aur phir apna tiffin nikaal liya. Wo haath dhone ke liye uthi aur uska phone bajne laga. Usne dekha phir se koi unknown number se call aa rahi thi. Wo phuppi ke saamne uss shaqs se baat nahi kar sakti thi isliye call cut karke wahan se chali gayi.
Jab haath dho kar wapis aayi toh phuppi boli, "kisi ka baar baar call aa raha hai kuch urgent hoga isliye kar rahe honge call...uthalo beta."
"Ji nahi phuppi wo meri ek dost hai mujhse milna chahti pr mai ab itni busy hu college ke kaamo me toh kahan se milna hoga isliye call nahi utha rahi." Ayesha ne dil pr pathhar rakh kar jhoot keh diya aur jaldi se phone silent pr karke khana khane lagi.
"Beta college toh bas 4 baje tk hai tum usse shaam me mil lo." Phuppi boli.
"Aisi baat nahi phuppi bas Faiza akeli hojayegi na wo bhai bhi ghar pr nahi rehte na." Ayesha ne phir jhoot kaha.
"Haan ye bhi hai. Aisa karo usse tum apne ghar bulalo." Phuppo ne phir kaha.
"Nahi asal me mujhe abhi milne ka mann nahi." Ayesha ne baat khatam kardi toh phuppi bhi chup ho kar khana khane lagi.
"Waise manna padega Faiza ke haath ka khana waqai bahot lazeez hai." Phuppi Ayesha ke tiffin se khati hui boli.
"Haan jabse wo aayi hai mai cooking ussi se karwati hoon aur mai upar ka kaam dekhti hoon. Itna swaad ka khana hota hai na mera toh ab ussi ke haath ka khane ka mann karta hai." Ayesha maze le kar khati hui boli.
Dono haste hue aise hi baatein karte hue khana kha rahe the aur Ayesha ka phone baar baar baj raha tha jisse Ayesha dekh kar bhi anjaan maar rahi thi.
************************************
"Toh Shamsher Sikander ka mafia se bhi connection hai. Wo underworld me Sher ke naam se mashhoor hai. Lekin mai ne toh ab tk suna nahi iska naam." Fardan apne secret hideout me baithe Ahmed se keh raha tha."Ji sir ye Shamsher Sikander bada ajeeb qism ka ladka hai. Ye apse 2 saal chota hai. Isne mafia bas 1 saal pehle join kiya lekin apna naam kaafi hadd tk bana chuka hai. Ye 1 saal pehle tk toh Foriegn me hi tha. Bas 7 mahine pehle hi yahan aaya hai." Ahmed ne aage ki jaankari di.
"Milna padega iss Sher se. Waise ab tk tumne iske baap ka naam nahi bataya. Aur na hi iska photo." Fardan puchne laga.
"Sir yahi toh masla hai iss aadmi se. Humne har jagah se isse dhundne ki koshish ki lekin iske baare me zyada kuch pata hi nahi chal raha. Uski tasweerein bahot mili humein lekin har tasweer me uska chehra chupa hua hai. Wo har waqt mask pehne upr se nicche tk khudko chupa kar rakhta hai." Ahmed ne sharmindagi se kaha.
"Toh ek aadmi jo abhi abhi underworld me aaya hai uske picche mere saare aadmi lage hai lekin uske baare me kuch pata nahi kar paaye ab tk." Fardan gusse se gun Ahmed ke sar pr rakh kar puchne laga.
"..S...Sir...wo aisa nahi...hum poori koshish.." Ahmed darr se kaanpta hua bol raha toh Fardan ne usse ghoor kar dekha jis pr Ahmed chup hogaya.
"Mujhe iss Shamsher se koi lena dena nahi hai. Mai bas uske baap ke baare me janna chahta hoon. Mujhe bas baba ke zameen ke kagazath chahiye jald se jald." Fardan gusse se chillaya.
"Ji sir hum poori koshish karenge." Ahmed sar jhukaye bol raha tha.
"Ahmed mujhe koshish nahi chahiye...mujhe bas uss zameen ke kagazath chahiye kisi bhi qeemat pr. Chahe jitne log lage le jao aur chahe jitna paisa lage... chahe kisi ko maarna pade...sab karlo lekin kal shaam tk mujhe kagazath nahi mile toh tum me se koi nahi bachega." Fardan gusse se bola aur gun Ahmed ke kandhe pr rakh kar deewar ke pass khade ek aadmi ki taraf chala di. Wo aadmi darr ke baazu hatt gaya toh goli deewar se jaa lagi.
"Ji boss hum bilkul karenge." Sab darr se ek saath bol kar wahan se chale gaye.
Fardan sabke jaate hi laptop nikaal kar Faiza ko dekh kar muskurane laga. Wo class me baithi lecture ke beech ajeeb si shaklein bana rahi thi. Uska sara gusse usse dekhte hi shant hogaya aur wo achanak se bahot pursukoon mehsoos karne laga.
"Aakhir kya cheez ho Faiza tum? Iss janwar ko bhi apni maujoodgi me insaan bana deti ho! Tum meri hogayi ho tabse kisi ka qatl nahi kiya maine bas iss darr se ke mere dushman uss qatl ke baad kahin tumhe na kuch kardein. Jaane kyun itni mohabbat hai mujhe tumse!" Fardan screen pr dikh rahi Faiza ko ungli se chu kar pyaar se keh raha tha.
************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...