April 2024, 4 months after their conversation
Prerna: (on call with Dimple Aunty) Mummy suno yaar, Asher ka birthday aa raha hai, Harsh aur mai trip plan kar rahe the. Phir socha ki hum toh jaate hi rehte hai, and Asher ka 1st birthday hai toh kuch special karna chahiye, toh humne plan kiya hai ki sab chalte hai saath me.
DA: Sab log? Manage kaise karoge bhai itne logo ko?
Prerna: Arey vo hum dekh lenge. Aap batao chaloge na?
DA: Chalo bhai.. mai toh ghumne ke liye humesha ready hu🥰
Prerna: Chalo done phir. Abbu aur Nonu ko bhi puch lo.. kaha hai?
DA: Yahi baithe hai sofe pe, rukk phone speaker pe karti hu.
Prerna: Abbuuuu... Nonuuuuu
Nonu: Kya hai, chilla kyu rhi hai?
Prerna: Trip pe chaloge?
Nonu: Nahi bhai, kaam hai mujhe.
Prerna: Nonu yaar, Asher ki birthday trip hai, 1st birthday brooo.
Nonu: Acha Asher ke birthday ke liye, chal phir theek hai🥰
Prerna: Dekho dekho, Asher ke naam se ready ho jaata hai.
Nonu: Toh aur kya? Tere liye kyu jaunga? Bass ek hi acha kaam kiya hai tune life me vo cute sa baccha paida karke, toh uske liye toh ever ready.
Prerna: Chalo Asher ke through hi emotional blackmail karva liya karungi tujhe har baar🥰
Nonu: Chup kar.
Prerna: Abbu, tu bata? Tere koi shoots vagarah, yaa phir MUMBAI JAANA vagarah, ye sab toh nahi hai?
Abhi: Mumbai toh jaana hai yaar, but chal theek hai, Asher ke liye reschedule kar lunga.
Prerna: Ohhoo... abey ek kaam kar na, Mumbai ko saath le chal.
Abhi: Kya bol rahi hai? Pagal hogyi hai kya?
Prerna: Abbu, tujhe bhi pata hai mai konse Mumbai ki baat kar rahi hu.
Abhi: Polu, chup reh.
Prerna: Kyu bhai? Mummy ise bolo na Jiya bhabhi ko bhi leke chale.
Abhi: Polu, teri bhabhi jis din khud ko teri bhabhi maan legi na, tab leke chal lunga.
Prerna: Dekh hum sab toh already maan chuke hai. Tum dekh lo apna. Kyu mummy?
DA: Sahi keh rahi hai beta, maine toh maan liya hai, Jiya hi meri bahu banegi🥰
Abhi: Meri maa, maan toh maine bhi liya hai, but hum sabke maanne se kya hoga jab tak vo nahi maanegi toh?
Mummy: Vo sab mujhe nahi pata. Tujhe hi manana hai usko, tu kaise bhi mana.
Nonu: Abbu sunn, idhar aa. (Abhishek goes to him and they both talk in a slow pitch, only audible to both of them) Main problem kya hai? Trust issues right? Toh mujhe bata ki jab usne kaha ki tune trust todha hai when you talked behind her back in Bigg Boss, toh matlab vo trust karti thi na tab? Vo kyu tha bata? Jab ki tum log toh tab naye naye mile the ek dusre ko, and ab toh ek saal hone ko aaya hai... That was because you guys were together in that house, 24/7. Tu bata, after Bigg Boss, tum log kabhi vapas 24 ghante rahe ho ek dusre ke saath? Nahi na? So Abbu, use this trip as an advantage to build that trust. And i am damn sure, ki spending this much time with you, away from work, home, and all distractions, she will realise things. She will get that trust back again jo Bigg Boss me tha. Simple bhasha me bolu toh, in these days, just show her you love her man. Saare efforts daal diyo. And prove kardiyo that ye temporary nahi hai, and you will not leave her, ever. Trust me, uske baad, sab theek ho jayega tumhare beech.
YOU ARE READING
Abhiya: Destiny and True Love
Hayran KurguHello everyone, This book contains short stories on Abhiya: Abhishek Malhan and Jiya Shankar- The famous Bigg Boss Ott 2 ship. I have never connected with anybody like i connect with them, something about them just screams destiny and true love to m...