"Ji Puppo aapne bulaya tha?" Ayesha apni phuppi ki class me aati hui puchne lagi.
"Haan tum lunch me nahi aayi toh socha ab karlu mai tumhare se lunch." Phuppo bolne lagi tog Ayesha ko yaad usse aaj lunch phuppo ke office me karna tha.
"Haan wo kuch me thi." Ayesha ne badal badli aur apna tiffin laane chali gayi.
**************************************
"Sir wo aadmi shayad kisi aur naam se reh raha hai kyunki uss naam ka koi bhi aadmi iss hotel me nahi hai." Ahmed Fardan ke pass aa kar bola."Toh tum unn logon ke baare me maloom karo jo iss hotel me akele reh rahe ho." Fardan ne usse kaha.
"Haan sir mai ne maloom kiya. Iss hotel me 3 aadmi akele reh rahe hain." Ahmed bola.
"Toh unn 3 logon ke baare me maloom karo." Fardan thoda sakht lehje me bola.
"Haan sir mai ne maloom kiya. Usme se pehle aadmi ka naam Mohammad Adam hai jo yahan kisi business ke silsile me ruka hua hai. Dusre aadmi ka naam Santosh Kumaar hai jo dusre shehar se yahan aaya hai ghumne ke liye. Teesre aadmi ka naam Saif Sultaan hai jo bahot bada photographer hai aur ussi silsile me yahan aaya hua hai." Ahmed har insaan ke baare me bolne laga.
"Tum inn teeno ki tasveerein nikal kar lao. Hosakta hai uss aadmi ne apni pehchan chupali ho." Fardan kuch sochta hua bola.
"Theek hai sir." Ahmed wahan se chala gaya.
**************************************
"Chalo Adil hamare saath Rumaisa ko bhi chodh diya karo tum roz." Ayesha jo Faiza ke saath car me baith rahi thi bolne lagi.Phuppi ko aaj kuch kaam tha toh pehle ho phuppa ke saath ghar jaa chuki thi. Aaj sirf Faiza aur Ayesha ko lene ke liye Adil aaya hua tha.
"Wo khud jaa sakti hai." Adil munh banata bola.
"Ek ladki hai Adil wo. Pehle ki baat aur thi jab Faiza aur Rumaisa saath me bus se jaate the lekin ab Rumaisa bechari akeli hai. Tum hi chodhoge usse warna bhai se shikayat karungi mai tumhari." Ayesha aankh chadhati hui bolne lagi.
"Nahi ma'am rehne dijiye mai khud jaa sakti hoon." Rumaisa jo bachpan se khud pr hi inhisar karti hui aayi thi wo bolne lagi.
"Nahi Rumaisa tum hamare saath chalo." Ayesha usse pakad kar car me bithane lagi.
Adil ne gehri saans li aur car start karne laga. Jaanta tha Fardan ke aage wo kabhi nahi bol sakta aur khaas kar Ayesha ko toh kuch nahi isliye bina kuch kahe gaadi shuru kardi. Faiza aur Ayesha apna ghar aate hi car se nikal gayi. Ab Rumaisa ko le kar Adil uske ghar jaa raha tha.
"Waise toh madam badi bahadur banti phirti hain bhai ke saamne aur ab Ayesha ke saamne bada masoom ban rahi ho." Adil ko zyada kaam lag gaya tha isliye wo munh banata hua bolne laga.
"Tumhe itna masla hai toh mujhe yahin utaar do mai chali jaungi." Rumaisa gusse se usse car me lage sheeshe se dekh kar boli.
"Nahi mujhe duty di gayi hai tumhe sahi salamat ghar chodhne ki." Adil kehta hua gaadi tezi se chalane laga.
"Jaise har duty badi imaandari se nibhate ho." Rumaisa chidd se boli.
"Kam se kam tumhare kaam toh aata hi hoon." Adil jawab dene laga.
"Haan haan dekh rahi hoon na 5 saalon se ek hi aadmi ke picche lage ho. Aaj tk dhund toh nahi paaye." Rumaisa tanz kar rahi thi.
"Bhai usse aaj dhundne gaye hai. Unhe uska pata mil gaya aaj itne saalon baad. Wo yahan aaya hua hai." Adil muskurata hua bol raha tha.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...