Fardan ke haath pr pehle se maar lagi thi aur ab Arun ko bina ruke maarne ki maarne ki wajah se bahot khoon behne laga tha. Sab uske liye pareshaan the lekin koi ab kuch kehne ki himmat nahi kar raha tha. Ahmed aur Adil bhi Fardan ke iss roop se dare hue the.
"Meri biwi ka naam tune apni zubaan pr laane ki himmat kaise ki." Fardan pagalon ki tarah baar baar ek hi sawaal karta usse baar baar maare jaa raha tha. Arun khoon se bheega hua behosh ho chuka tha. Uska jism safed padne laga tha lekin Fardan ke haath nahi ruk rahe the.
Jab Fardan thak gaya aur usse saans lene me dikkat hone lagi toh wo rukk gaya aur Rumaisa se kehne laga, "Isse itni takleef de kar maarna ke yahan maujood har shaqs mujhse fareb karne se pehle 100 baar soche."
"Tum sab ke liye ye pehli aur aakhiri warning hai. Arun toh hamesha se hi uss aadmi ke nicche kaam karta tha aur itne saalon se humein bewakoof bana raha tha lekin agar doobara kisi ne ye himaqat ki toh zinda nahi bachoge aur meri biwi ka naam zubaan pr laane se pehle apni maut ko zarur yaad kar lena kyun Fardan Shehriyaar ke alawa iss duniya me kisi bhi mard ko haq nahi ke wo Faiza Amani ka naam le." Fardan gusse se sabko ghoorta hua apni baat keh kar wahan se nikal gaya.
"Ye nazara dekh kar kaun apni maut ko bulana chahega." Rumaisa Fardan ka Faiza ke liye pagalpan dekh kar darr gayi thi. Wo jaanti thi Fardan Faiza ko bahot chahta hai lekin iss hadd tk wo usse aaj maloom hua tha.
"Hayee Faiza bibi pata nahi ye Fardan sir ka ishq junoon tumhare liye fayde ka hai ya ghate ka. " Rumaisa ne gehri saans li aur Adil ko dekhne lagi.
Adil ki nazar Arun ki taraf thi jo neem behoshi ki halath me baar baar Archana Archana kahe jaa raha tha. Zubaan katne ke baad usko baat karne nahi aa raha tha lekin wo hont se hi archana ki ratt lagaye hue tha
"Jaisa bhi tha lekin biwi se toh wafadaar hai." Adil usse dekh kar Rumaisa se bolne laga.
Rumaisa ne ubalte paani ko uske chehre pr daala jis se wo dard me tadap kar pukaar utha. Rumaisa me bahot torture karne pr kuch der baad Arun poori tarah behosh hogaya toh usse kuch aadmiyon ki nigraani me rakh kar sab apne ghar chale gaye.
**************************************
Ayesha ne dekha shaam ke khane pr Faiza ne khana bana kar rakh diya tha lekin wo khane nahi aayi toh Ayesha samajh gayi thi ke Faiza Fardan ka intezaar kar rahi hai isliye Ayesha akeli baith kar khana khane lagi thi. Ayesha ne Fardan ko call ki thi lekin Fardan ne jawab nahi diya toh wo apne kamre me aagayi. Ayesha apne kamre me baithi kitaab padh rahi thi aur wahi padhte padhte usse aankh lag gayi thi.
Jab bahot raat hogayi toh Fardan gusse se car bahot tezi se chalata ghar aagaya tha. Uske haath pr khoon jam gaya tha. Uske baal bikhre hue the. Kapdon pr Arun ka khoon laga tha. Wo bahot kharab halath me ghar pahoncha tha. Jab usse khayal aaya ke wo kis haal me tha toh khamoshi se wo photo wale kamre me chala gaya. Jahan alag alag logon ki tasveerein thi lekin Faiza ki tasveerein sabse zyada thi. Uss kamre se ek raasta Fardan ke study me jaata tha jo uske aur Faiza ke kamre me tha. Wo apne study se Faiza ko dekhne laga toh kamre me andhera tha. Faiza so rahi hogi soch kar Fardan bina awaaz kiye nahane ke liye chala gaya.
Jab wo poori tarah fresh ho kar bahar aaya toh seedha upar terrace pr chala gaya aur wahan apne kapde jala diye. Phir gehri saans le kar nicche aagaya. Kamre ki bed light khol kar dekha toh hairaan hogaya.
Faiza zameen pr padi hui thi. Wo bhaagta hua uske pass gaya aur usse awaaz dene laga. Jab Faiza ne kuch jawaab nahi diya toh Fardan ne usse apni baahon me utha kar bed pr sula diya.
"Faiza?? " Fardan phir se usse pukarne laga lekin uska kuch jawab nahi aaya.
Fardan pareshaan ho kar doctor ko call karne laga. Jo kuch der baad uske kamre me Faiza ko check kar rahi thi.
"Sir apko last time kaha tha maine inhe zyada stress mat dijiye. Ye behosh hogayi hai. Inhe koi bada sadma laga hai. Inka bp bahot down hai upar se inhe bukhaar bhi hai." Doctor pareshaani se bolne lagi.
"Mai koshish karunga doctor ab koi stress na ho." Fardan pehli baar kisi ke aage kuch bol nahi paa raha tha aur iski zimmedar thi uski biwi.
"Sir wo stress lengi mujhe kuch nahi hoga. Aapko hi masla hai. Unhe panic attacks aa sakte hain ya baar baar stress lene se wo depression me jaa sakti hai." Doctor Fardan ko phir se warn karne lagi.
"Ji mai iss baar se poora dhyaan rakhunga." Fardan behosh padi Faiza ko pareshaani se dekh kar bola.
"Aap koshish kijiye inhe dubara tension na dene ki. Inhe khush rakhiye aur ho sake toh inki har baat maan lijiye." Doctor ne kaha aur apna kaam karke wahan se chali gayi.
Fardan Faiza ke pass baitha uska haath apne haath me rakh kar tension se usse dekh raha tha. Wo baar baar uska bukhaar check karta uspe pani ki pattiyan badal raha tha lekin Faiza ka bukhaar kam nahi ho raha tha. Fardan saari raat ussi ke picche baitha tha lekin usse ab tk hosh nahi aaya tha.
**************************************
"Bhai?" Ayesha ne dheeme se lehje me awaaz di.
Subah hogayi thi lekin Fardan Faiza ab tk nicche nahi aaye the toh Ayesha unhe jagane ki koshish kar rahi thi. Shaadi ke baad aaj pehli subah aisi thi jab Faiza ne nashta nahi banaya tha.
"Bhabi??? " Ayesha ne thoda zor se awaaz di aur darwaze pr khatka dene lagi.
"Bhai?? Bhabi?? Sab theek toh hai na?" Ayesha ko ab fikr ho rahi thi. Fardan aur Faiza dono bhi aise the jo subah jaldi uthne walon me se the lekin aaj dono bhi uth nahi rahe the. Ayesha ne ek baar phir awaaz di toh Fardan ki aankh khul gayi.
"Haan aa raha hoon beta." Fardan jo abhi neend se jaga tha wo awaaz dene laga.
Fardan aaj phir bahot araam se sogaya tha. Uthte hi usne Faiza ka bukhaar dekha jo ab khatam ho chuka tha. Fardan ne sukoon ki saans li. Faiza ab bhi gehri neend me so rahi thi. Fardan ne darwaza khola.
"Bhai sab khairiyat? Aap dono itni der tk kaise sogaye? " Ayesha pareshaani se puch rahi thi.
Fardan ne Faiza ki tabiyat ka Ayesha ko bataya toh Ayesha ne kaha, "Theek hai bhai phir aap jaiyye office. Mai aaj bhabi ke pass rukk jaungi."
"Tumhe bhi toh jaana hai na." Fardan usse puchne laga.
"Haan lekin ab bhabi theek nahi hai toh wahan jaungi bhi toh saara dhyaan yahi hoga. Usme mujhse sahi se kaam nahi ho payega toh mai yahin rukk jaati hoon. Aap phuppo se keh dijiye ke mai aaj nahi aaungi." Ayesha andar kamre me jaati hui boli.
Fardan fresh hone ke liye chala gaya. Ayesha Faiza ke pass baithi thi. Fardan ko bahar ke logon ka ghar me aana pasand nahi tha isliye wo ghar me kisi naukar ko nahi rakhta tha. Jab bhi wo ghar pr nahi hota tha Ayesha ko phuppi ke ghar bhej deta. Faiza ke aane ke baad wo dono ek dusre ke liye saathi ban gayi thi. Faiza aur Ayesha dono ka akelapan bhi kam hogaya. Fardan jab fresh ho kar aagaya toh Ayesha nicche chali gayi. Aaj khana Ayesha ne banaya tha toh wahi Fardan ke liye laane chali gayi thi. Wo jaanti thi Fardan Faiza ko chodh kar nicche nahi aayega.
"Faiza??" Fardan ne halke se usse pukara. Wo ab bhi gehri neend me thi toh Fardan ne phir se usse tez awaaz di. Iss baar Faiza chaunk kar uth gayi thi. Fardan ko dekhte hi Faiza hairath se usse dekhne lagi jaise usne koi bhoot dekh liya ho.
**************************************
Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...