Bezubaan Khauf

176 12 0
                                    

Faiza Fardan ko aise dekh rahi thi jaise usne koi bhoot dekh liya ho. Wo hairath se usse dekh rahi thi. Uske haath kaanpne lage aur paseene se chehra bheegne laga. Fardan uski halath dekh kar pareshaan hogaya.

"Faiza tumhe kya hua? Tum theek toh ho na? " Fardan uske pass aata hua puchne laga.

"Please please mere pass mat aao. Please mujhse durr raho please." Faiza baar baar roti hui usse ek hi baat keh rahi thi.

"Faiza kya hogaya hai? Mai hoon Fardan." Fardan pareshaani se usse dekh kar bolne laga.

"Please mere pass mat aao aap. Please mai apke aage haath jodti hoon please mujhse durr raho aap please." Rone ki wajah se Faiza ki awaaz sahi se nikal nahi rahi thi lekin baar baar wo ek hi minnat kar rahi thi.

"Theek hai mai nahi aaunga tumhare pass. Tum rona toh band kardo. Tumhare aansu dekh kar bahot takleef hoti hai mujhe." Fardan fikarmandi se bolta hua usse durr hogaya.

"Mujhe yahan nahi rehna. Mai apne mamu ke ghar jaana chahti hoon." Faiza rote hue bol rahi thi.

Fardan ko Faiza ki halath pr taras aa raha tha aur wo uske liye kuch nahi kar paa raha tha isliye khud pr gussa aa raha tha.

"Theek hai tum fresh hojao. Mai tumhe tumhare mamu ke ghar chodh dunga. Tum iss haal me toh wahan nahi jaa sakti na." Fardan ab Faiza ko pyaar se samjhane ki koshish kar raha tha.

"A.. Aap yahan se jaiyye. M.. Muj.. Mujhe apke saath nahi rehna." Faiza sisakiyon se roti hui bolne lagi.

"Theek hai tum jo bologi mai karunga. Bas khuda ke liye chup hojao. Tumhe rota dekh kar mera dil baitha ja raha hai. Please roo mat." Ab Fardan Faiza se minnat kar raha tha.

"Aap yahan se jaiyye please." Faiza ab bhi roti hui bol rahi thi.

Isse pehle ke Fardan kuch bolta Ayesha khana le kar wahan aagayi. Faiza ko rota dekh kar wo pareshaani se uske pass aake baith gayi.

"Bhabi kyun roo rahi ho?" Ayesha fikr se puchne lagi. Ayesha ko dekhte hi Faiza ne usse gale laga liya aur rone.

"Roo mat bhabi. Kya hua please bolo mujhe." Ayesha usse apni baahon me rota dekh kar uske baal sehlate hue puchne lagi.

"Di mujhe yahan nahi rehna. Please inse kaho na mujhe jaane de. Please." Faiza roti hui bol rahi thi.

"Acha theek hai pehle tum rona band kardo. Hum araam se baat karenge." Ayesha usse khud se alag karti hui uske aansu saaf karne lagi.

"Faiza tumhe hua kya hai. Tum kuch toh bolo na." Fardan jo jabse tamasha dekh raha tha khudko qaabu karta hua bolne laga. Usko lag raha tha ab Faiza rona band nahi karegi toh wo khud roo dega.

"Di inse kahiye mujhe inse baat nahi karni. Please Di inhe yahan se jaane ke liye kaho. " Faiza phir se roti hui boli.

"Faiza maine kuch galti ki hai?" Fardan ko Faiza ka bartao kuch theek nahi lag raha tha. Wo kal tk usse darti thi lekin iss hadd tk nahi ke usse kamre bhi bardaasht na kar sake. Aaj uski aankhon ne Fardan ko khud ke liye ajnabi pan nazar aa raha tha. Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Ayesha ne aankhon se usse jaane ka ishara kiya toh Faiza ko ek nazar dekh kar wo wahan se chala gaya.

**************************************

*Adil aaj jo bhi kaam hai tum sambhaal lo mai aaj ghar pr hi rahunga.* Fardan ne phone pr kaha.

*Bhai sab khairiyat toh hai?" Adil ko bada jhatka laga tha. Aisa bahot kam hota ke Fardan office na jaaye.

*Haan sab theek hai. Tum apne kaam pr dhyaan do.* Fardan ne usse hukm sunaya tha aur bina kuch sune phone rakh diya.

Fardan photos wale kamre me baitha hua tha jahan Faiza ki tasveerein dekh kar wo soch raha tha ke usne aisa kya kiya jis wajah se Faiza iss tarah se pesh aa rahi thi. Fardan ko samajh nahi aa raha tha wo kya kare. Usse nashe jaisi buri aadat nahi thi lekin qatl karna uske liye aam baat thi. Wo jab bhi gussa hota ya usse kuch samajh nahi aata wo apne dushmano ko bedardi se takleef de kar maar deta jisse uska gussa thanda pad jaata lekin aaj wo Faiza ki naazuk tabiyath ki wajah se ghar ke baahar bhi nahi jaa sakta tha isliye wo apna gussa thanda karne ke liye gehri saans leta hua Faiza ki tasveeron ko dekh raha tha.

**************************************

Fardan ke jaate hi Faiza fresh hone ke liye chali gayi. Faiza jab apni halath theek karke aagayi toh Ayesha usse nicche le gayi. Ayesha ki zabardasti pr Faiza ne khana aur dawai khali. Kaafi der hogayi thi lekin Fardan apne kamre se nahi nikla. Faiza aur Ayesha hall me baithi TV dekh rahi thi. Faiza bina kuch kahe kaafi der se bas TV screen pr dekhe jaa rahi thi. Ayesha kabhi TV pr toh kabhi Faiza pr nazar rakhe baithi thi.

"Bhabi mai abhi aati hoon." Ayesha ne kaha aur uth kar jaane lagi toh Faiza ne Ayesha ka haath pakad kar usse rok diya.

"Di mai bhi chalungi saath." Faiza darr se bolne lagi.

"Mai bhai ke pass jaa rahi hoon." Ayesha ne kaha toh Faiza uska haath chodh kar apni jagah pr wapis baith gayi.

"Theek hai phir mai nahi aaungi." Faiza ne daant pees kar kaha.

**************************************

Ayesha apne kamre me gayi aur apna phone wahan se utha kar Fardan ko call karne lagi.

*Mai photos wale room me hoon.* Fardan ne call cut karke message kiya tha.

"Bhai aap kal kahan the? Jaante hain bhabi bahot der tk apka intezaar karti rahi." Ayesha usse daantne lagi.

"Wo sab jane do... Tum ye bolo wo kaisi hai ab? Tumne pucha usse kya hua hai? " Fardan fikarmandi se puch raha tha.

"Nahi bhai maine abhi nahi pucha. Wo jabse roo roo kar abhi chup hui hain toh maine socha kuch der baad puchu." Ayesha ne jawab diya.

"Wo apne mamu ke ghar jaane ki zidd kar rahi hai. Tum jaanti ho na mai kabhi khudse uss jahannum me doobara nahi bhej sakta. Aur wo wahan chali gayi toh mera kya hoga? " Fardan ke mann bahot saare sawaalon ne ghar kar liya tha.

"Bhai calm down. Aisa kuch nahi hoga. Hum bhabi ko kahin jaane nahi denge." Ayesha apne bhai ko tasalli dene ki koshish kar rahi thi.

"Aap kal se bhooke ho shayad. Aa kar thoda khana khalo. Maine Bhabi ko khana aur dawa khila di hai. Aapko bhi kuch hogaya toh mai 2 bemaar logon ko ek saath nahi sambhaal sakti." Ayesha masoom sa chehra bana kar Fardan ko dekhte hue boli.

"Theek hai tum jao. Mai aaraha hoon." Fardan ne usse kaha toh Ayesha nicche aagayi.

Fardan uth kar apne kamre me aaya aur wahan se apna laptop uthata hua nicche aagaya. Dawa khane ki wajah se Faiza wahin sofe pr baithe baithe so gayi thi kyunki usme neend ki goliyan thi jo Faiza ko araam dene ke liye doctor ne likhi thi. Fardan ke chehre pr muskaan aagayi. Wo uske pass gaya aur apna laptop table pr rakh kar usse apni baahon me utha liya.

**************************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now